CV Full Form: Hello Friends, Yadi aap CV Kya Hai, CV ka Matlab Kya Hota Hai, CV ka Use Kaha aur Kis liye kiya jata hai, CV Format kaise banate hai, In sabhi ke bare me janna chahte hai to is post me aap sabhi ke sath CV ki puri jankari Hindi me share ki gayi hai.
Agar aap ek CV Format banana chahte hai aur yah janna chahte hai ki CV me kya-kya likhna hota hai, To is Article me aapko iska Format banne ke liye step by step method bataya gaya hai, Jisse aap ek CV Format bana sakte hai. Lekin us se pahle jan lete hai CV ka Full Form Kya Hota hai.
CV Full Form or CV Kya Hai
CV ka Full Form – “Curriculum Vitae” hoti hai. CV ka Hindi me matlab “संक्षिप्त आत्मकथा पाठ्यकर्म” hoti hai. Ise Hindi ke aasaan shabdo me Biodata (बायोडाटा) kahte hai. Yah ek Personal Document hota hai, Jisme ham apni Education Qualification, Personal Details aadi likhte hai.
CV me aap apni Life ke bare me likhte hai, Lekin Biodata ki tarah isme aap har information nahi likh sakte hai. CV me aap apni Education ke bare me, Award, College Name & Result, All Degree aur jo bhi aapne apni Life me uplabdhi payi hai un sabhi ke bare me CV me likh sakte hai.
CV ka ek simple sa arth hota hai jise “Course of Life” bhi kahte hai. CV me aapki ab tak ki sari Details hoti hai, Jaise – Skills List, Ab tak ke sabhi Jobs, Position, Degree aur aapko Specilization ke bare me likha hota hota hai. CV me aap apne Life ke achievements ke bare me likh sakte hai. CV hamesha Interview ke douran manga jata hai taki aapke bare me Company sab kuch jan sake.
CV me har information nahi likhni chahiye kynki, Kisi bhi Company ke pass itna time nahi hota ki vo aapki puri Information vistar se jane aur na hi unhe aapki Details me jyad dilchspi hoti hai. Company ko aapke sirf Skills se matlab hoti hai. CV Applications company ko Staff chunne me madad karta hai. Isse Company ko pata chal jata hai ki kon se Staff ke pass kitni Qualification aur Skills hai. Lekin fir bhi CV 3 or 4 Page ka hona chahiye, Jisse Interview lene bale par achha prbhav pade. Iske liye CV Format ke bare me puri jankari dene ja rahe hai.
CV Format Kaise Banate Hai?
Jab bhi ham koi bhi CV banate ya banbate hai to hame kuch mahtvpurn bato ka dhyan rakhna hota hai, Jisse aapke CV ko samjhne me samne bale ko koi Problem na aaye aur aasaani se samjh bhi paye ki usme kya kya likha hai.
Ab ye bhi jaruri nahi ki sabhi CV ek jaise hi banaye jate hai, Aapko apni Job ke anusar apne CV ka look bhi badlna padta hai. Jaise aapko Job ki Requriment hai, Usi ke hisab se vaha Details likhni hoti hai.
Yaha ham aapko kuch Main Topics bata raha hu, Jo CV me likhni hoti hai. To fir chaliye jante hai CV kaise banaya jata hai.
Career Objective
Is Heading me aapko apne Carrier ke bare me likhna hota hai, Aap apne aane bale me Carrier me kya karna chahte hai, Yah bhi Job ke hisab se soch kar likhna hota hai.
Qualification
Is Heading me aapko apne Education ke bare me likhna hota hai, Aapko apne Education Life me kitne Qualification mile hai aur aapne kya kya hasil kiya hai.
Other Skills
Yaha aapko apne Other skills ke bare me likhna hota hai, jaisa ki agar aapko Computer Operator ka Work aata hai to aap vaha use bhi Mention kar sakte hai. Agar aapke pass koi aur bhi skills hai to use bhi likh sakte hai.
Experience
Yaha aapko Previous Work Experience ke bare me likhna hota hai, Yadi aapke pass koi Work Experience nahi hai to, Aap usme Fresher bhi likh sakte hai.
Conclusion
To yaha aapne jana ki CV ka Full Form kya hota hai, CV kise kahte hai, CV ka Use kaha kiya jata hai, In sabhi savalon ka javab aapko yaha diya gaya hai. Yadi aapko CV ki information se judi yah post achhi lagi to ise Share jarur kare.