Dr. Bhim Rao ki Sangharsh Gatha ka ek pal
Jab woh apne bhaiyo ke sath school jate the tau bachche tau bachche guru ji bhi unka mazak udate the aur unhey kaksha mai bhi pravesh nahi karney diya jata tha per woh nirash nahi hue aur niranter prayatn karte rahe aur ek din vijayi ho gaye perantu unhey alag bithaya jata tha kintu woh waha se bhi pura hride laga kar padte rahe.
Dusri dukhad ghatna yeh hui ki ek bar woh nai se bal karvane gaye tau usney bal katne se mana ker diya yeh baat Bhim Rao ji ko achchi nahi lagi aur jab unhone pucha tau unki ma ne unhe logon ki choti soch se avgat kiya aur unke pita ne samjaya ki beta agar tum achche se shiksha grahan karoge tau tum logon ki choti soch ko badal paoge is baat ko unhone apne jeevan ka laksha bana liya aur aage chal kar tau unhone Bharat ke Samvidhan ki rachna ki jo hamre natik mulyo ka Hanan na ho is Karan banaya .
Unhone jo kuch kiya uska rin hum kabhi nahi chuka sakte.