shabd-logo

"Wafadaari"

1 दिसम्बर 2021

20 बार देखा गया 20
.
.
                         "Wafadaari"

Wafadaari, nibhaani bhi na aayi.
hamein baatein, banaani bhi na aayi.

jo unke dil ko, choo jaati vo lab pe,
mohabbat ki, Kahaani bhi na aayi.
hamein baatein.....

jise khud mein sunaate, gungunaate,
woh lab pe ruth, suhaani bhi na aayi.
hamein baatein......

dhuvaa'n hi ho rahin hain, dhadkanein sab,
hamein ye jaa'n, jalaani bhi na aayi.
hamein baatein.....

woh unki berukhi se, khawaab toote,
jawaani pe, jawaani bhi na aayi.
hamein baatein......

khayaalon mein, jale tthe aashiyaane,
jo saanson mein, rawaani bhi na aayi.

wafadaari, nibhaani bhi na aayi.
hamein baatein, banaani bhi na aayi.
.
.
.

Manoj Teotia की अन्य किताबें

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए