:
Meri mumma meri dost
Vaise tau maa shabad ka aankalan
kerna hi asambhav hai meger maa
vo imli ki khatti meethi pudiya hoti hai
jo apne bachchon ke jeevan mai dost ki kami ko pura kerti hai. Unhen ek achche dost ki bhanti sahi raha dikhati
hai.Unke rahon ke kanton ko hatati hai
aur sahi salah deker ek dost ki bhanti
apne bachchon ka marg prashast kerti
hein.
Agar mai apni baat kahun tau mera ek
bhi dost nahin hai naa school mey tha
naa college mey tha naa shiksha puran karne ke uprant tha aur naa hi aaj hai. Meger meri maa mere jeevan mey meri vo dost hein jinhone mera sath kabhi nahi choda vo sadev meri himmat aur meri shakti banker mere sath rehein. Unhone mujhe kabhi naa
tootne diya naa bikher ne diya. Jab bhi
mujhe haara hua mehsoos hua vo ek
vraksha ki bhanti mere sath khadi rehein.Mujhe her teez hawa ke jhonke
se bachaya.
Unhone Shri Krishna ki bhanti sahi nirnay lene ka mujhe abhyas karaya.
Meri aur meri maa ki mitrata bilkul
Sudama aur Shri Krishna jaisi hai. Jisme naa koi chal hai naa koyi kapat
hai. Ya mai ye kahoon ki humari mitrata bilkul dil aur dhadkan ki terah hai. Mai dil hoon tau meri maa meri dharkan hein.Meri maa ne hi mujhe mitrata ka sahi arth samjhaya hai.
Unhone hi mujhe mushkilon ka samna kerna sikhaya hai. Meri maa ne mujhe chattan se majboot banna sikhaya hai.
Unhone mujhe ek mitra ki bhanti shiksha di hai chahe kitne hi toofan kyun naa aa jayen tum kabhi digna mat aur naa hi ghabrana.
Unhone mujhe sadev is kavita ka anusaran karaya hai-
Veer tum badhe chalo,
Dheer tum badhe chalo,
Samne pahad ho,
Ya Singh ki dhad ho,
Tum nidar daro nahi,
Tum nidar dato vahin,
Veer tum badhe chalo,
Dheer tum badhe chalo.
Itna hi nahi meri maa ne uchit karya
karne per pem kiya hai aur galat karya
kerna per danta hai.Unhone mera nirman is bhanti kiya hai ki koyi bhavishya mey mujh per ungali naa utha sake.
Sach kahoon tau aaj ke yug mey meri maa jaisa mitra milna asambhav hai.
Mai itna hi keh ker apni lekhani per viram lagaungi .
Tere jaisa yar kahan,
Kahan aisa yarana,
Yaad keregi duniya,
Tera mera afsana.