आंसू
आंसू आँखों ki paribhasha hai. Zindgi mai kabhi kabhi aise halat aa jate hai jaha pe hum kuch bol nahi pate sirf aansu hi nikalte hai. ye jaruri nahi ki aansu sirf dukh mai hi saath dete hai....khushi mai bhi kabhi kabhi aansu aa jate hai par us waqt aapke chahere pe aansu ke saath smit hota hai par dukh ke samay mai sirf aansu hi bahete hai.
Aansu ka koi nirdharit samay nahi hota. Jab koi baat dil pe lag jati hai to aansu apne aap nikal jate hai. use bulane ki bhi jarurat nahi hoti.
Aansu ka rishta aankho ke saath bahot puarana hai. Manavsharir mai aankhe bahot important hai..kyoki aankho se hi prem or nafarat dikh jati hai. Jab hum kisise pyar karte hai to sirf aankho se hi apne pyar ko jata pate hai or nafarat karte hai to vo bhi aankho se hi bata pate hai.
Gujarati mai ek kavi ne khushi mai aanvale aansu ke liye kaha hai.....
khushi no divas chhe khushi na chhe aansu,
Amne to aansu ni aadat padi chhe.
Or dukh mai aanevale aansu ke liye kaha hai,
Manas ne evuy karvu pade chhe,
Ke koi na juve em ene radvu pade chhe.
Aansu jis tarah se ek ladki ya fir aurat bahati hai usi tarah ek ladka ya fir ek purush nahi bahata. vo apne aansu ko andar hi andar chhupa deta hai. vo apne aansu ko kabhi bahar nahi aane deta. or isiliye vo dukh vo apne ander hi pi jata hai jiska bhar uske rhaday pe aata hai. jis karan se heart attack ki sambhavna purusho mai jyada raheti hai...kya aapne kabhi ye suna ki is mahila ko heart attack aaya...nahi na...kyoki iska karan hai aansu...Aansu bahane se uska jee khud ko halka mahesus karta hai.
TV. vale serials or movie jo banate hai...usme bhi aansu ek ahem part hai. kalakar aise part ko is tarah se pesh karte hai ki koi bhi immotional ho jata hai or uski aankho se aansu bahene lagte hai.....or hum shayad unme se ek hai....kyoki hum bahot hi savedanshil hai...to aise hisse sidhe humare dil ko chhu jate hai....
Aansu ki apni alag alag paribhasha hai.
Jaise ki Aansu kisiki lachari-majburi ke bhi hote hai, Aansu sahanubhuti ke hote hai, Aansu apni chahi cheez pane ke liye bhi nikalte hai, Aansu khushi ki pal mai bhi hote hai.
Jab beti apne sasural jaa rahi hoti hai tab bhi pita ki aankho mai aansu aa hi jate hai. par ye aansu vatsalay ke hote hai. jab koi chhote bachhe ki cheez kho jati hai to uski aankho se bhi aansu bahete hai..par ye aansu sabse alag hote hai. Jab koi pyar kanevale ekdusre se door hote hai to judai ki pal ke liye unki aankho se bhi aansu bahete hai jo sirf pyar ka pratik hote hai.
Aansu ka koi rang nahi hota fir bhi vo pyar or vedna ki abhivyakti karne mai safal rahete hai.....
SHIKHA