.
.
"Rehne de."
Dhadkano pe, libaas rehne de,
zindagi, mujhhmein pyaas rehne de.
woh hai mera, haan sirf mera hai,
khawaab ye, mere paas rehne de.
dhadkano pe.......
chheen le, khushiyon ke qatre qatre,
gham se rishte hain, khaas rehne de.
dhadkano pe ......
woh nahin aana, hai pata ye mujhe,
woh aayega, ye aas rehne de.
dhadkano pe......
Dard hi toh, mera maseeha hai,
ye tamanna, udaas rehne de.
dhadkano pe.....
zindagi mujhhmein, pyaas rehne de
dhadkano pe libaas rehne de.
.
.