Jharkhand Pravasi Online Registration Form Ghar Aane Ke Liye: Hello Friends, Yaid aap lockdown ke karan Jharkhand se bahar kisi dusre state me phase hue hain to ghar aane ke liye online registration kar sakte hain aur iske liye direct link niche share kiya gya hai. Aapko bata den ki Jharkhand se bahar jitne bhi pravasi majdur, student, tourist ityadi phase hue hain unhe ghar laane ke liye Jharkhand sarkar ne ghoshna ki hai ki unhe ab vapas laaya jayega. To jaisa ki aap sabhi jaante hain ki lockdown ko phir teesri baar badha diya hai gya hai aur is baar 17 May tak ise extend kiya gya hai. To ab Jharkhand bus aur train ke jariye sabhi pravasi ko vapas Jharkhand laane ke liye online form bharwa rahi hai taki unhe pata chal sake ki kitne log kaha kaha phase hue hain. Jharkhand ke CM Hemant Soren ji ne ye ghoshna sabhi aam jano ke liye ki hai. To yadi aap bhi vapas apne ghar aana chahte hain to iske liye registration karwa sakte hain.
Iski puri prakriya niche share ki gyi hai. Aur jyada jankari ke liye aap is post ko ant tka jarur padhen. Aapko bata den ki iske liye special website jharkhandpravasi.in launch ki gyi hai. Aur yahi se aapko form bharna hai.
झारखण्ड आने के लिए ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन करें
Jharkhand Govt ne iske liye official notification jaari kar di hai. Iske antargat jo bhi COVID 19 ke lockdown ke karan dusre rajy me phase hue hain unhe vapas apne ghar laaya jayega. Iske liye online form bhara jana hai aur iske liye step by step process niche share ki gyi hai. Majdur, chhatra ya koi bhi any vyakti is form ko bhar sakta hai.
sabhi ko special train aur bus se vapas apne state Jharkhand laya jayega. To niche ke table me aap sabhi ko iska overview share kiya gya hai.
राज्य सरकार | झारखण्ड सरकार |
योजना | प्रवासी यात्रा पंजीकरण |
योजना घोषित | मुख्यमंत्री हेमंत सोरेन |
उद्देश्य | अन्य राज्यों में फंसे Jharkhand के लोगों की वापसी |
लाभार्थी | मजदूर, छात्र, यात्री, तीर्थयात्रीऔर अन्य व्यक्ति |
Form Mode | ऑनलाइन |
अनुच्छेद श्रेणी | झारखण्ड प्रवासी श्रमिक पंजीकरण |
ऑफिसियल वेबसाइट | jharkhandpravasi.in |
झारखंड यात्रा के लिए Registration कौन कर सकता है?
- प्रवासी मजदूर (Migrant Worker)
- विद्यार्थी (Student)
- पर्यटक ( Tourist)
- अन्य पेशेवर ( other Professional)
झारखण्ड वासी घर आने के लिए फॉर्म भरें
To ye aap sabhi ke liye ek badi khabar hai yadi aap bhi apne ghar vapas laut jana chahte hain. Sarkar isme aapki madad kar rahi hai bas aapko sirf ke form bharna hai taki aapki information un tak pahuch saken. Ye ek official form hai jo khud jharkhand sarkar ke dwara jaari ki gyi hai. Niche iske liye direct link diya gya hai. To aap iske official site jharkhandpravasi.in se kaise form bhar sakte hain uski step by step jankari niche share ki gyi hai.
To is par form bharne ke baad aap sabhi ke ek list taiyar ki jayegi aur uske baad aapko inform kiya jayega yadi aapka naam is list me aata hai. To aap bhi ghar vapas aane ke liye is Jharkhand Registration Form ko online bhar sakte hain.
Jharkhand Registration फॉर्म ऑनलाइन कैसे भरे ?
- सबसे पहले आधिकारिक वेबसाइट jharkhandpravasi.in पर विजिट करें.
- इसके होम पेज पर रजिस्ट्रेशन फॉर्म खुल जायेगा.
- इसके बाद एक ऑनलाइन फॉर्म आप सभी के लिए ओपन होगा.
- इस फॉर्म में आपसे कुछ सवाल पूछे जायेंगे जिन्हें सही सही भरना है.
- इसके बाद नेक्स्ट पर क्लिक करके बाकि के जानकारी भरें.
- और अंत में सभी जानकारी सही सही भरकर सबमिट कर दें.
Jharkhand Pravasi Helpline Number
- 943136472
- 9431336427
- 9470132591
- 9431336398
- 9431336432
- 0651-2490104
- 0651-2490052
- 0651-2490037
- 0651-2490125
- 0651-2490058
- 0651-2490128
- 6051-2490055
- 0651-2490092
- 0651-2490127
- 0651-2490083
Last Words
To is prakar aap Jharkhand Pravasi Registration Form ko online bhar sakte hain. Yaha par puri jankari share kar di gyi hai aur direct link bhi upar ke box me update kar di gyi hai. To ise bharkar apne ghar vapas laut sakte hain. Lekin dhyan rakhen ki logo ki sankhya bahut adhik hai aise me aapka naam list me aane me der ho sakti hai. aap apne time ka wait karen.