Hi Friends, Ye Din Navratri Ka Hai Aur Ham Sabhi Durga Puja Ko Lekar Kafi Utsuk Hain. Durga Puja Pure Bharat Me Kafi Dhum Dham Se Manai Jaati Hai Aur West Bengal Me To Kuchh Vishesh Rup Se. West Bengal Ka Duraga Puja Pure Bharat Me Prasidh Hai.
Duraga Puja Se Sambandhit Kuchh Interesting Facts Janenge Ham Sab Is Post Me. Mujhe Pakka Yakin Hai Ki Aap Sab Ye Post Pasand Karenge.
Kolkata ( West Bengal ) Ke Bare Me Agar Aapko Vishesh Rup Se Janna Hai To Durga Puja Se Achha Aur Koi Samay Nahi Ho Sakta. Kolkata Ke Durga Puja Ki Baat Hi Alag Hai. Yaha Ka Durga Puja Pure Bharat Me Sarvshresht Mana Jata Hai Aur Yaha Ke Logaon Ka Ye Mahatvpurn Parv Hai.
Kolkata Ke Durga Puja Ke Bare Me Kuchh Vishesh Chijen Jo Ise Unique Banati Hai.
Shahar Ka Sajawat
Vaise To Kolkata Ek Bada Shahar Hai Jo Kafi Achha Hai Lekin Durga Puja Me Isme Char Chand Lag Jate Hain. Pure Shahar Ko Dulhan Ki Tarah Sajaya Jata Hai. Har Gali, Mohalle Ko Naya Rup Mil Jaata Hai.
Pandal Ka Vishesh Rup
Yahan Ka Pandal Pure India Me Prasidh Hai Aur Kolkata Shahar Me Tarah- Tarah Ke Tatha Adbhut Pandal Dekhne Ko Milte Hain. Pandal Ke Saath Saath Maa Durga Ki Pratima Bhi Kafi Vishesh Rup Se Bani Hoti Hai Jo Dekhne Layak Hoti Hai.
Kumari Puja
Bengal Ke Durga Puja Ka Ye Ek Mahatvpurn Niyam Hai Ki Yaha Par Pure Navratri Kumari Ladkiyon Ko Maa Durga Ki Tarah Puja Kiya Jata Hai. Bengal Ka Ye Prachalan Bhi Kafi Prasidh Hai.
Ashthmi Ki Pushpanjali
Yaha Ashthmi Ko Vishesh Rup Se Maa Durga Ko Pushpanjali Arpit Kiya Jata Hai Jise Sabhi Mahilaye Laal Saadi Pahankar Tatha Ladke Dhoti Pahankar Aate Hain Aur Maa Duraga Ko Pushp Arpit Karte Hain.
Vijay Dashmi Ke Din Sindur Khela
Vijay Dashmi Ke Din Ye Kafi Dhum Dham Se Manaya Jata Hai Jise Dekhne Ke Liye Bahar Se Bhi Log Aate Hain. Is Din Maa Ko Vida Karte Hue Mahilayen Ek Dusre Ko Gulala Lagati Hain Aur Sindur Khela Khelti Hain.
Ab Jante Hain Tamilnadu Ke Durga Puja Ke Bare Me
Tamilnadu Me Durga Puja Ko Golu Ke Naam Se Jana Jaata Hai. Yaha Ke Log Maa Durga Ki Puja Ke Liye 100 Chhoti Murtiyan Apne Gharon Me Rakhti Hain Aur Uski Puja Karti Hain.
Gujraat Ki Durga Puja
Yaha Ke Durga Puja Me Garwa Kafi Prasidh Hai. Yaha Ke Log Sabhi Alag Tarah Ke Kapde Pahankar Pandalon Me Garwa Ka Nrity Karte Hain. Garwa Me Sabhi Purush Aur Mahila Shamil Hokar Isme Char Chand Laga Dete Hain.
Keral Ki Durga Puja
Keral Me Bhi Durga Puja Kafi Dhum Dhaam Se Manayi Jaati Hai. Yaha Ke Log Devi Sarswari Ki Puja Kafi Dhum Dhaam Se Karte Hain.
Punjab Ki Durga Puja
Punjab Me Navratri Ka Rup Hai Alag Hai. Yaha Ke Log Saat Din Tak Vrat Rakhte Hain. Isi Dauran Jagrata Ka Bhi Aayojan Hota Hai. Aathve Din Durga Ke Puja Ke Saath Bhandare Karte Hain Aur 9 Kanyaon Ko Bhojan Karakar Vrat Khola Jata Hai. In Kanyaon Ko Daan Aur Chunari Bhi Bhent Ki Jaati Hai.
Maharashtra Ki Durga Puja
Navratri Me Yaha Ke Log Car, Ghar Ityadi Kharidna Shubh Maante Hain. Navratri Ke Din Shadi Shuda Aurton Ko Ek Dusre Ke Yaha Aamantrit Kiya Jata Hai Aur Unhe Singar Ityadi Chijen Bhent Ki Jati Hai.
Must Read These Hindi Posts
- 35 Most Read Suvichar In Hindi
- Kutton Ke Bare Me Rochak Tathya | Dogs Facts in Hindi
- 50 Amazing Facts In Hindi | 50 आश्चर्यजनक तथ्य जरुर जानें !
- 32 Interesting SEX Facts In Hindi
- Padhen Bill Gates Facts Hindi Mein