shabd-logo

maa

10 मई 2015

272 बार देखा गया 272
Dosto, Is mother's day pr me apna blog chalu karne ja raha hu. Yah mera pahla blog hai, to koi ksati rah jay to maf kijiega. Maa, kya hai yah maa? Kon hai yah maa? Kyu hoti hai maa? Maa k liye kaha gaya hai " maa ki god me himalay ki sitalta milti hai"," maa ke pyar me fulo se achi khusbu hai" agar gujarati mai kaahu to " maa te maa bija badha vagda na va","maa na het ma mogra ni sugandh". Bhagvan ne jab dunia banai tab socha k itne sare logo k ek sath kaise sambhalunga tab usne ek insan banaya jise hum maa kahte hai, maa k liye jitna likhe jitna kahe kam hai. Pyar ka samandar hai maa, apne pn ki chetna hai ma. maa vo he jo bandh darvaje k pichhe se bache ko dekh sakti hai. Aap kuch n kaho fir bhi dil ko jan lene vali hoti hai maa. Maa hoti hai hame sambhalne k liye, parivar ko ekjut rakhne k liye. Vo hamare liye kya nahi karti ! hamare Dukhme chhav deti hai . Kuchh bhi hua ho or bas maa ki god me sar rakh k to dekho. Bahot ne likha hai bahot kuchh or kya likhu mai. Sneh ka samandar ho tum, Pyar ka daria ho tum, Dhup me chhav ho tum, Mere dil ka taj ho tum, Sabse pyari tum hi ho o meri maa.

व्यास चिराग की अन्य किताबें

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए