shabd-logo

Mai abhimani hun

13 मार्च 2015

237 बार देखा गया 237

Mai abhimani hun. kyo ki mai bharat jaise vishal ganrajya me rahta hun. mere apni kuch abhiyuktiya hai jise mai pradarshit karne ke liye swatantra hun. jiske liye mera savidhan mujhe azadi deta hai. bharat jaise vishal rashtra me vibhinn prakar ke dharm avam samuday k log rahte hai. aur en sabhi vibhinntaon k hote huye bhi hum 1 hain. 


aur yah sandesh sampurna sansar ke liye akta ka pratik hai. lekin mujhe bada dukh hai ke vishwa ke liye 1 santi ka pratik hote huye bhi humare desh me kuch ghatnaye aisi hoti rahti hai jo ki nindniya hai. jo k desh k shouhadra aur rastriya akta ko thhes pahuchata hai. parantu yeh sab ghatnaye bharat k itihas me apwad ke roop me mani jati hai.

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए