.
.
"Samajhhna"
Dil koi nahin hota, achha bura samajhhna.
sab waqt ne kiya hai, jo bhi hua samajhhna.
chalte hi jaana aage, aage hi zindgi hai,
toote hue safar ko, phir se naya samajhhna.
Dil koi..........
guzrin hain jo bhi saansein, wapas na laane lamhe,
jiyada nahin samajhhna, jo bhi kaha samajhhna.
Dil koi........
ye khel ye tamaashe, kuchh din ke hain jahaa'n ke,
jo bhi jiya hai usko, shaan-o-ada samajhhna.
Dil koi......
Gar ishq agar ho toh, dil se nibha bhi dena,
ye sab zubaani baatein, vaade wafa samajhhna.
Dil koi nahin hota, achha bura samajhhna.
sab waqt ne kiya hai, jo bhi hua samajhhna.
.
.