shabd-logo

Alok A Religion Flag Of India

11 जनवरी 2022

90 बार देखा गया 90
            ALOK
      A RELISION FLAG OF INDIA


PM Saab subha ke samay news paper padh rahe the. Usi samaye unhone news paper me adalaat ki ak ghatna dekhi . jis ke baad thora chintit huve aur bhavishya ke liye uchit mankar news paper band kiya aur apne nitye karm me vyast ho gaye . PM Sahab Desh ke Ak sachhe Nayak the. Vo har samay desh ki Aantarik  aur bahari ghatna par kadi nazar rakhte the. 
Kuch saalo  baad PM Sahab ko suchna mili ki vishwa sthar par ak dharm sammelan ka aayojan kiya jaa raha he. Aur duniya bhar ke kai desh  is sammelan me bhag le Rahe the. PM Sahab ne bhi Sammelan me bhag lene ka prastav swikar kiya aur sochne lage ki hindustan se kise bheja jaye. Vishwa Dharm Guru Bharat me PM Sahab ke saamne kai Sadhu sant Jail me band the jo kabhi Aam janta ko dharm gyan dete the. Isliye Sadhu Santo se to PM Sahab ka mann bilkul Uth chuka tha.  Achanak PM Sahab ko ak chehra yaad aaya vo tha Suurpur Gaav ka ALOK. jisne Adalat me apne teacher ki jaan bachane ke liye apna ak haath khoo diya tha. Uske baad teacher ne ALOK ko Vishwa Vijeta hone ka Aashirwad diya tha.  toh PM Sahab ne apne Paresh naam ke ak  nizi sahayak ko bulaya. Aur bola ki  -Tum Suurpur Gaav javo Aur Vaha jaakar Alok naam ke ak naujawan ko yaha le aavo . Lekin dhyan rakhna ki kisi ko pata na chale ki  tumhe maine bheja he Aur Alok ko maine bulaya he . Kyonki ye baat Media me nahi failni chahiye. 
PM Sahab ki Izazat lekar  Paresh alok ke gav rawana ho jata hai. Jab Paresh alok ke Gaav pahuch jata hai tab vaha ka haal dekh kar chintit ho jata hai. Yeha Suurpur Gaav me charo or Jaativad, Chhuvachhut, Bhed Bhav aadi buraiyan Charam Sima par thi. Paresh ne Gaav ke bazar me dekha ki Jab koi Achhut log Dukaan par Kuchh samaan lene jata to dukandar use Saman Apane Pairon se ludhkata huva le jaa kar deta hai. Achhut logon ko pass me bhi nahi baithane diya jata hai. Jab koi Achhut ke yaha koi bimar bhi ho jaye to koi ilaaz bhi nahi karte hai. Charo or gaav ki halat kharab hai  . Paresh ko Aascharya to tab huva jab use kisi se ye pata chala ki is gaav ke Mukhiya or koi nahi Alok ke pita Thakur Jaydev he.  Jo samkalin raja ke ak mantri huva karte the aur apne gav ke pramukh the . paresh alok ke ghar ke paas gaya aur dekha ki alok ka ghar ak haweli ki tarah dikhai padta tha . lekin haweli ke paas ak tuta-futa gira huva jhopdi numa ghar bhi dekha. Vaha chalte  huve gaav walo se paresh ne pata lagaya ki vo jhopdi numa ghar me kabhi alok rehta tha. Jo ki alok ke rahte huve barsat aur aandhi se gir gaya tha. Ye sab dekh kar paresh ke dil me bhi alok ke bare me janne ki icchha jagrat huvi.  Tab  paresh ne gav ke logo se alok ke bare me janna chaha . lekin gav ke logo ne paresh ko bataya ki alok to gav chhod kar kob ka jaa chuka he. Aur vo kaha he iske bare me kisi ko maloom nahi. Tab paresh ne socha ki ab to vapas PM Sahab ke paas hi jana chahiye . pura gav ghumne ke baad saam ho chuki thi . andhera hone wala tha. tab paresh ne dekha ki gav se kuch hi duri par ak mandir he.vo mandir bhagwan shiv ji aur mata durga ka hone ke karan gaav ke log us mandir ko Mahesh bhawani mandir ke naam se Jante the.  Paresh vaha pahucha  . tab tak raat ho chuki thi. Paresh ne socha ki kyo na is mandir me hi ratri vishram kar liya jaye . mandir me jaa kar paresh ne dekha ki vaha mandir ke pujari tahal rahe the . pujari ak vradh admi tha. Paresh ne bhagwan ko pranam karne ke baad pujari ji se mulakat ki . aur raat ko vahi rukne ki icchha prakat ki. Pujari ji ne ha bol diya. Aur mandir ke paas me hi pujari ka ghar tha  vaha paresh ko le gaye . 
Pujari ji ne paresh se pucha ki aap kon ho bhai aur kaha se aaye ho . paresh ne bataya ki , mera naam paresh he. me yaha ALOK se milne aaya hu. Alok ka naam sunte hi pujari chouk gaye.  Aur bola ki aap alok ko kaise jante ho. Paresh ne bola ki me alok ko nahi janta balki me to yaha alok ke bare me janne ke liye aaya hu. Pujari aur paresh dono ak jagah baith gaye . aur pujari ne bola ki aap alok ke bare me kyo janna chahte ho. Kya kaam he. 
Tab paresh ne socha ki sayad ye pujari ji alok ke bare me bahut kuch jante he aur meri madad bhi kar sakte he.  kuch der to paresh aur pujari ji dono sadharan baate karne lage. Fir baad me pujari ji ne paresh ko bola ki raat ho chuki he me Aapke Khane ka prabandh karta hu. Ye kahkar pujari baba vaha se chale gaye aur vo sidha dushre kamre me gaye jisme alok ki patni rahti thi. Aur pujari ji ne chupke se alok ki patni se mulakat ki aur use bataya ki koi paresh naam ka admi aaya he aur alok ke bare me janna chahta he, lekin mene to kabhi use alok ke saath nahi dekha, koi ajnabi he , tab alok ki patni ne bola ki koi ajnabi unse kyo milna chahta he, tab pujari ji ne kaha ki aaj vo hamare ghar  me hi vishram karega aur me pata lagata hu , tum nischint raho beti, jo baat hogi me tumhe bataunga, ye kahkar pujari ji  khana lekar kamre se bahar aagaye, 
Pujari baba Khana lekar bahar aaye aur dono khana khane lage khana khate  huve ak taraf to paresh soch raha tha ki kyo na mere aane ka rahshye pujari ji ko bata hi deta hu jisse ki mujhe kuch madad mil sake, aur dusri taraf pujari ji soch rahe the ki kai baras beet gaye kisi ne alok ke bare me nahi pucha aur itne dino ke baad ye aaya he isme koi bhed jaroor he, to mujhe ise alok ka jivan vritant bata hi dena chahiye, tab tak  dono ka khana khatm ho chuka tha. Dono dusri jagah baith Gaye. 
Tab pujari ji ne pucha ki beta lag-bhag 2 baras beet gaye alok ko apna gav chod kar gaye, koi uske bare me puchne nahi aaya, lekin aapko dekh kar mere man me kuch jigyasa ho rahi he ki aap uske bare me kyo janna chahte ho. Beta tum bhagwan ke mandir me baithe ho . sab kuch sacchh sacchh batana. Tab paresh ne bataya ki pujari ji me apne bare me aapko sab kuch batata hu lekin aap mujhse ak vada karo ki aap mere bare me kisi ko kuch nahi batayenge . pujari ji ne kaha ki ha beta me tumse vada karta hu ki tumhare bare me kisi ki nahi bataunga. Tab paresh ne bataya ki me delhi ka rahne wala hu , aur me PM Sahab na nizi sahayak hu , PM Sahab ne hi mujhe alok ki talaash me bheja he , ab unhone  mujhe alok ki talash me kyo bheja ye to vo hi jane , mujhe kuch nahi bataya, tab pujari ji ko apni ak baat yaad aayi jo alok ke janm par unhone alok ke pita thakur Jaydev ko batayi thi , tab pujari ji ne paresh ko bola ki beta mere alok se koi gunah to nahi ho gaya, jo ki PM Sahab ne achanak uski talas karvai, tab paresh ne bola ki ,nahi pujari ji agar gunah ho gaya hota to PM Sahab kisi police ya army officer ko bhejte,  lekin unhone ak PA ko bheja he aur sath me ye bhi bataya ki me chup-chap hi alok ki talas karu. To iska matlab to ye huva ki PM Sahab ko alok ki koi jarurat aan padi he. Ye sab sun kar pujari ji nischint ho gaye . aise baate karte huve raat bhi kafi ho chuki thi to  pujari ji ne paresh ko alok ka jivan vritant batana suru kiya,,, 
Suno beta ALOK ies gav ke thakur Jaydev ka ak badnasib aur sautela beta tha. Jab uska janm huva tab thakur Jaydev bahut khush huve aur unhone mujhe uska namkaran karwane ke liye bulaya, tab me thakur sahab ki haweli pe gaya aur unke bacche ka namkaran kiya .bacchhe ki kundli banai aur maloom kiya ki yeh bacchha vishwa sthar par bharat ka naam roshan karega. Lekin uska jivan  to yaha ak nark ke saman ho gaya tha .ALOK ki suruvati siksha paas hi ke ak school me huvi vo apni maa ke saath bahut khush rahta tha. Uske pita thakur Jaydev swabhav se kroor Aur Ghamandi the. Vo hamare desh ko aazad hone ke baad bhi abhi tak is gav me apna raj tantra samajhte he, aur is gav ke logo par jurm karte he . unki isi harkat se alok unhe baar baar tokta rahta tha. Aur kahta tha ki ab ye aazad bharat he ab sab saman he. Kyonki alok Bachpan me bhi bahut samajhdar tha. Lekin alok ke pita abhi bhi apne gav ke logo ko apna gulam mante the. 
Ies prakar Alok aur uske pita thakur Jaydev ki nafrat ka silsila suru ho gaya thakur sahib apne bête par itne nirdaye ho gaye ki use chahe tab marne lag jate the . pita ki maar aur nafrat se alok bahut Dukhi tha. Uski padhai bhi kharab hone lagi thi. Use yadi koi sahara tha to sirf apni maa ka. 
 Ies mandir me kai door-door ke log aate he. Alok bhi har roj apni maa ke saath yaha mandir aaya karta tha. Bachpan me vo bahut hashmukh ladka tha lekin apne pita ke jurm aur nafrat se uske chehre ki hanshi khushi jati rahi. Vo bahut udhas rahta tha. Jab vo yaha mandir aata tha to me bhi use samjhata tha. Ki ye samaye ka feir he beta samaye aane par sab thik ho jayega . bhagwan par bharosha rakho . meri ies prakar ke dhandhas se alok ke man me aasha rahte thi. Lekin ghar jate hi vahi pita ke jurn ka samna karna padta tha. 
Ies prakar jyo – tyo din gujarte gaye aur alok ki maa bhi bimar rahne lagi.ak baar alok aur uski maa is gaav se kuch duri par ak Chhota sa Sahar he jaha  Har Navratri ko Mela lagta hai vaha gaye huve the. Me bhi us samay vahi mele me tha. Usi mele me ak aurat bhi hamesha aati rahti thi aur vo apni ak chhoti si  beti ANURADHA ko bhi saath me lati thi.  dono alok ki maa aur us aurat ki mulakat Mele me kai baar ho chuki thi . lekin ak baar dono me kafi der baat – chit huvi . dono mele me ak jagah baith gaye aur baate karne lage . baate karte karte dono ies baat tak pahuch gaye ki kyo na hum hamare bacchho ka apas me vivah tye kar de. Us aurat ne alok ki maa ke samne prastav rakha. Hamare bacchhe bhi ak dusre ke liye ak dum sahi he. Jodi bhi thik rahegi. Alok  ki maa ne kuch der sochne ke baad us bacchhi anuradha ki taraf dekha . anuradha swabhav se susil lagti thi aur kafi sundar bhi thi. Alok ki maa ne haa bol diya aur kaha ki me ies riste se bahut khush hu bahan . alok ki maa akshar bimar rahti thi is liye socha ki kahi mujhe kuch ho jaye to mere bacchhe ka bhavishya kya hoga.  Agar us ke jivan me anuradha jaisi ladki hogi to uska jivan kitna bhi dukhmaye ho saab thik ho jayega.  Apne bête ka agami bhavishye soch kar alok ki maa ne prasthav maan liya. Pujari ji paresh ko bata rahe the ki us samaye me bhi vahi tha. Aur mene hi dono ka mangal tilak karke Aagami shaadi sambhand me bandha tha. Aur sada sukhi rahne ka aashirvad diya. Parantu ghar jane ke baad jab ye baat alok ke pita ko maloom huvi to vo ies baat se naaraj huve ki abhi se kisi ko ye vachan dene ki kya jaroorat thi. Alok ke pita ne soch rahka tha ki vo bada hone par alok ka vivah apne ak karibi dost ki jo ki  ak Bada Rajneta tha ki beti Surbhi se karenge. Surbhi thakur Jaydev ke ghar apne pita ke saath aati rahti thi. Surbhi ki dance me kafi ruche thi. Jo alok ko pasand nahi thi. Aur alok ke pita alok ka vivah us ke saath karne ki sochte the. Lekin alok ki maa ne anuradha ke saath alok ka sambhand taye karne se alok ke pita kafi naraj ho gaye . aur vo ye gussa alok par utarne lage . alok bhi apne pita ke is ravvaiye se kafi dukhi tha. Alok ki maa ki bimari bhi dino din badti jaa rahi thi . jab thakur Jaydev alok ko marte the to uski ki maa bahut dukhi hoti thi. Sochti thi ki aage kya hoga . 
Ak baar ALOK ka school me  imtihaan chal raha tha aur uski maa bahut bimar hui tab pahle to alok ne school jane se mana kiya. Lekin uski maa ne kaha ki imtihaan ka samaye he school jao nahi to pura saal barbad ho jayega.    Alok,- Nahi Maa Aaj me school nahi jaunga. Me aapko is Dasa me Chhor kar kaise jaa sakta hu' 
Alok Ki Maa, - Apni Maa ki baat nahi manoge Beta . Kya tum maa ki baat ko sadharan mante ho. Ak baat yaad rakhna koi bhi Maa apni Santaan ko vahi baat bolti hai jo Bhagwan bolna chahte hai. Maa ka har vakye ishwar vakye hota hai . Agar Koi  Maa  ke har Aadesh ka Sahi Palan karta hai Uska Jivan Sanvar jata hai. nahi to puri Umar gujar jayegi aur jivan ka arth bhi Samajh nahi aayega.  Ab tum school jaavo aur imtihan do aur apni padhai jari rakho . Me tumhe apne jivan me  Keertiman hone ka Aashirvad deti hu . 
 . maa ke manane ke baad muskil se alok ne  school  jane ka nirnay liya. Apni maa ke pair chhuye aur rawana huva. Lekin uska man to ghar pe apni maa ki or  hi laga huva tha 
Jab alok apni imtihan me baitha tha to uska man nahi lag raha tha uska jee kharab ho raha tha . aur  chakkar aarahe the . jaise- teshe alok ne imtihaan diya aur vo exam room se  bahar aagaya. 
Bahar nikalte hi alok ne dekha ki uske gav se kuch log school me aaye huve the . alok ko kuch samajh nahi aaya . aur vo unke saath gav ke liye jane laga. Kuch door jane ke baad alok ne un logo se pucha ki meri maa kaisi he. To gav walo ne kuch nahi bataya . lekin gav ke logo ki udhashi dekh kar alok ko chinta huvi . thodi der baad alok apne ghar pahucha aur usne dekha ki uski maa dum tod chuki thi. Apni maa ko mrit avastha me dekh kar alok ke pero tale jamin khishak gayi. Alok ke dukh  ki koi sima na rahi. Vo Maa ke Shav se lipat kar Jor - jor se rone laga. 
Maa ke gujar jane ke baad alok puri tarah toot chuka tha . vo bahut udhas rahne laga uski padhai bhi chhut chuki thi lekin alok apni school ke ak teacher jinka naam jagdish tha se bahut lagav tha .  aur vo teacher jagdish  bhi alok ko bahut pyar karte the. 
 Alok ki padhai chhoot jane ke baad jagdish teacher unhe ghar pe padhane aate the. Parantu iska koi faida nahi nikla. Kyo ki alok ke pita nahi chahte the ki ab alok ki padhai ho. Alok ke pita ne alok ko apne majduro ke saath kaam karne ka aadesh diya, ab tak alok apne gav ka rajkumar tha, lekin apni maa ke chale jane ke baad vo  sirf ak majdur ban kar rah gaya , 
Alok ki maa ka swargvash huve 6 mahine ho chuke the, idhar alok apni maa ke bina bilkul akela ho gaya tha. 9 saal ka bacchha alok jab bhi akela hota tha to vo apni maa ke bare me soch kar rota hi rahta tha, idhar alok ke pita ne apna akelapan door karne ke liye  punarvivah ki icchha jatai, jab gav ke logo ne pucha ki aapke to ak beta he aap uski sahi tarike se parvarish karo,apka beta alok ak yogye aur samajhdaar bhi he, uske jivan me sautelapan mat lavo,  punarvivah ki kya jaroorat he, abhi to apki patni ka swargvash huve 6 mahina bhi nahi huva , kam se kam ak saal to pura hone dijiye ,  thakur Jaydev ak nirdai aur kamuk vichar wale purush the , alok ke pita ne kisi ki koi baat nahi suni,unhone apne kuch chapal mitro ko bulaya aur yojna banai, aur gav ke logo ko kahalvaya ki vo alok ki parvarish ke liye dusra vivah kar rahe he,  kuch dino ke baad alok ke pita ka vivah tya ho gaya, idhar alok ko bhi apne kuch  dosto se pata chala ki  uske pita dusra vivah kar rahe he, ak baar ke liye to alok chintit huva aur fir khush huva ki maa ka sahara to  mil jayega, thakur Jaydev vivah karke apni hawali aate he , alok majduro ke saath kaam kar raha tha, ghar aaya aur sidha apne pita aur dusri maa ke paas gaya ,,vaha jaa kar alok ne apne pita aur apni dusri maa ke pair chhuye . lekin Thakur Jaydev ne kuch nahi bola, aur alok apni dusri maa ko dekh kar bahut khush huva mano ki use apni maa vapas mil gai ho, jab kisi besahara, lachar aur dukhi insaan ke paas koi naya aata he to vo har kisi ko apna sahara maan baithta he, alok ki bhi yahi dasa huvi , vo apni dusri maa se mamta ki aas laga baitha, lekin aisa nahi hua. 
Din gujarte gaye alok ke jivan me to sirf andhera hi rah gaya, uski sauteli maa ne bhi alok ke saath bura bartav suru kar diya, alok majdoor to pahle se hi tha, ab apni sauteli maa ke aane ke baad to sirf daas, ghar ka naukar  banker rah gaya, alok din bhar kam karta aur use khana bhi samaye par nahi mil pata tha,  
 Jab alok apni maa ki shikayat pita se karta to pita bhi alok ki baato par koi dhyan nahi dete the, Ulta alok ko hi dant– fatkar ke bhaga dete the , alok ki dasa bahut dayeniye thi, kuch din baad alok ke pita ne apni patni ke bahkave me aakar alok ke rahne ka intejam  haweli ke bahar jaha ak kamra tha me kar diya, alok ne apne pita ke kahne par hawai ke bahar Rehna bhi  swikar kar liya . alok apne nark saman jivan ka ak – ak din gin kar kaat raha tha. Kahi se bhi alok ke jivan me thandi hawa nahi aarahi thi. Alok ki dayniye dasa aur bhola pan gav walo se nahi dekha jata tha. Aur vo thakur Jaydev ke darr se kuch kar bhi nahi pate the, 
Idhar alok ke vo priye teacher jagdish alok ko raat ke samaye padhane aata tha. Aur exam ke samaye alok ko exam dila kar use unke ghar chhod dete the. Is tarah se alok ki padhai nirantar chalti rahi, alok bhi apne us teacher ka ehsaan manta tha . vo teacher padhai ke saath – saath alok ko dharm, rajniti ,desh prem,samajik ,kanoon adi ka gyan bhi dete the. Alok apne pita ke durvevahar sahne ke baad bhi teacher jagdish ki vajah se har kshetra ka gyan rakhta tha. 
Lagbhag ak saal gujar jane ke baad alok ki sauteli maa ne ak putri ko janm diya,jiska naam BHUMI rakha gaya, alok bhi bahut khush huva ki use bhi ak bahan mil gayi. Din gujarte gaye, alok ki sauteli bahan bhi badi hoti gayi, ghar me alok ke pita aur sauteli maa apni beti se bahut khush the, parantu alok ke liye koi badlav nahi aaya. Balki jab alok apni bahan ke paas jata to uske maa pita use bhaga dete the,  jab raksha bandhan aati to alok apni bahan se raakhi bandhwata, aur alok ke paas apni bahan ko dene ke liye kuch nahi hota tha , vo apne girte huve aasuvo ke saath apni bahan ko ak hi baat bolta ki me teri saadhi pe tujhe apne haath se chunri odha kar vida karunga, aur vo din meri zindgi ka sabse Mahatvpurn din hoga, har raksha bandhan par alok apni bahan se is tarah baat karke gale laga  kar rota tha, Bhumi bhi apne bhai ke saath dukhi hoti thi jab uske pita use marte rahte the, 
Ab alok umar me  20 saal ko paar kar chukka tha, aur alok ki bahan bhumi karib 10-11 saal ki ho chuki thi, alok itne dukh bhare jivan ke baad bhi ak sikshit aur yogye bana, iski vajah uska teacher jagdish , jab alok bacchha tha tab thakur Jaydev use marte the parantu ab alok bada ho gaya to ab uske pita use apmanit kartne Lage. jab ghar me koi samahroh hota tha to pura gav bhojan karta yaha tak ki gav ke acchhut log bhi bhukhe nahi rahte the, par alok ko bhukha rahna padta tha, ya to alok ko bhojan ke liye nichi jaati ke logo ki pankti me bithaya jata tha, ya fir bhukha hi rakha jata tha, jabki samahroh ki saari tyyari alok hi karta tha, jab alok khana khata to sab mehmano ke samne  alok se jhuthe bartan saaf karye jate the , aur un samahroh me thakur Jaydev ke ak mitra aur uski beti surbhi bhi aati thi, jiske saath thakur alok ka vivah karna chahte the, ab tak surbhi naach –gaan me mashoor ho chuki thi , 
ak baar jab raksha bandhan ka samaye najdik aaya to alok ne  kahi se kuch paise ikatthe kiye aur sahar jaa kar apni behan bhumi ke liye ak chunri le aaya, jab raksha-bandhan ka din aaya,us din alok subah ke samaye apne majduro ke saath  kaam karne gaya , lekin kuch der baad barsat hone ke karan  kaam nahi ho saka aur alok apne ghar aagaya, alok ko ghar me jane ki pabandi thi ,ye pabandi alok ki sauteli maa ke kahne par alok ke pita ne lagai thi,  ghar aane ke baad jab alok apne kamre me baitha tha tab achanak uske pita aagaye aur bole ki is samaye yha kya kar raha he ye to majduro ke saath kaam karne ka samaye he, jab alok bolne laga ki barsat hone ke karan kaam nahi ho saka to thakur  alok ko  tabadtod dande se  marne lage, alok ki behan bhumi ye sab dekh rahi thi, use apne Bhai par bahut daya aayi aur bich- bachav karke alok ko apne pita se bachaya, aur alok ke pita badbadate huve bahar chale gaye, alok rota raha, alok ko rota dekh bhumi roti huvi apne bhai ko gale laga leti he,kuch der dono bhai bahan rote rahe, baad me bhumi ghar ke andar gayi aur bhai ke kiye rakhi lekar aayi., aur apne bhai ko rakhi bandhne lagi, bhumi apne bhai alok se bahut pyar karti thi, dono bhai- behan kabhi sautele ki tarah nahi rahe, 
Alok bhi bhumi ko bahut  jyada pyar karta tha. Jab bhumi alok ko rakhi bandh rahi thi , tab alok ka pura sarir pita ki maar ke karan dard kar raha tha, aur alok dard se kehrata huva apni behan se apna dukh chhupa raha tha, aur soch raha tha ki me apne jivan me kisi ke liye koi kam ka nahi hu tabhi to janm dene wale pita bhi mujhe kisi layak nahi samajhte, aur marte rahte he. Fir bhi  ye bhumi sauteli behan ho kar bhi mujhse itna sneh rakhti he. 
Jab bhumi raakhi bandh chuki thi tab alok ne vo  chunari nikali  . jo sahar se kharid kar laya tha, aur apni behan ko odha di, jab alok  ne bhumi ko chunari odhai tab bhumi ak dulhan ki tarah bahut khubsurat  lag rahi thi, bhumi ka ye roop dekh kar achanak alok ki aankho me aanshu aagaye, alok ko aisa lag raha tha ki bhumi dulhan ban kar use chhor kar jaa rahi ho, kyonki bhumi hi thi jo is ghar me alok ka khayal rakhti thi, kuch der baad bhumi vo chunari vapas utar deti he aur apne bhai alok se kehti he -' bhaiya ye chunari aap mujhe meri shaadi pe odhana, ye mujhe bahut aacchhi lagi, 
Tab alok ne bhumi se vo chunari vapas li aur apne ak sandook me rakh diya, aur apni behan ko vachan diya ki me tumhari shaadi me jyada to kuch nahi kar sakta par tumhari icchha se ye chunari jarur odhaunga. Kuch der dono bhai- behan baate karte rahe tab bhumi ne alok se puchha ki aapne khana khaya, to alok ne kaha ki abhi nahi khaya . tab bhumi ghar ke andar gayi aur alok ke liye khana lekar aayi. Alok jaise hi khana khane laga ki uski sauteli maa vaha pahuch gayi, alok ki maa ne pahle to khane ko uthakar bahar fek diya, aur fir apni beti par chillai, aur boli ki tu yaha kya kar rahi he, aur ye khana kis se puch kar lai, alok ki vo maa ye nahi chahti thi ki uski beti alok ko apna bhai mane, uske kathor vyevhar se alok bhi darta tha, aur vo apni beti ko ghar ke andar le gayi , lekin bhumi ka dil andar se roo raha tha ki uska bhai aaj raksha bandhan ke din bhi bhuka rahega, kuch der baad alok bhi majduron ke saath kaam par chala gaya, vaha din bhar kaam karta raha aur saanjh hone ko aayi fir bhi ghar se khana nahi aaya, aur agar ghar se khana bhi aata tab bhi alok kabhi khata kabhi bhukha hi rah jata , kyoki alok ki sauteli maa uske liye kabhi baasi khana bhejti to kabhi Rukha sukha khana bhejti, is dasa me alok majduro ke saath unka khana khata tha. 
Aur ghar aane ke baad alok ko hamesa  pita ki maar ka daar rahta tha, jab alok ke pita gav se bahar jate the, to alok itna khush hota tha ki mano jaise sar se Shani ka bhaar Utar gaya ho  . alok ke man me pita ki maar ka dar is kadar baith gaya tha ki jab thakur Jaydev bahar se gav aate the, to alok ki rooh kaamp uthti thi, jab alok ke pita alok ke paas aate the to alok ke haath Pair Thartharane lagte the. 
Samaye anusaar alok ki umar vivah ke layak ho gayi. Kuch dino ke baad thakur Jaydev ka vo nizi mitra jiski beti surbhi thi vo alok ke ghar  aayi. Surbhi ki bachpan se hi naach- gaan me ruche thi ab vo apne dance se lagbhag mashoor ho chuki thi.  Ab vo Bade Bade Dance Show karne lagi thi. Raat ko surbhi thakur ke ghar pe hi ruki, raat ko kuch der alok ke pita se baat-chit ki khana khaya aur soo gayi. 
Dusre din Subah ke samaye thakur Jaydev aur surbhi dono saath baithe the, to alok ke pita ne socha ki kyo na surbhi se alok ke saath shaadi ki baat kar le, thakur Jaydev ne alok ko bulaya. Aur surbhi ke samne hi bol diya ki me tumhara vivah surbhi ke saath  karna chahta hu tumhari kya ray he, itna sunkar surbhi ne socha ki me is majdor se shaadi karungi , lekin surbhi kuch der chup hi rahi aur sochi ki ak baar alok ko ha karne do fir yahi par me iski beijjati karungi. Lekin jab alok ne apne pita ko javab diya to sab ulta ho gaya, 
Alok apne pita se darta tha lekin fir bhi alok ne kaha ki me surbhi se shaadi nahi kar sakta, tab alok ke pita ne puchha ki kyo nahi, kya surbhi achhi ladki nahi he, to alok ne kaha ki mera vivah to meri maa ne bachpan me hi Anuradha ke saath tye kar diya tha, tab alok ke pita ne kaha ki vo to bachpan ki baat thi , aur koi shaadi to nahi huvi thi, sirf vachan hi to diya tha tumhari maa ne, ab na to tumhari maa he aur us Anuradha ka bhi kya pata, vo ab tumse shaadi kare ya na kare, javab me alok ne kaha ki vo meri taqdir he ki Anuradha mujhse shaadi kare ya na kare, Lekin me surbhi se shaadi nahi kar sakta . Aur vaise bhi koi nachne-gaane  wali meri patni nahi ban sakti.
 Alok ki ye baat  sunkar surbhi bhadak uthi aur alok se boli ki kya kaha tumne nachne –gaane wali se shaadi nahi karoge , tum gavar majdoor ko kya pata aaj- kal naach- gaan ak profisnal career ban chuka he, jaha bhi jati hu log salam karte he mujhe, aur dancer surbhi ke naam se mashoor hu me, aur shaadi ke liye tum kya mana karoge me khud tum jaise lachar aur bekar se shaadi nahi kar sakti jiske kal ka pata na aaj ka , aur jo tumne naachne wali bolkar jo meri beijjati ki he dekhna me tumhari taqdeer par vo tamacha marungi ki jivan bhar rote rahoge. 
Surbhi ghamand aur akad ke saath apne roos ki  saari aag ugalkar vaha se chali gayi. Surbhi ke jaane ke baad thakur Jaydev ne kroodh aur nafrat bhari nazar se Alok ki or dekha aur vaha se chale gaye, ies ghatna ke baad thakur Jaydev aur alok ki sauteli maa dono hi alok ko  bahut hi gira huva samajhne lage, aur alok ko pahle se bhi jyada dukh dene lage. Ab alok ke upar aur bhi jyada atyachar hone laga. 
Ak baar jab alok majduro ke saath kaam kar raha tha , tabhi ak saathi ne alok se bola ki , tumne apne pita se ye to bol diya ki tum surbhi se shaadi nahi karoge , lekin ak baar anuradha se bhi pata kar lete , ki vo kaisi he vo tumse shaadi karegi ya nahi ,  kaam karte huve saare majduro ne alok ko bola ki ak baar anuradha se milna jaroori he , apne saathiyo ki baat mankar alok ne tya kiya ki kisi ko anuradha ke paas bhej kar maloom kar liya jaye , ki uski marji kya he, 
Alok ne chup- chap apne ak khaas saathi ko anuradha ke gav bheja, jab vo alok ka saathi anuradha ke ghar pahucha to anuradha ke pariwar walo ne uski bahut khatir kari, usne bataya ki mujhe alok ne bheja he , anuradha kaisi he.  Itne me anuradha bhi vaha aajati he,, alok ke dost ne anuradha ko dekha aur haath jodkar Namaste kiya, anuradha ne bhi haath jodkar Namaste ka jawab diya. Anuradha is samaye ak roop ki rani lagti thi. Anuradha ko dekh kar alok ka dost bahut khush huva  , kuch der alok ka dost anuradha ke pariwar walo se baat karta raha, anuradha ki maa ne pucha ki alok kaisa he , mujhe nahi lagta ki vo maa ke swargvas ke baad thik se rahta hoga , tab alok ke dost ne gardan hilate huve jawab diya,, so to he, alok to bachpan se hi thik nahi he , baato hi baato me alok aur anuradha ke vivah ki baatey suru ho gayi, anuradha ke mata – pita ne dono ki shaadi ki baat chhed di, aur alok ke dost ko bola ki hum jald hi aapke gav aayenge  alok ka tilak karne, . ye sunkar alok ka dost bahut khush huva, aur khushi-khushi apne gav loot aaya, 
Apne gav aate hi alok se milne uske ghar pe gaya ,sandhya ka samaye ho chuka tha ,jab alok ka dost alok ke kamre me gaya to dekha ki ak taraf alok ka rukha – sukha khana rakha huva tha aur ak taraf alok gahri sooch me baitha huva tha, soch raha tha ki kya pata anuradha use milegi ya nahi ya fir mil bhi jayegi to kya pata vo mere bare me kya bolegi bachpan ki baat or thi, ab meri is halat se kaise samjhota karegi vo. Alok ke dost ne Aawaj lagai aur bola are alok kya soch rahe ho . apne dost ko dekh kar alok choka aur bola ki aagaya mere bhai. Batao kya huva anuradha se mile ya nahi , kya samachar he jaldi batao. Ies samaye alok ke man me kai tarah ke sawal uth rahe the, kyonki alok bhi anuradha se bahut pyar karta tha, 
Aaj alok ke dost ki juban pe alok ki  zindgi aur sahare ka jawab tha , aur alok us jawab ko janne ke liye utavla ho raha tha, tab alok apne dost ko ak taraf le jakar baitha deta he aur puchta he ki ab batao kya baat he. 
Tab usne alok ko saari baat batai , jab alok apne dost ke muh se anuradha ki baat sun raha tha, tab alok ko lag raha tha ki jaise bachpan wale chote se muh se khud anuradha hi bol rahi ho, aur sabse jyada khushi tab huvi jab alok ke dost ne ye baat batai ki vo tumhari shaadi tye karne jald hi yaha aane wale he. 
Dusre din jaise hi  bhumi Apne bhai se milne aayi, to aate hi alok ne apne dost ki saari baat bata di, ye sunkar bhumi ki khushi ka koi thikana nahi raha . dono bhai bahan khushi ke mare gale mile aur chale gaye. Kuch din baad thakur Jaydev ko jab ye baat pata chali ki alok ne apne ak dost ko anuradha ke ghar bhej kar vivah ki baat tye kar di to vo alok par bahut naraj huve alok ki sauteli maa ko bhi jalan huvi aur sochne lagi ki alok ne to khud hi vivah ka bhar utha liya , agar vo khud hi ye kaam kar lega to hamari izzat kharab ho jayegi. 
Alok ki sauteli maa ne apne pati ko alok ke khilaf bhadkaya. Aur use ghar aur gav se bahar karne ka Nishchay kiya. Alok ki sauteli maa ne socha ki akela alok kya kar lega.  2-3 din soch samajh kar alok ki sauteli maa ne use   ghar se bedhakhal karne ki puri yozna bana li. 
Ak din jab raat ke samaye thakur Jaidev apne kakx me baith kar gahri chinta me dube huve the . to alok ki sauteli maa ne pucha ki kya baat he , kya soch rahe ho, tab unhone kaha , kuch nahi . kuch to soch rahe ho alok ki maa ne kaha, tab thakur ne kaha ki me alok ke bare me soch raha hu , ye hamesa meri  izzat ko kuchalta rahta he , mujhe bina bataye anuradha ke ghar apne dost ko bhej kar apni shaadi ki baat khud hi kar li .agar me hi alok ki shaadi ke liye kuch karta  to gav ki nazar me meri izzat bani rahti .  jab ye baat pure gav me feil jayegi ki pita ke hote huve uske bete ko ye sab khud karna pad raha hai to hamari koi izzat nahi rah jayegi Lekin vo akela kar bhi kya lega shaadi koi khilona to he nahi jo akela hi kar lega . tab alok ki maa ne kaha aap chinta mat kijiye sab thik ho jayega. 
Idhar alok ki tabiyat kuch thik nahi thi. Use mausmi bukhar ho gaya tha, paise nahi hone ke karan vo dawa bhi nahi le saka . thand ka mosam tha , alok ke paas odhne ke liye kuch nahi tha vo tej thand aur bukhar ke karan bilakhta kuva apne kamre me soya huva tha . lekin koi bhi alok ki tabiyat puchne nahi aaya. Aur na hi kisi ne dawa dilai. 
Dusre din subah hote hi alok ki Maa ne chup chap gav ke ak Aadmi  ko bulaya. Jo har prakar ke adham kam karne me mahir tha. Luut khashot karna jiska nizi kaam tha, rang – roop me ak dum koyle  ke saman kala, jisko raat ke samaye khada kardiya jaye to pata bhi nahi chale ki yaha koi hai bhi .Us aadmi ne chup chap Haweli me Aa kar alok ki Maa ko pranam kiya aur kaha Mujhe yaha kyo bulaya Malkin ji kya baat hai. Tab alok ki Maa ne bataya ki tumhe mera ak kaam karna hoga . 
Kya kaam he Malkin ji Us Aadmi ne kaha , tab alok ki Maa ne kaha ki tumhe gav ke kisi ak ghar se chori karni he jo ki tumhare liye koi bada kaam nahi he. Aur koi kimti vastu churani he jise lekar tumhe alok ke kamre me chhupani he bas . lekin kyo aap aisa kyo kar rahi hai Malkin ji. Us aadmi ne kaha.  Alok ki Maa ne kaha ki mujhe alok ko ghar se bahar karna he . me chahti hu ki vo mujhe dikhai bhi na de. Aur tumne mera ye kaam kar diya to muh manga inaam pavoge , 
Tab use Aadmi ne kaha ki aisa hi hoga Malkin ji, lekin aap bhi mujhe ak vachan do ki yadi me kabhi chori karta pakda jata hu to aap mujhe bachayenge. Thik he, Alok ki maa ne jawab diya. To jao aaj ki raat ko hi ye kaam kar do . 
Alok ki tabiyat abhi tak thik nahi thi fir bhi vo pita ke dar ke karan majduron ke saath kaam karne ke liya gaya huva tha. Saam hote hi alok apne ghar aaya . kuch rukha sukha bhojan mila jise khaa kar let gaya . lekin alok ko bukhar ke karan neend nahi aarahi thi, vo kadake ki thand aur bukhar se chhatpata raha tha. Us bechare ko to pata bhi nahi tha ki uske khilaf koi shadyantra ho raha he . kuchh der baad bukhar ki vajah se alok ko gehri neend aagayi. 
Alok ki Maa ka bheja huva vo Aadmi  raat ke andhere ki rah dekh raha tha andhera hote hi usne pahle to alok ke kamre se alok ka ak gamchha uthaya aur alok ki chappal pehan li  . gamchhe ko  mathe par odh liya jis se ki koi dekh bhi le to alok hi samjhe. Aur  chori karne nikal pada.  gav ke ak dhanwan admi ke ghar se usne ak sone ka Aabhushan chura liya. Aur churakar us aabhushan ko alok ke kamre me chhupa diya . Fir alok ka gamchha aur chappal vahi rakh diya 
Agle din jab gav ke us admi ne apne ghar me aabhushan ko nahi paya to usne soor macha diya . 
Subha ke samaye hi pure gav me afra – tafri mach gayi. Sab log soch rahe the ki ye chori kon kar sakta he . kuch der baad thakur ka vo saathi jisne chori ki thi, vo aakar sab gav walo ko bolta he ki mene ak admi ko raat ke samaye bhagte huve dekha tha . sab logo ne pucha ki kisko dekha, to usne alok ki taraaf isara karke bataya ki uske sar  par aisa hi gamchha tha. Tab kuch logo ne kaha ki kahi ye alok hi to nahi. Lekin kuch log jo alok ko chahne wale the jinhone bola ki nahi alok aisa kaam nahi kar sakta kyoki alok raj pariwar se he . mar jana manjoor karega par vo aisa ghatiya kaam nahi kar sakta . 
Parantu thakur ke us sathi ne kaha ki ho sakta ki vo apne nizi kharche ke liye chori kar sakta ho. Thakur sahib to use kuch dete nahi to uske paas kharche ke liye paise kaha se aayenge. 
Idhar alok par lanchhan lag raha tha to vo bahut sarminda huva. Aur bola ki meri to tabiyat kharab ho rakhi thi. Thodi door chalna bhi mere bas me nahi tha . me chori kaise kar sakta hu. 
Lekin gav ke kuch chaplush logo ne kaha ki kyo na alok ke kamre me talaas kar li jaye. Agar nahi mila to kuch aur sochenge. Ye sunkar jisne chori ki thi vo bhi khush ho kar gav ke logo ke saath alok ke ghar me gaya aur talaas ki . talaas karte hi alok ke ghar me vo sone ka abhushan mil gaya 
Gav ke sabhi logo ne alok ko pakad liya . alok  chillata hi rah gaya ki me to soo raha tha mujhe pata nahi ye kaise huva . mene chori nahi ki he . ak mazboor aur lachar alok ke paas izzat ke alawa kuch nahi tha, aaj vo izzat bhi mit chuki thi, sab gav walo ne alok ko pakad kar thakur ke paas le gaye . aur bole  ki hume maaf karo thakur sahib aapke bête ne gav me chori ki he . hum saja dilane aapke paas laye he. 
Itne me thakur sahib ke paas suchna aati he ki alok ke sasural se anuradha ke pita kuch logo ke saath yaha aarahe he alok ka tilak karne. Ye sunkar vo bahut khush huve ki ab to anuradha bhi alok ke haath se gayi. Aane do use bhi alok ke chor hone ka pata chal jayega. Fir thakur Jaidev ne   police thane me phone karke police ko bulaya aur alok ko giraftar karva diya aur bola ki isne chori ki he ise thane me band kar do. 
Jab police alok ko pakad kar thane lekar jaa rahi thi. Tab alok ne bhi suna ki anuradha ke pita yaha aane wale he. To alok ghabra gaya ki pure gav me to beizzati ho gayi lekin anuradha ke pita to ab mujhe kabhi swikar nahi karenge. Us din alok ko apne pita par bahut gussa aaya. Aur alok samajh gaya ke ye meri Maa aur pita ji ki hi chal he. 
Alok police walo ke saath jab thane jaa raha tha tab soch raha tha ki ab to kuch nahi bacha mere paas anuradha ka vishwas tha vo bhi aaj toot jayega. Alok ki aakhe bhar aayi . chori ka ilzaam ne alok ko puri tarah hila kar rakh diya. 
Idhar alok ke pita ne yojna bana rakhi thi ki alok ko thane lejate hi court me pais karvaya jaye . jis se ki vo use bedhakal kar sake . police walo ne aisa hi kiya alok ko turant chori ke ilzaam me court me pais kar diya. 
Jab ye suchna alok ki bahan bhumi ko mili to vo apne pita se boli ki nahi pita ji alok bhayia chori nahi kar sakte.  Mujhe alok bhaiya  se milna he . kaha he vo. Tab thakur ne kaha ki use police pakad kar le gayi he. Tab bhumi ne kaha ki fir bhi mujhe unse police thane me hi milna he . to thik he chalo. Thakur ne kaha. 
Thodi der baad thakur Jaydev aur gav ke kai log bhi alok ke paas gaye, gav ke log alok ka tamasa dekhne ke liye jaa rahe the. 
Jab pure gav me alok par chori ka ilzaam aur giraftari ki baat feil gayi to raste me aarahe anuradha ke pita ko bhi pata chala ki alok ko police pakad kar le gai he , tab vo log alok ke ghar aane ke bajay sidhe police thane ke liye rawana ho gaye. Jab alok ke pita aur gav ke log thane pahuche use pahle alok ki maa ki yojna ke anusar  police walo ne alok ko court me judge ke samne pais kar diya . alok ke pita aur bhumi aur gav ke kuch log bhi adalaat me pahuch gaye. 
Apne pita aur bahan ko dekh kar alok ki aankhe bhar aayi. Aur vo apni behan bhumi ke paas aaya alok ke bhumi ke paas aate hi uske pita door ho gaye , aur alok apni bahan se baat karne laga  bola ki nahi  bhumi mene chori nahi ki , kisi ne mujhe fasa diya,  police wale bhi mujhe bahut maar rahe he, aur ab yaha court le aaye he me apne aap ko kaise begunah shabit karunga.  koi meri baat manne ko tyyar nahi, alok ki lazza bhari aankho se aanshu tapak rahe the aur vo rota huva apni behan se baat kar raha tha. 
Thodi der baad anuradha ke pita bhi vahi court me pahuch gaye. Alok ko dekha to vo rota huva apni behan se baat kar raha tha. Jaise hi alok ki nazar Anuradha ke pita par padi to Alok ne Sharm ke mare Aankhen Moondh li. 
Itne me court me judge aagaye aur sab log apni – apni jagah baith gaye .adalaat me alok ke gav wale , anuradha ke pita aur unke sathi, aur 4-5 badmash sarikhe log bhi the jinki adalaat me agli sunvai thi.  adalaat me sunvai suru ho gayi. Kuch der bahas chalti rahi . gav ke kai log jo adalaat me aaye huve the , ak-ak karke sabhi alok ke khilaf me bayan dete jaa rahe the. Kisi ne bola mene ise chori karke bhagte huve dekha , kisi ne kaha chori ka abhushan alok ke ghar me mila, kisi ne kaha ye to kai dino se chori kar raha he abhi kuch din pahle bazaar gaya tha aur apni behan ke liye chunri laya tha ye paise kaha se aaye jabki iske paas koi aamdani nahi he ye to apne pita ke yaha daas ki tarah rahta he, sab jog alok ke khilaf me bayan dete jaa rahe the.  alok ke pakx me koi nahi bola , kuch der baad alok ki behan bhumi khadi huvi aur boli ki nahi judge sahib mera bhai chor nahi he, ye chori nahi kar sakta . aap jo bhi he please katghare me aakar kahiye, judge sahib ne bola . bhumi katghare me jaa kar khadi ho gayi. Aur samne wale katghare me apne bhai alok ko dekhti  rahi adalaat me pahli baar aane ke karan alok ke haath – pair darr ke mare tharthara rahe the aankhe anshuvo se bhari huvi thi, chori ke ilzaam ke karan chehra sarm ke mare jhuka huva tha, aur isse bhi  jyada pasina to alok ko isliye chhot raha tha ki alok ki nazar bar-bar anuradha ke pita ko dekh rahi thi. Judge sahib ne  bhumi se kaha bolo tumhe kya kehna he, 
Bhumi-, judge sahib ye alok mere bhai he , aap ise dekh kar bataiye ye kis tarah se chor nazar aata he, agar ye chori karta to inke fate-purane kapde dekhiye inka haal dekhiye  kya ye chori karta to apne kapde nahi banva leta, 
Judge-, lekin chori kiya huva abhushan alok ke ghar se baramat huva he kuch logo ne chori karke bhagte huve bhi dekha , aap to inki behan he isliye inka paksh le rahi he, gav ke logo me se to  koi bhi alok ke paksh me bayan nahi de rahe.   Isliye ye adalaat Mr. Alok ko chori ke ilzaam me turant police hirashat me lene ka hukm deti he, 
Idhar adalaat me karyavahi chal rahi thi aur udhar alok ke vo Teacher jinka naam  Jagdish tha , jo alok ko bachpan me ghar aakar padhaya karte the , jinki vajah se alok anek mushibato ke bavjood bhi padhai kar saka,in dino unka bhi haal bahut bura ho rakha tha, unke  2 bete the jinko vo teacher Aajivika kamane ke liye sahar bhej rakha tha, kuch din to vo dono bhai khoob mil –julkar kam karte rahe aur kamate rahe, lekin ak baar dono bhai  kisi badmaso ke changul me fas gaye , dono bhai kai mahino se jail me band the, unke pita teacher jagdish  puri kosis karne ke bavjood apne bete ko nahi chhuda paye, kyonki vo badmaas log kafi power-full the. Teacher jagdish  apne bacchho ko nahi chhuda pane ke karan bahut niraas ho chuke the. Achanak unke maan me alok ka khayal aaya. Unhone alok ke paas jane ka nischaye kiya.   vo alok ke gav aaye aur aakar kisi se puchha  ki alok kaha he, to jawab mila  ki alok ko chori ke ilzaam me police pakad kar le gayi. Ye sunkar vo chok gaye aur bole ki ye kya keh rahe ho alok ne chori ki, lekin ye to ho hi nahi sakta, mene alok ko mushibato ka samna karna sikhaya he chori karna nahi, aur mujhe nahi lagta ki alok chori kar sakta he , ye jaroor kisi ki chal ho sakti he. 
Alok ka teacher bahut dukhi huva soch raha tha ki me to apne beto ki sahayata ke liye alok ke paas aaya tha , lekin yaha to alok khud hi mushibat me he . aur aaj teacher ke beto ki adalaat me tarikh sunvai  bhi thi. Isliye vo teacher jagdish jaldi se vaha se ravana ho gaye . 
Jab teacher jagdish raste me jaa rahe the to vo soch rahe the ki pahle to me adalaat jata hu tarikh ka samaye ho gaya fir alok se milne police station jaunga. Vo bhi mere  bête jaisa hi he . 
Teacher jagdish adalaat pahuch gaye aur andar karrvahi chal rahi he isliye vo bahar hi ruk gaye, unhe pata nahi tha ki andar alok ki hi sunvai chal rahi he, 
Adalaat me sunvai khatm ho chuki thi , alok chori ke ilzaam me gunahgar sabit ho chukka tha. Iske baad alok ke pita ne adalaat me judge ke samne kaha ki  ye chor alok mera beta he iske liye me sarminda hu. Aur me ise apni jaydad aur ghar se bedhakal karta hu. Ise mere gav me rahne ka ab adhikar nahi he. Ye kah kar vo adalaat se bahar chale gaye. Alok adalaat ke kathghare me khada tha use kuch bhi samajh nahi aaraha tha ki kaha jau. Ghar aur gav se to pita bedakhal kar chuke he. Alok ko chakkar aane laga, sab log dhire-dhire adalaat se bahar jaa rahe the. Alok sahma sa ghabraya huva kathgare me khada tha. Achanak uski nazar apni bahan bhumi par padi . alok ne socha ki aakhiri baar apni behan se gale mil leta hu , aur jail se nikalte hi me aatm-hattya kar lunga. Jab ye dharti mera bhaar  hi nahi jhel paa rahi to me jee kar kya karunga. Mera to sab kuch khatm  gaya, rahne ko jagah nahi, khane ko bhojan nahi, pahnne ke liye kapde nahi koi apna nahi. Thodi izzat thi vo bhi aaj bikhar gai. 
Is prakar sabhi dukho ko apne gale me atka kar alok behan bhumi ki or chala, jaise-jaise vo bhumi ke paas jaa raha tha apni rone ki kshmta ko gale me dabaye rakha. Aisa lag raha tha ki jaise hi vo bhumi se gale milega aur fut-fut kar rone lagega. Alok ko bhumi ke alava koi dikhai nahi de raha tha. 
Jaise hi behan se gale milne ke liye alok ne dono haath failaye. Bhumi bhi paas aarahi thi, dono bhai –behan gale milne wale hi the ki alok kisi se takrakar niche gir gaya, Niche girate hi turant bhumi ne alok ko sambhal liya . bhumi ak  haath se pakad kar alok  ko khada kar rahi thi aur dusre haath se alok ke aanshu pochh rahi thi. Khada hote hi alok  ne uski taraf dekha jinse vo takraya tha. Vo koi or nahi alok ke teacher jagdish hi the. Jinki ies adalaat me sunvai hone wali thi. 
Apne teacher ko dekhte hi alok unse lipat gaya aur  fut-fut kar rone laga. Teacher ko dekhte hi alok ko laga ki jaise ies mushibat ki ghadi me koi bhagwan hi samne aagaye ho. Gav ke sab log adalaat se bahar jaa chuke the, andar sirf alok bhumi aur teacher jagdish aur kuch log the.

Teacher ne rote huve alok ko chup karaya. Aur  alok ne  teacher ko  pair chhukar pranam kiya. Teacher ne kaha sukhi raho beta. Me tumhare ghar gaya tha tum nahi mile , mene gav ke logo se puchha to bataya ki tumhe chori ke ilzaam me police pakad kar le gayi. Lekin me tumhari kya madad karu me khud hi kanoon ke changul me fasa huva hu. Kya yaha court me tumhari paisi thi ? 
Alok ne kaha ha guru ji , me chor ghoshit ho gaya , aur mujhe police hirasat me lene ka adesh ho chukka he ,  
 alok ne fir kaha ki guruji me aapki kya sahayata kar sakta hu, kya baat he, tab teacher ne kaha ki mere dono bête sahar me rahte the . dono kamate aur khush rahte the. Lekin saal bhar pahle dono kuchh badmaso ke changul me fas gaye . jurm badmaso ne kiya aur mere bête us apradh me fas gaye . saal-bhar se case chal raha he parantu abhi tak koi parinam nahi nikla ,mere dono bête jail me band he . me abhaga abhi tak apne bacchho ko nahi chhuda saka. Ab to koi vakeel bhi mera case ladne ko tyyar nahi. Aaj tarikh he . lekin mere paas koi sahara nahi he . yahi sochkar me tumhare ghar gaya tha, ki tum meri koi sahayata karoge.
 Aap adesh dijiye guruji , alok ne kaha , me kis tarah se aapki madad kar sakta hu.tab teacher ne kaha,  Abhi yaha adalaat me mere bête ki sunvai hone jaa rahi he lekin me chahta hu ki tum mera cash sambhalo. Judge sahib se me adesh dila deta hu. Ye sunkar vo jo 3-4 badmas log vahi khade the jinke khilaf teacher ka cash chal raha tha. Vo teacher ki ye baat sunkar joro se hansne lage. Aur hanste huve bol rahe the ye vakalat karega jo khud ak mujrim he chor hai . khud ki fati huvi halat to sudhar na saka aur dusro ki sahayata karega, apne – aapko to bacha na saka . ies buddhe ke beto ko kya bacha payega. Tab teacher jagdish ne un badmaso se kaha ki tum ak baar mere alok ko mauka to milne do fir dekhna  vo ies adalaat me tumhara kya haal karta he. Tab badmaso ne kaha ki mauka to hum denge ise . judge sahib se hum aadesh lete he, tum apna cash ise dedo. Hum bhi to dekhe ak mujrim vakalat bhi kar sakta he kya.vo bhi hamare mashoor aur pratibhavan vakilo ke samne,  Aaj tak to ies desh me aisa nahi huva ki koi mujrim cash lad sakta ho aur jeet bhi jaye. 
Tab un badmaso ne khunnas me aakar judge sahib se teacher jagdish ka cash alok ke dwara ladne ka aadesh le liya . 
alok ne bhi socha ki me bahut bhagyasali hu ki mujhe apne guru ki seva ka mauka mila he . aur adalaat ki karrvahi suru hone hi wali thi ki bahar khade alok ke pita aur gav walo ko bhi pata chala ki alok apne guru ji ka cash lad raha he to sab logo ne socha ki adalaat me chalte he alok ka ak aur tamasa dekhne. 
Alok ke sasural wale bhi vahi the. Aur bhumi bahut khusk ho rahi thi ki uska bhai apne guru ke liye cash lad raha he. Adalaat ki karrvahi suru hone se pahle teacher jagdish ne alok ka hosla badhane ke liye cash ki file dete huve kaha ki beta alok tum meri vakalat kar rahe ho aur tumhe aaj hi ies cash ko khatm karna he aur mere beto ko saja se mukti dilani he . yadi tumne aisa kiya to me tumhare ies upkaar ko Guru Dakshina samjhunga. Ye tumhari pariksha he beta. Jise tumhe paas karna hi he . 
Apne guru ki baat sunkar  alok ne bhi apne gugu ji ko vachan de diya ki guruji ab aapke beto ki jimmedari me leta hu chahe meri jaan hi kyo na  chali jaye me aapke beto ko koi aanch nahi aane dunga. Teacher ne kahi se kala kot laa kar alok ko pahna diya . kot pehan kar alok ne apne guruji ke pair chhoye. Tab guruji ne alok ko vijay ho ka aashirwad de kar apni jagah jane ko kaha. Alok vakilo ki seat ke paas gaya jaha table par kuchh file aur ak chaku rakha huva tha, vo chaku mauka e wardat se baramad kiya gaya tha, jis par teacher ke bête ke haath ka nisan sabht ho rakha tha. 
Adalaat ki karrvahi suru ho gayi sab log alok ki or dekh rahe the. Kyonki vo mujrim sabit hote huve bhi apne guruji ka cash lad raha tha. Alok ke pita aur gav wale ye log to apni aankhe jama  kar baithe the ki alok ka majak udana he. Adalaat me sunvai suru hote hi un badmaso ke vakil ne apni bahas rakhi aur teacher ke beto ko mujrim karar dekar saja barkarar rakhne ki apil kar raha tha.jab tak badmaso ka vakil bahas kar raha tha tab tak ke samaye me alok ne apne cash ki file padh li.  Tab alok ne bhi us mamle ki gutthi ko bariki se chhan mara . lekin alok ko pahle to koi rasta nazar nahi aaraha tha .ak to alok pahle se hi dukhi tha kyonki bevajah use chor ghoshit kar diya gaya tha . pure gav se kisi ne bhi alok ka paksh nahi liya. In baato ke karan alok pahle se hi gusse me tha.  badmaso ka vakil bhi alok par bhari padta jaa raha tha. Lekin baad me alok ne ak-ak karke badmaso ka bayan lena suru kar diya  aur apni buddhi chaturai se alok ne uljhan bhare sawal karna suru kar diya . jinka jawab badmaso par bhari pada. jisme dhire-dhire un badmaso ki pool khulne lagi . karib 40-45 minut tak lagatar Aamne-samne bahas chalti rahi. Alok ka palda bhari hota gaya.  Ant me adalaat ke ak katghare me ak badmas aur ak katghare me teacher ke dono bête. Aur maamla badmaso ke vipax me sabit ho gaya. Sab log alok ki pratibha dekh kar chakit rah gaye. Judge sahib final faisla sunane hi wale the ki alok ki nazar katghare me khade us badmas par padi . jo cash harne ke karan bokhla gaya tha. Usne apni jackit ke andar se chupke se pistol nikali,  pistol nikalte hi alok savdhan ho gaya. adalaat me se or kisi ki bhi nazar us pistol par nahi padi aur us Bokhlaye huve badmas ne Alok ke teacher ki taraf pistol se goli chala di . 
Lekin alok pahle se hi savdhan khada tha, usne apne ak haath par vo goli jhel li. Aur Alok ke Guru Jagdish To bach gaye Lekin Alok ke haath Ke Chithade ho gaye. goli chalte hi adalaat me afra-tafri mach gayi . sab log dekhte hi rah gaye kisi ko kuchh samajh nahi aaraha tha. Haath par goli lagne se alok ke gusse ka para puri tarah chad gaya tha.  Tabhi alok ne us badmash ko apne dusre haath se pakad kar katghare se bahar nikala aur thappad jad diya. Alok ke haath se bahut khoon nikal raha tha. Tab bhi alok ne adalaat ki karrvahi jari rakhi . vo nirantar bahas karta raha. Tabhi judge sahib ne kaha ki Mr. Alok aap apne haath ko sambhaliye. Bhut khoon bah raha he . tabhi bhai par goli chalne ke karan ghabrayi huvi bhumi alok ke paas aayi aur apna dupatta faad kar alok ke haath par bandh diya. 
Kuchh der baad judge sahib ne faisla suna diya badmaso ko saja ho gayi aur teacher ke dono bête Baaizzat bari kar diye gaye. Aur Judge ne Alok ki pratibha aur Guru ke prati Tyag ko dekh kar uski Saja Maaf  kar di. 
Alok ka ye drishye dekh kar adalaat ke sab log chakit rah gaye. Sab log adalaat ke bahar aagaye. Alok aur teacher bhi bahar aagaye. Tab teacher ne alok ko gale laga liya .aur rote huve kaha ki beta ye kya kar liya tumne. Meri khatir tumne apna ak haath khoo diya. 
ALOK- Aapne hi to mujhe padhaya he guruji aapke liye  haath to kya meri jaan bhi chali jati to bhi kam tha. Lekin ak kami rah gayi  
TEACHER- Kya kami rah gayi Beta,  
ALOK- Guruji Agar vo goli me haath ke bajay apni chhati  par jhelta to me bhi guru bhakt kali bai ki tarah Itihaas me Amar ho jata. 
Alok ke Haath par goli lagne se teacher khud sarminda tha ki alok ko kya bole. Jisne mere khatir goli khai, guru ke liye is tyag ko dekh kar teacher ka hridaya bhar aaya. Ve alok ke prati bhav vibhor ho uthe. Unhone alok ke sar par haath rakha aur vardan ke toor par alok ko ashirwad diya aur kaha, alok , aaj tumne apne guru ke liye apna haath khoya he ak din ye haath itna uncha uthega ki sara sansar  is haath  ke niche hoga , aur pure Sansar me tum aur tumhara gyan amar ho jayega, ye mera ashirwad he. 
Dosre din news paper me ye khabar chhap gayi . sab log alok ki tarif kar rahe the. Yahi vo khabar thi jise padhkar P.M. Sahab ne paresh ko alok ki talash me bheja tha. 
Alok haath ka ilaaj karva kar apne ghar aagaya . Gav ke sab log bhi apne gav aagaye. Kuch der baad anuradha ke pita aur unke saathi bhi aagaye. Anuradha ke pita ne alok ka tilak kiya . aur shaadi ki baat pakki karke chale gaye . 
Anuradha ke pita ko jaate hi alok ne apne kamre se apna saman uthaya or gav se bahar jaane laga . kyonki thakur Jaydev ne adalaat me alok ko ghar or jaydad se bedakhal karne ki baat ki thi.  lekin jab alok kuch hi dur gaya to gav ke kuch logo ne alok ko roka aur kaha ki tum isi gav me raho hum sab milkar tumhe yaha rahne ki jagah denge. Gav ke logo ne milkar thakur Jaydev ko bhi raazi kar liya ki alok ko isi gav me rahne de. Alok ke pita ne sar hila kar alok ko gav me rahne ki ijazat de di. Sab gav walo ne milkar alok ko thodi si jagah di. Jisme alok apna ghar banakar rah sake. 
Ab alok pita se bilkul alag ho chuka tha use pita ki or se sahyata ki koi gunjayas nahi rahi. Ab alok pahle ki tarah mehnat – majduri bhi nahi kar shakta tha kyonki alok ne apna ak haath khoo diya tha. Alok ne din –raat mehnat karke us jagah par ak chhota sa mitti ka ghar banaya. Ghar ke upar ghaas poos se chhat banai 
Kuchh din baad alok ki shaadi honi thi. Alok ke pita ne shaadi me koi bhagidari nahi dikhai. Parantu alok ki behan bhumi alok ki shaadi se bahut khush thi . vo rooj alok ke ghar pe aati aur shaadi ki tayyari karva ke jati thi. Aur apne bhai ko niharti rahti thi. Bhai ke samne shaadi ke chidane wale gane gati thi. Dono bhai behan ak-dusre ko shaadi ke bare me chidate aur hanste the. Jab bhumi alok ko haldi lagati to ithlati huvi chahe jaha alok ko haldi lagati. 
Jab alok shaadi ke liye dulha bana tab bhumi kai der tak apne bhai ko niharti rahi. Bhumi ne alok ki shaadi ki saari parampara badi khushi se nibhai. Ghar ke angan me bhumi apne bhai ki shaadi me jhoom jhoom kar kabhi nachti kabhi gaati rahti thi.  Alok ki shaadi ho gayi dulha – dulhan ghar aagaye. Bhumi ne bade chav se apne bhai-bhabhi ki aarti ki aur ghar me pravesh karaya. Jab alok anuradha ko lekar apne ghar aaya to uska man sakuchaya huva tha. Soch raha tha ki  itni badi haweli ka varies hote huve bhi vo ak jhoopdi numa ghar me rahta he. Parantu anuradha ne alok ka bhav samajh liya. Aur ghar ki sajawat ki or isara karte huve alok se kaha ki ghar to bahut acchha sajaya he aapne. 
Alok--  ye sajawat to meri bahan bhumi ne ki he . vo mujhse bahut sneh rakhti he. 
Anuradha-- unki khushi to mene yaha aate hi dekh li thi. 
Isi tarah dono baate karte rahe. Alok ko bhi apne dukh bhare jivan me anuradha ak aasha ke deep ki tarah dikhai de rahi thi. Vo anuradha ko apne anukuul  paa kar bahut khush ho raha tha ki ab mere paas koi he jo mere aanshu dharti par nahi girNe dega. 
Dono pati-patni apne kamre me baithe baate kar rahe the. Jab kabhi alok ka man adhir ho jata to anuradha use baato se hanshati rahi. 
Alok bhi baate karte karte anuradha ke karib aata gaya. Jab dono baate kar rahe the tab sarmate huve alok ne pucha ki agar hamare koi bacchha ho to pahle kya hona chahiye . 
Anuradha -, pahle ladka hona chahiye. 
Alok -, vo kyo ?
Anuradha -, kyonki vo aapki tarah bahut sundar lagega, 
Alok -, lekin hum to chahte he ki beti hi honi chahiye, kyonki vo to tumhari tarah pari jaisi lagegi. 
Anuradha -, acchha, to fir naam kya hona chahiye uska. 
Alok -, jo aapko acchha lage. Sochkar bataiye, 
Anuradha -, kuch der sochne ke baad, mujhe to ak hi naam pyara lagta he vo he KHUSHI, 
Alok -, kya baat he. agar aap mujhse bhi pucchhti to me bhi yahi naam batane wala tha KHUSHI, bahut pyara naam he, KHUSHI ko hamare ghar aane to do me uski mushkurahat ke liye kuch bhi kar sakta hu. 
Alok ki dincharya pahle ki tarah hi chalti rahi. Vo subah majduro ke saath kaam karne jata aur saanjh ke samaye vapas ghar aata. Aur apni sauteli maa ke paas khana lene jata. Jab alok maa ke paas khana lene jata to vo alok ko ghar ke kai kamo me uljha deti kaam khatm karke alok darwaje par chup-chap khada ho jata tha. Bahut intzaar karne ke baad alok ko khana milta tha. Shaadi se pahle to alok kuch der intzaar karke vapas chala jata tha . aur kai baar bhukha hi soo jata tha. Lekin shaadi ke baad apni patni anuradha ki bhi chinta thi, ki vo bhukhi na rahe. Isliye ab jab alok khana lene jata to jab maa kuchh der rukne ke liye kahti to alok kai ghanto tak darwaje par bhikhari ki tarah khane ke liye khada rahta . jab alok khana kholkar dekhta to kabhi rukha sukha kabhi baasi khana nikalta tha. Aur dono pati patni milkar khaa liya karte the. 
Kuch dino ke baad alok ke ghar ak khush khabri aayi. Aur vo ye thi ki anuradha maa ban ne wali thi. Ye khabar sunkar alok bahut khush huva. Alok ko abhi se hi aisa lagne laga ki jaise ki uski beti KHUSHI janm le chuki ho . ghar me kuch bhi na hone par bhi alok apni beti ke liye kai armaan dekh raha tha. Alok ki behan bhumi ne bhi ghar pe aakar badhai di. 
Alok din bhar bahar kaam karke ghar pe anuradha ko bhi kaam me haath bantata . 
Ak baar jab alok Majduron ke saath  kaam kar raha tha. Tab saath ke majdoor apas me baate kar rahe the, ki jaldi –jaldi kaam nibta lo nahi to thakur sahib ki beti ki shaadi ke liye samaye nahi mil payega. Aur dekho to abhi tak alok ne bhi hame nahi bola ki  meri behan ki shaadi me aana he. 
Shaadi ki baate sunkar alok un logo ke pass aagaya. Aur bola , kiski shaadi ki baate chal rahi he bhai, hamey bhi batao. 
Tab alok ke dosto ne  kaha , agar hamey nahi bulana to thik he , vaise bhi hum garib log kaha rajmahal ka khana khane layak he. Hum to baate kar rahe the ak-do din acchha khana khane ko milega. 
ALOK,-lekin ye to batao ki shaadi kiski he ?
Alok ke dost- aapki behan BHUMI ki he na. 
Alok – (Aascharyachakit) kya baat kar rahe ho . aisa nahi ho sakta. tumhe kisne bataya . 
Alok ki aankhe bhar aayi . aur vo apna sara kaam chhodkar vaha se pita ke ghar ki or bhaaga. 
Alok ke jaane ke baad unke dost apas me baat kar rahe the , ki hum to yo hi alok ka majak kar rahe the. Us bechare ko to apni hi behan ki shaadi ke bare me  kuchh bhi pata nahi . kaise sunte hi aankhe bhar aayi. 
Idhar alok bhaagta huva sidha bhumi ke paas gaya. Alok ko dekhte hi bhumi apne bhai se gale milkar rone lagi. 
Alok – tumhari shaadi tye ho gayi aur tumne mujhe bataya bhi nahi. 
Bhumi – to kya aapko pata nahi tha bhayia. Me to soch rahi thi ki kitne din hi gaye shaadi tye huve aur mere bhayia abhi tak mujhse milne nahi aaye. 
Alok – daas aur nokar ko rajmahalo ki nizi baate kaha pata hoti he. Mene to abhi apne saathi majduro se suna he. Sunte hi meri to shans  hi tham gayi. Meri pyari gudia mujhe chhor kar jane wali he. 
Bhumi – mene to socha tha ki pita ji ne aapko to bataya hoga . aur meri maa ne mujhe aapse milne ke liye mana kar diya tha. Mujhe maaf karna bhayia. 
Alok – tu kyo maafi maang rahi he pagli. Apne maa aur pita ji ko me bhi to janta hu vo hum bhai-behan ko kabhi saath nahi dekhna chahte . pata nahi mene pichle janm me kya bure karm kiye jiske karan mujhe maa aur pita ji ka itna bura bartav jhelna pad raha he. Lekin kuchh acchha bhi kiya he jiske parinam me mujhe tum jaisi behan mili he. 
Bhumi – bhagwan to mujh pe meharbaan he bhayia jisne mujhe devta saman bhai diya. Aapko apna vada to yaad he na bhayia. Jo aapne mujhe raksha bandhan pe kiya tha. 
Alok – mujhe bhali-bhanti yaad he . me tumhe apne haath se vo chunari odha kar vida karunga. 
ye bolte hi alok ki ankhe anshuo se bhar aayi. Aur bhumi ne alok ke anshu pochhe. 
Bhumi – bhabhi ka khayal rakhna bhayia. Vo garbhvati he koi kami na hone dena. 
Alok – agar tu yaha hoti to mujhe koi chinta nahi thi. Lekin tu mujhe chhor kar jaa rahi he me apne aapko bhi nahi sambhal sakta . me to daas ki tarah din bhar pita ji ka kaam karta rahta hu aur uske badle me vo mujhe khana bhi rukha-sukha dete he. Tumhari bhabhi ki halat bhi nazuk hoti jaa rahi he . 
Bhumi – koi baat nahi bhayia me bhabhi ke parvarish ki vyevastha karti hu. 
Bhumi ne gav ki ak kaki ko ye jimmedari di ki vo alok ki patni ko sambhalti rahe. Vo kaki gav ki dai(gav me mahilao ke prasav karane wali )thi. 
Jab bhumi ne dai kaki ko anuradha ko sambhalne ki jimmedari di to vo kaki har 2-4 din me apni belgadi se alok ke ghar aati rahti thi. Lekin jab dai kaki ne dekha ki alok ke pita apni vadhu ke liye kuchh nahi kar rahe. To kaki ne alok ko kaha ki beta is avastha me patni ka khaas khayal rakhna khane pine ki puri vyevastha rakhna. Nahi to garbh ke andar bacchha bigad sakta he. 
Karib 2 mahine baad anuradha ko bacchha hone wala tha. Aur 2 mahine baad hi bhumi ki shaadi bhi tye ho chuki thi. 
Bhumi bhi kabhi kabhar alok aur anuradha se milne aajaya karti thi. Lekin apne pita aur maa ke darr ke karan jyada der nahi ruk pati thi. 
Bhumi ki shaadi nazdik aate hi alok bhi apne ghar ko dhire dhire sajata raha. 
Garmi ke din suru ho chuke the. Aandhi aur barsat ke mahol hamesa bane rahte the. Is karan alok apne ghar ke chhappar pe patthar rakh raha tha. Jis se ki tej aandhi me chhappar udd na shake.
Alok ki dincharya ab kafi najuk ho gayi thi. Jo apne pita ke ghar se khane ko milta tha vo use anuradha ko khila deta tha. Jab anuradha khane ke liye kehti to alok ye bolta  tha ki pita ji ke ghar pe hi khaa ke aaya hu . 
Anuradha ko 2-3 din me bacchha hone wala tha . to alok ki chinta badh rahi thi. 3 din baad Bhumi ki shaadi bhi hone wali he, shaadi me mehman bhi Aana suru ho gaye. Alok ki bhuva bhi aa chuki thi. Aur vo alok aur anuradha se bhi milne aaye. 
Alok ka kaam aur jyada badh gaya. Din bhar Majduron ke saath kaam karta aur fir deer raat tak pita ke ghar shaadi ki tyyari karta. Thakur Jaydev alok ko apne mehmano se baat bhi nahi karne dete the. 
Alok 2 din tak lagatar apne pita ke yaha kaam karta raha . aur thakur Jaidev ne alok ko 2 din tak khana bhi nahi diya. Aaj bhumi ki shaadi ka din tha. Tab alok soch raha tha ki aaj to kafi log yaha khana khane aayenge me bhi unke saath khaa lunga. 
Jab sandhya ke samaye shaadi ke kai karyekram ho rahe the tab alok ki bhent achanak Surbhi se ho gai. Jo thakur Jaydev ke dost ki beti thi. Aur surbhi bhumi ki shaadi me dance program bhi karne aayi thi. Dance program ke liye surbhi  apsara ki tarah  saj-dhaj kar aayi .  jab surbhi ne alok ko dhyan se dekha to us samaye alok ki dasa bahut kharab ho rakhi thi. 2-3 din lagatar din-raat kaam karta huva aur koi khana pina bhi nahi is karan alok ki halat kharab thi. Tan par fate purane kapde kamiz ki ak baaju fati huvi or ghutne ke paas pent fati huvi dekh kar man hi man hanshti he. shaadi me mehman idhar –udhar Aa-jaa rahe the.  surbhi ne alok ko apni akad ke saath puchha, 
Surbhi - kaise ho alok . ye haath pe kya ho gaya. Us din to tumne meri beizzati bade ghamand se ki thi. Ki nachne wali ladki se shaadi nahi karoge. Jaise tum koi rajkumar ho.  Ab dekho tumne apna haath bhi khoo diya. Aur tum aaj bhi apne hi pita ke gulam banker rah rahe ho  Aur mene suna ki tumne chori karna bhi sikh liya. 
       Chori ka ilzaam sunte hi alok ne apne dukhi aur ashahay bhole –bhale much se jawab diya 
Alok – nahi surbhi vo chori mene nahi ki thi. Mujhe to fasaya gaya tha. Aur ye haath mene apne guru ji ki jaan bachane ke karan khoo diya. Adalaat me badmaso ne mere guru ji par goli chalai aur mene use apne is haath pe jhel kar unki jaan bachai thi. Aur tum sunao. 
Surbhi – (hanshti huvi) ab tumse bada bevkoof kon ho sakta he. Aise hi har kisi ke liye koi apna haath khoo deta he kya. 
Alok – Vo har koi nahi mere guru ji the. Unke liye to mera haath hi kya jaan bhi chali jaye to jaye . aur is balidaan pe unhone mujhe aashirwad ke toor par ak bahut bada vardaan diya he. 
Surbhi –meri nazar me to  is jamane me balidaan aur vardaan ka koi mahatwa nahi he. Kya paya tumne apna ak haath khoo diya, aur tumhe ak haath ke bina kitni taklif hoti he . or apne sarir ki sundarta bhi jati rahi, or yadi tumhare guru ji ne tumhe ak bahut bada vardaan diya he . to suno me tumhara vo vardaan kabhi pura nahi hone dungi, kyonki tum mere pratidwandi ho mujhe tumse nafrat he. Me pag-pag par tumhe khatakti rahungi. 
   Alok ka kamij bajuo se thoda fata huva tha. Jise vo bar-bar dusre haath se chhupa raha tha ki surbhi ki nazar na pade. Fati huvi kamiz ko chhupate huve alok ne kaha 
Alok – thik he surbhi jaisi tumhari ichha. 
      Itne me surbhi ki kuchh friend vaha aajati he or surbhi unse hi – hello karti haal-chal puchhti huvi vaha se chali jati he. Alok jo apne pita ke mahal ke darwaje ke samne khada tha, tab uski nazar achanak bhumi par padi haatho par mehndi lagi huvi thi, sadharan se kapde pahni huvi chahre par ajib se mayusi dekh kar alok ke man me apni behan se milne ki ichha huvi, jab ak baar fir bhumi mahal me idhar udhar jaa rahi thi to alok jo apni behan ko ekaek dekh raha tha tab bhumi ki nazar bhi alok par padi. Lekin apne pita aur maa ke darr ke karan vo apne bhai ke paas na aa saki. Bhumi ne door se hi bhai ko haath jodkar pranam kiya aur alok ne bhi apna haath uthakar door se hi ashish diya us samaye alok ki achanak aankhe anshuo se bhar aayi thi. Bhai ki aankh me anshu dekh kar bhumi vahi khadi fuut-fuut kar rone lagi. Thodi der baad jab bhimi ne bhai ki taraf dekha to alok ne apni garden hila kar nahi rone ke liye isara kiya. Bhumi dhire-dhire chup ho jati he or alok bhi vaha se jaakar apne kaam me vyast ho jata he. 
Kuchh der kaam karne ke baad alok ko anuradha ka khayal aaya ki usne khana khaya bhi ya nahi . garbhavastha me iska dhyan rakhna jaroori he. Vaise to dayi kaki rooj belgadi lekar anuradha ke liye apne ghar se khana le  aati thi. Lekin jab alok apne ghar gaya to anuradha bhookh ke mare chhatpata rahi thi. Dekh kar alok bahut dukhi huva . alok anuradha ke paas gaya or bola kya huva . 
Anuradha – mujhe bahut bhookh lagi he . dayi kaki bhi nahi aayi 2 din ho gaye. Aap bhi pita ji ke yaha kaam me lage rahe. Is avastha me bhukha rehna bacchhe ke liye hanikarak ho shakta he , aap kahi se thoda khana le aayie, 
Alok – to kya aapne 2 din se khana nahi khaya. 
Anuradha – nahi. 
Alok – thik he saam ho chuki he , vaha log khana khane lag gaye honge , me jaldi se tumhare liye khana lekar aata hu , 
Anuradha – thik he , 
      Jab alok apne pita ke ghar vapas jata he to mahal ke samne sab log khana khaa rahe the, thakur Jaydev naye rajsi libab aur haath me talwar liye ghoom rahe the. Lekin alok ko apni patni ke liye khana lene ka koi rasta nazar nahi aaraha tha. 
     Jab alok ghar ke bahar ghum raha tha tab uski bhuva ki alok par nazar padi , vo alok ko mahal ke andar le gayi, aur sadharan hal-chal puchhne lagi. Andar jate hi bhumi bhi apne bhai alok ke paas aagayi, is samaye bhumi dulhan ke libab me thi. Chamakta huva shaadi ka joda, chudiyo se bhare huve haath, sone-chandi ke Aabhushano se lada huva badan, haatho me rachi huvi sundar mehndi, aadi se vo pari ki tarah lag rahi thi. Jab bhumi apni bhuva aur bhai alok ke paas aayi to usne apne bhai ke pair chhuye, alok ne sada suhagan rahne ka aashish diya. Kuchh der baad bhumi ne alok se kaha , bhaiya aap mujhe vo chunari odhaoge na  jo aapne mujhe rakshabandhan pe di thi. 
Alok – ha ladli me tumhe kal vidai ke samaye vo chunari odhane jaroor aaunga. 
Alok apni aur apni patni anuradha ki bhookh se bahut chintit tha lekin apni behan ke samne vo apna dukh chhupa raha tha. Thodi der baad alok mahal ke bahar aajata he aur khana le jane ke liye khada ho gaya . sab log khana khaa rahe the lekin kisi ne bhi alok ko khana khane ki liye nahi kaha. Mahal ke bahar jo log khana served kar rahe the unhe alok bar bar khane ke liye kah raha tha . lekin kisi ne bhi alok ki baato par dhyan nahi diya. 
Kuchh der baad alok ki bhuva kisi bacchhe ko dhundhti huvi mahal ke bahar aayi to unhone dekha ki alok abhi tak khane ke liye apne hi pita ke ghar ke bahar bhikhari ki tarah khada tha, sab log panktiyo me baith kar khana khaa rahe the . kuchh duri par samaj ke Achhot log bhi khaa rahe the. Bhuva alok ke paas aakar boli ,,
Bhuva – beta alok tum bhi khana khaa lo, tumhe bhi bhokh lagi hogi. 
Alok – nahi bhuva mujhe pahle anuradha ke liye khana lena he. Vo bahut bhukhi he. 
Bhuva – pahle tum khaa lo baad me anuradha ke liye le jana. Jab tak tum khavoge me anuradha ke liye khana bandh deti hu fir le jana. 
     Jab alok thodi door khane ke liye jakar baithta he to bhuva bolti he ki , beta tum itni door kyo baith rahe ho yaha paas me baitho. Ye kah kar bhuva vaha se chali jati he. 
Bhuva ke kahne par alok pariwar ke mehmano ke saath baith jata he. Vaha jaakar alok baith to jata he lekin un saje-dhaje mehmano ke saath vo apne fate-purane kapdo ko chhupa raha tha, kabhi ghutne pe fati pent ko dhire se apni kamiz se chhupata to kabhi kamiz ki fati bajuo ko kheech kar chhupata. Or sundar kapdo me baithe un mehmano ke saath alok sarm ke mare garden jhukaye baitha tha. 
 Alok ke mann me ak darr ye bhi tha ki kahi is samaye uske pita  na aajaye. Mehmano ke saath baitha dekh kar vo maarne lag jayenge. Itne me sabke khane ke liye plate lagai gayi. Lekin alok ke liye Acchhuto ki pattal hi lagai gayi or Sabzi ke liye dona . khana bhi sabko parosa gaya . 
Alok  jaise hi khane ka ak niwala todkar apne muh me lene wala tha ki samne pattal ke paas gusse se jamin me khadi talwar ko dekha. Talwar ko dekhte hi alok sar se pair tak kamp utha. Vo talwar ko niche se upar ki or dekhta huva dekha ki samne or koi nahi uske pita the. Apne pita ko dekhte hi ghabra gaya, alok kuchh bol pata use pahle uske pita ne kaha, 
– tujhe yaha baithkar khana khane ki izazat kisne di 
Alok – kshma pita ji  me to door hi khada tha lekin bhuva ne mujhe yaha bulakar baitha diya. 
Apne pita ki maar ke darr ke karan alok ghabarata huva pichhe ki or khishakta gaya. 
 Apni khane ki plate uthavo or mere mehmano se door jaa kar baith,  Thakur Jaydev ne talwar se isara karte huve alok ko kaha , 
Apne gharelu mehmano ke samne ho rahe Apmaan or pita ke darr ke karan Alok ka kaleja muh me atka huva tha uske haath-pair darr ke mare tharthra rahe the. Alok ne darte huve apni khane ki pattal or sabzi ka dona  uthaya or door jaa kar baithne laga, jaise hi alok baith kar khana khane laga thakur Jaydev ne vaha se fir utha diya or bola . tujhe apni jagah ka dhyan hona chahiye . tum sirf mere ghar ke samne achhuto ke saath hi baith sakte ho. 
Pita ki baat sunkar alok fir se apni khane ki pattal or dona uthakar Acchhuto ki pankti ki or jane laga. jab alok khane ki pattal lekar jaa raha tha tab uski pattal ke ak kinare se sabzi or bhojan ke kuchh dane bikhar rahe the kyonki darr or sarm ke mare alok ke haath – pair kamp rahe the. Lagatar ho rahe apman ke karan alok ne us khane ko vaha na khaa kar sidha apne ghar le jana uchit samjha tabhi ak kutta aaya or alok ke haath se khane ki pattal ko jhapatta mara or le gaya. Sab log alok ki or dekh kar hansh  rahe the. Saath me alok ke pita bhi thahake mar kar hansh rahe the. Alok is prakar ki beizzati ko bardast to nahi kar saka par bhukha marta kya karta. 
Alok sarm ke karan vaha se jana chah raha tha lekin uski patni anuradha bhi bhukhi thi or vo khane ka intzaar kar rahi thi.  Mazburan alok apne haath samet kar vahi khada raha. Ki koi use khana de de . lekin kisi ne alok ko khana nahi diya. 
Kuchh der khade rahne ke baad alok ne jo log vaha khana sarv kar rahe the unhe khane ke liye kaha . ye baat door khade alok ke pita ne suni or unhone kaha ki ise khana dedo  or ise kaho ki khana lekar yaha se dafa ho jaye. Yaha khada he bhikhariyo ki tarah . 
Pita ki baat sunkar alok ko laga ki ab koi humey khana dega to usne apna kandhe par rakha gamchha utara or khana lene ke liye use haath me le liya. Jab bhi koi khana sarve karta huva uske paas se hokar gujarta alok apna gamchha faila kar haath badhata , lekin sab log use nazarandaaz karte gaye koi kahta thoda ruko vaha jaldi parosna he tum baad me lena to koi kahta thakur sahib ke nizi mehman khana khaa rahe he tum thodi deir ruko, or koi khali bartan dikha kar kehta tumhare liye hi laya tha par raste me hi khatm ho gaya. Alok apna felaya huva gamchha vapas samet leta aur lazza ke mare sar niche kar leta tha. Jab alok kafi der tak khane ke liye vaha ruka raha tabhi thakur Jaydev vapas vaha aagaye. Alok ko vaha bhikhariyo ki tarah khane ke liye khada dekh kar ak danda uthaya or alok ki or chhatka diya.  Danda alok ke pair pe laga or 2 – 3 din ka bhukha alok niche gir pada. Alok niche pada apne pair ke dard ko sahlata raha, or kuchh der baad khada ho kar apne ghar ki or chala gaya. 
Ghar jate hi anuradha uth khadi huvi or boli apne itni der kaha laga di . mujhe bahut bhookh lagi he , aap mere liye khana laye kya ? Alok ne baat ko talte huve jawab diya , abhi vaha pita ji ke nizi log khana khaa rahe he me thodi der baad le aunga. Lekin bhookh ke mare meri halat kharab hoti jaa rahi he , anuradha boli, or mera peit bhi dard kar raha he. 
Alok – koi baat nahi me kuchh der baad jaa kar khana le aunga. 
     Karib deid do ghante baad sab log khana khaa chuke the. Mahal ke andar bhumi ke vivah ke faire suru ho chuke the. Tab thakur Jaydev ka ak safai karmchari alok ke ghar aaya or bola , alok chalo thakur sahib ne tumhe safai ke liye bulaya he . alok us safai wale ke saath mahal ki or chala jata he. Vaha jate hi alok dekhta he ki mahal ke bahar bilkul sannata he sab log andar faire dekh rahe the. Jab alok mahal ke bahar safai kar raha tha tab uski bhuva kisi kaam se bahar aayi, to unhone alok ko safai karte huve dekha or boli ,beta alok tum yaha safai kar rahe ho andar tumhari behan ki shaadi ho rahi he , tumne khana to khaa liya tha na. 
Alok – nahi bhuva abhi nahi khaya safai karke khaa lunga , 
Bhuva – baad me kyo ruko me abhi tumhare liye khana lati hu . 
    Bhuva andar khana lane jati he lekin kismet kharab ki jis hall me khana rakha huva tha usme tala laga huva mila. Bhuva ne chhup kar alok ki or dekha vo khane ke intzaar me apna kaam chhor kar baitha tha. Or bhuva sarm ke mare alok ke paas bhi na jaa saki. Or vo kuchh der vahi khadi rahi . alok kafi intzaar karne ke baad apne safai ke kaam me lag gaya. Jaldi se safai karke alok ne socha ki mujhe jaldi ghar jana chahiye, kyonki anuradha ki tabiyat kharab he.or mausam bhi kharab ho raha tha Aasmaan me bijli chamak rahi thi badal garaj rahe the.  Safai karmchari bhi jaa chuka tha. Jab alok safai karke kachra fekne gaya tab vaha kuch jhutha khana dekha. Vo us jhuthe khane ko ikattha karne laga. Alok ki bhuva chhup kar ye sab dekh rahi thi. Or khana ikattha karke alok ne thoda sa to vahi khaa liya or charo taraf dekha ki koi dekh to nahi raha. Or kachre me pada vo jhutha khana lekar alok vaha se bhag nikla. Ye drishye dekh kar alok ki bhuva ankhe fati ki fati rah gayi. Ankho me anshu bhar aaye. 
  Bhuva ne man hi man kaha he bhagwan ye sab kya he aaj mere bhai ki beti ki shaadi he jisme kutte billi bhi bhukhe nehi rahe lekin khud dulhan ka bhai pata nahi kitne dino se  bhukha he. Mere alok se pichhle janm me aisa kya gunah ho gaya tha jiske karan use amiri ka lalach dekar bilkul garib bana diya. Agar use logo ki jhuthan hi khani thi to kisi bhikhari ke ghar janm dete ak raja ke ghar janm dene ki kya jarurat thi. 
Bhuva man hi man baat karti huvi andar chali gayi or sochi ki kal jaise hi alok yaha aayega me usse baat karungi or dheeraj bandhaungi. 
Idhar alok khana lekar apne ghar pahunch gaya. Gamchhe se khana khol kar apni patni ko khana khilane laga. Dono sath-sath khana khaa rahe the. Khana khate huve alok ne dukh bhari Aawaj me kaha  mahal ke andar meri ladli bhumi ke faire chal rahe he. Kaas me bhi dekh pata . khana khaa ke anuradha peit me dard hone ke karan bistar par let gayi. Alok baitha huva apni maa ki tasver ki or dekhta raha. Or apne dukh bhare jivan ke bare me sochta raha. 
Jab dono sone ki tyyari kar rahe the ki halki – fulki barsaat suru ho gayi or Aandhi bhi aane lagi. Alok ne ghar ke bahar nikal kar dekha ki kuch dur gagan me  kali pili Aandhi ki ghata gav ki or aarahi thi. Alok ne andar jaa kar apni patni ko bola barsat aarahi he or Aandhi bhi Aane wali he . 
Kuchh hi der baad barsat ke saath bhayankar Aandhi chalne lagi. Us tej Aandhi ke karan alok ke ghar ka chhappar upar niche uchhal raha tha. Thodi der baad chhappar ka ak kona Aandhi ke karan khishak kar niche gir gaya. Alok bahar nikal kar us chhappar ko thik karne laga, jab vo chhappar ko pakad kar utha raha tha tab us chhappar se vo patthar jo Aandhi se udh na jaye isliye vajan ke liye chhappar pe rakha huva tha ludakta huva alok ke sir pe Aa gira. Or alok ke haath se chhappar chhut gaya. Alok turant andar bhag kar anuradha ke bistar ke paas khada ho gaya ki kahi chhappar anuradha ke upar na gir jaye. Alok ne vo chhappar apne sir pe uthaya or vahi khada raha. Baad me alok ne lakdi ka ak danda uthaya or chhappar ke niche laga diya. 
   Abhi tak Aandhi or barsat ho rahi thi. Achanak anuradha ki prasav pida bhi suru ho gai. Prasav pida ke karan anuradha joor – joor se cheekh kar rone lagi. Alok ne apni patni ko dhiraj bandhaya or kaha , tum chinta mat karo me abhi jaa kar dayi kaki ko bula kar lata hu. 
   Bhayankar Aandhi aur barsat me alok bhaga or dayi kaki ka darwaja khatkhataya. Dayi kaki darwaja kholkar bahar Aayi, aur boli alok tum itni der raat ko yaha kaise aaye. Aur vo bhi Aandhi barsat me , kheiriyat to he na ?
Alok – pranam kaki , Anuradha ki prasav pida suru ho gayi me aapko lene aaya hu. Ghar pe me use akeli chhor kar aaya hu Aap jaldi chaliye. 
Dayi Kaki – thik he beta chalo. 
   Dati kaki ne Apani Neil - Gadi Tayyar ki Alok aur dayi kaki Neil - Gadi se jaldi se ghar pahunch gaye . vaha anuradha Prasav pida ke mare akeli tadap rahi thi. Dayi kaki ne jaldi se anuradha ko sambhala. Aur prasav prakriya suru ki . kafi der tak kosis karne ke baad Alok se boli,,, 
Dayi Kaki – alok beta ye prasav kathin he or ab anuradha ko kisi hospital me lekar jana hoga. 
Alok – Hospital aur abhi ? lekin hum hospital lekar jayenge kaise, hamare paas koi sadhan bhi to nahi he. 
Dayi Kaki – Hospital to humey lekar jana hi hoga beta. Nahi to bahut badi dikkat ho sakti he . tum ak kaam karo apne pita se koi vahan mang kar le aavo. 
Alok – Lekin kaki vo mujhe Vahan nahi denge . vo mujhse bahut naraj he aaj din me bhi unhone danda feik kar mujhe mara tha. 
Dayi Kaki – tum jaa kar unhe kehna ki anuradha ko  prasav pida ho rahi he , vo mana nahi karenge. 
   Dayi kaki ki baat maan kar alok apne pita ke paas Vahan mangne chala jata he. Vaha jaa kar alok dekhta he ki Aandhi aur barsat ke karan sab mehman soo chuke the. Bhumi ke faire bhi pure ho chuke the. 
Alok  mahal ke samne  gaya or darta huva  darwaja khatkhataya. Khud thakur Jaydev ne darwaja khola aur saath me alok ki sauteli maa bhi darwaje pe Aagayi. 
 Thakur Jaydev – kya huva kyo darwaja peet raha he ? 
 Alok – Pita ji anuradha ko prasav pida ho rahi he . dayi kaki ne bola ki use hospital lekar jana he . 
 Thakur Jaydev – To tu yaha kyo aaya he . kya tumhari patni ko me lekar jaunga Hospital. 
 Alok – nahi pita ji aisa nahi he, me to aapke paas koi Vahan mangne aaya hu. Aap mujhe koi vahan de dijiye hospital le jane ke liye. 
 Thakur Jaydev – tujhe sarm to nahi Aarahi jo mujhse vahan mang raha he . apne aap ko to sambhal nahi sakta or bachcha paida karne chala he tu. Tu mere paas roti mangne aata he vo kafi nahi he kya jo ab vahan bhi mangne aane laga. 
 Alok – (apne masoom aur bholapan andaaz me ) bachche ki parvaris to Aap aur bhagwan ke Aashirwad se ho jayegi  pita ji . kripa karke aap mujhe ak vahan de dijiy. Vo prasav pida ke karan tadap rahi he. 
   Anuradha ke dard se alok ki awaj dabi huvi thi uski aankho me aanshu bhare huve the. Alok ke muh se anuradha ke prasav pida ke karan tadapne ki baat sunkar alok ki sauteli Maa ne apne pati thakur Jaydev se kaha, aap ise jaldi vahan de dijiye . bechari anuradha prasav pida se tadap rahi hogi. 
   Alok apni sauteli maa ke muh se ye sabbhyeta bhare shabd sunkar chok gaya. Sochne laga ki jis aurat ne kabhi mere liye koi daya pyar mamta nahi dikhai , aaj vo achanak kaise badal gayi. Jiske sarir ke har aang se mere liye hamesa angare baraste the aaj ye mamta kaise jaag gayi.
Alok ke is manshik Prashn ka Uttar ye tha ki ,` Koi Naari Chahe Kitni Bhi Neech Kyo Na Ho Parantu Vo Naaritva Ka Dard Turant Samajh Jati He`Anuradha ke prasav pida se Tadapne ki baat alok ki maa ke hridaya me chubh rahi thi. Lekin thakur Jaydev ne apni patni ka ye prastav thukra diya aur bola, 
  Is gav me rooj kitne kutte billi jaise jaanvar bachche paida karte he to kya unki hifazat bhi mujhe karni he. Meri nazar me jaanvar se jyada haishiyat nahi he iski. Chal dafa ho yaha se . ye keh kar thakur Jaydev ne alok ko dhakka mara or darwaja band kar diya. Alok darwaje ke samne lagi siddi par jaa gira or ludkata huva niche chala gaya , jiske karan lalaat pe thodi chot Aagayi. Halka khoon bhi nikal aaya. 
Alok jaldi se khada huva aur apne ghar ki or bhaga. Jaa kar dekha to anuradha dard se chhatpata rahi thi aur dayi kaki use sambhal rahi thi. Alok ko dekhte hi dayi kaki ne kaha,,
 Dayi Kaki – beta vahan le aaya . chalo ab der mat karo jaldi se ise gadi me baitha do hospital le chalte he . 
  Alok – (sahma sa ghar ke ak kone me khada huva bola) pita ji ne vahan nahi diya kaki. Balki mujhe dhakka mar kar mahal ke bahar gira diya. 
 Dayi Kaki – to ab kya hoga . jyada der huvi to bachhe  aur anuradha ko taklif  ho sakti he. Tum ak kaam karo meri   beil – gadi Tayyar karo jaldi. 
 Alok  - thik he kaki. 
   Alok dayi kaki  ki beil-gadi Tayyar karta hai aur us Bhayankar Aandhi barsat me dono anuradha ko hospital le jane ke liye ravana ho jate he. Alok beil-gadi chalata he aur dayi kaki chhatri pakad kar anuradha ko barsat se bachati he. Aur chhatri Aandhi ke karan idhar-udhar udd rahi thi lekin kosis karke dayi kaki anuradha ko barsat se bachati he . barsat ki vajah se pure raste me kichad ho rakha tha. hospital pahunchne me sirf ek kilomiter ki doori thi ki achanak beil-gadi ka ak pahiya kichad me dhans jata he. Alok gadi se niche utar kar kabhi  gadi ko dhakka lagata to kabhi pahiya ko uthata he , lekin har tarah ki  kosis karne ke baad bhi beil-gadi kichad se bahar nahi nikal pati he. Idhar Anuradha prasav pida  se cheekh rahi thi. Alok se dekha nahi gaya . usne anuradha ko gaud me uthaya aur  chalne laga. Alok ki gaud me anuradha aur kichad se bhara rasta , chalne me alok ko bahut dikkat ho rahi thi lekin iske alawa koi or  chara bhi nahi tha. Badi muskil se alok hospital pahunchta he . vaha jaate hi doctor ne turant sambhal liya. Doctor Anuradha ko prasav kaksh me le gaye. Aur alok or dayi kaki ko bahar baithne ko kaha.  
   Dayi kaki ak taraf jaa kar baith jati he lekin alok khada hi rah jata he . beta tum bhi yaha baith javo, kaki ne kaha, 
   Alok bhi baith jata he. Ek kilomiter se anuradha ko uthakar lane ke karan, baris ki thand ke karan aur thakur Jaydev ne jo dhakka mara jiske karan alok ke sar pe chot ke karan aur apni patni ke prasav ke karan alok ke haath-peir tharthara rahe the. Lekin in tamam dukho ke bavjood alok ko ek andruni khushi ye thi ki vo pita banne wala tha. Uski kalpanik beti KHUSHI ghar me aane wali thi. 
   Alok gardan unchi karke bar-bar prasuti kaksh ki or dekh raha tha ki kab doctor bahar aaye or khush-khabri sunaye. Karib Aadhe ghante baad achanak alok ko bachche ke rone ki awaj sunai di. Awaj sunte hi alok ne dayi kaki ko kaha , kaki lagta he bachcha janm chukka he. Thodi der baad bachche ke rone ki Aawaj band ho jati he . tab alok kaki ko bolta he kaki bachche ki awaj band ho gayi aur kafi der ho gayi lekin prasav kaksh se bhi abhi tak koi doctor bahar nahi aaya. 
   Thodi der baad ak ledy doctor gusse se aag-babuli hoti huvi bahar aati he  aur alok utshukta se khada ho kar ,kya huva doctor sahiba
 Ledy Doctor – tum anuradha ke pati ho?
 Alok – ji doctor sahiba. Me hi hu. Kya huva?
 Ledy Doctor – hoga to kya, beti huvi thi .
 Alok – (ghabraya huva) doctor Sahiba beti huvi thi matlab. 
 Leda Doctor – ha beti huvi thi. Tum thakur sahib ke bête ho na. 
Alok – ha me unhi ka beta hu.  
Ledy Doctor – to fir ye batao ki tumne apni patni ko kitne dino se khana nahi khilaya. Aur vo barsat me puri bhigi huvi thi . jiske karan use thand ho gayi.  aur tumhare mahal me vahno ki kami he kya jo tum ise kandhe  par uthakar le aaye. anuradha ke bhukhe rahne ke karan bachchi kamjor paida huvi aur paida hote hi thodi der bad mar gayi. 
   Ledy doctor ki baat sunte hi alok dukh se aahat ho utha uske peir dagmagane lage. 
 Alok – nahi doctor sahiba aap aisa mat boliye. 
  Ledy Doctor – to kya bolu me,  tum to Pure Suurpur gaav ke raja ho na  jay-jaykar karu tumhari. Sarm aani chahiye tum logo ko bahar to raja-maharaja bane firte ho aur ghar me aurat-bachche bhookh ke mare mar rahe he. Tum raja to kya insaan kahlane ke kabil bhi nahi. isi laparvahi ke karan mar gayi tumhari beti. 
   Alok ko bahut khari-khoti sunakar ledy doctor vaha se chali jati he. 
   Alok hospital ki deevar par sar rakh kar foot-footkar rota he. Dayi kaki bhi bacchi ki maut ke karan dukhi thi lekin dayi kaki ne samajhdari dikha kar alok ko dhiraj bandhaya. Boli beta rovo mat hota vahi he jo bhagwan ki marji hoti he. Agar tum hi aise sar pitkar rovoge to socho anuradha ka kya hoga. Isliye andar jaa kar anuradha ko santwana do uske aanshu pochho. 
 Anuradha ka naam sunte hi alok achanak rota huva chup ho jata he aur ptasuti kaksh ki or anuradha ka naam leta huva bhagta he. Tab prasuti kaksh se ak doctor us mrit bacche ko lekar bahar ajata he . dekh kar alok ruk jata he . alok us doctor  se bachhi ko apni gaud me lekar bar-bar uske mathe  ko choomta he aur gale lagakar fut-futkar rota he. Aur dayi kaki ko kehta he , kaki meri beti KHUSHI ko dekho kitni sundar he. Kya ye vastav me mujhe choor kar jaa chuki he?
Doctor alok se bacchi ko le leta he aur kehta he hum is bacchi ko electronic daah ke liye le jaa rahe he aur aap andar jaakar apni patni ko sambhaliye. 
Alok dabe peiro se anuradha ke kaksh me jata he aur dekhta he ki uska  ro-rokar bura haal ho jata he. Anuradha alok ko dekh kar alok se lipat jati he aur fabkiyan mar-mar kar rone lag jati he. Roti huvi anuradha kehti , aap mujhe meri beti La dijiye. Me uske bina kaise jee paungi. Alok use dhandhas bandhata he aur kehta he rovo mat anuradha jis ishwar ne humey vo laxmi di thi usi ne vapas le liya. Isme hum dono kya kar sakte he. 
   Raat ke lagbhag teen baj chuke the. Doctor ne anuradha ko chhutti de di, aur bola tum log javo lekin insaniyat ke nate kam se kam garbhvati mahila ka to khayal rakha karo. 
   Alok apni patni ko aur dayi kaki ko lekar paidal hi ghar ke liye ravana ho jata he .ab tak Aandhi aur barsat bhi bandh ho  jati he.  Raste me anuradha chalti-chalti thak jati lekin alok bolta he bas ab hum apne ghar pahunchne hi wale he. Jaise-jaise ghar nazdik aaraha tha alok ka man bhi buri tarah dukhi aur thakan ke karan apne ghar me baith kar Aaram karne ka kar raha ha. 
Chalte-chalte Aakhir tino ghar pahunch jate he lekin vaha ka drishye dikh kar tino ki Aankhe fati ki fati rah jati he. Us tej Aandhi aur barsat ke karan alok ka ghar puri tarah gir kar pani me beh  chukka tha. Chhappar buri tarah toot kar ak taraf  pada  tha. Ye sab dekh kar alok ab puri tarah niraas ho gaya. Dukh to  gareeb ke karz ki tarah alok ke pichha hi nahi chhod raha tha. Achanak alok ko apni maa ki tasveer ka khayal aaya. Alok ne idhar-udhar maa ki tasveer ko dekha. Tab alok ko kuchh duri par ak paid ke paas maa ki tasveer ko dekha jo pani me bah kar us paid aur Jhadi se atak kar ruk gayi thi. 
Alok us paid ke paas jaa kar maa ki tasveer ki or dekhta he. Tasveer pe ak kudrati  nazara ban raha tha. Paid se maa ki tasveer pe pani ki Bunden  gir rahi thi aur vo pani ki bunden maa ki Aankho se ho kar niche ki or jaa rahi thi. Dekh kar aisa lag raha tha ki alok ki beti ki  mrityu aur tamam dukho  ke karan khud alok ki maa roo rahi ho. Alok ne maa ki tasveer aur apni behan ki chunari wala Sandook uthaya or dayi kaki ke paas gaya. Aur bola kaki aap apne ghar jaiye. Me pujari baba ke paas chala jata hu. Pujari baba ke paas kyo tum mere ghar hi chalo, Kaki ne kaha, 
 Alok – aapke paas kitne din rahunga kaki. Aap mujhe pujari baba ke paas hi jane do. Vahi mujhe aage ka rasta bhi batayenge. 
   Dayi kaki apne ghar chali jati he aur alok anuradha ko lekar pujari baba ke ghar chala jata he. Ghar pahunch kar alok dabi huvi awaj me darwaja khatkhata huva awaj deta he , 
 Alok – pujari baba darwaja kholiye. 
 Pujari Baba – (darwaja khol kar) are beta alok tum is samaye yaha. Aur bahu rani bhi saath me . kya baat he ? 
 Alok – aaj anuradha ko prasav tha, hum hospital lekar gaye the. Aapke Aashirwad se beti huvi thi lekin, 
 Pujari Baba – lekin kya ? Aage bolo beta. 
 Alok –(rote huve) paida hote hi vo mar gai baba. Mera Ghar bhi Aandhi Aur Barsaat me Gir kar Bah gaya. 
   Alok ki baat sunkar pujari baba use ghar ke andar le jate he. Andar le jaa kar vo alok ko santwana dete he. Kuchh der santwana bhari baate karne ke baad pujari baba alok ko samjhate he , 
 Pujari Baba – Alok’  meri ak baat dhyan se suno. Tumne aaj tak apne pita ki khoob niswarth seva ki he . aur vo tumhe bachpan se buri tarah marte rahe fir bhi tumne koi kadam nahi uthaya. unhone tumhe ghar ke bahar rakha tum rahe, aaj tak tumne har tarah ke julm sahe. Lekin ab meri ye ray he ki tum ye gav chhor kar yaha se chale javo. Yaha tumhara koi bhavishya nahi he. Aur kabhi tum par bhagwan ki koi kripa bhi  hoti he to use tumhare hi pita apne pairo se kuchal dete he. Tumne dharm ke anusaar apne pita ki khoob seva ki , lekin kuchh logo ko dharm ki bhasa samajh me nahi aati. Meri mano bahar jaa kar kuchh haath ka hunar sikho, jis se apni jivika kama sako. Aur apne pariwar ki unnati kar sako. 
 Alok – Vo sab to thik he baba lekin mujhe to bahar ki duniya ka koi abhyahs hi nahi. Me kaha jaunga aur kya kar paunga. Mere to ak haath bhi nahi he.
 Pujari Baba – tum ak baar bahar jaa kar to dekho sab khchh thik ho jayega.aur mere vichar me tumhe aaj or abhi jana hoga.
 Alok – lekin baba aaj to meri behan bhumi ka vivah he aur  subha  vidai he , aur aap to jante he vidai ke samaye vo mujhe bahut yaad karegi , agar vidai ke samaye use me nahi dikha to vo bahut dukhi hogi bahut royegi.  
 Pujari Baba – tum dono bhai-behan ke pyar ko me tumhare bachpan se janta hu. Lekin socho tum abhi apni beti ka dah sanskar karke aarahe ho aur tumhare pita ke mahal me bhumi ki shaadi ki khushi ka mauka he tum javoge to apsagun hoga.
 Alok – thik he baba me abhi chala jata hu lekin me apni patni ko is dasa me kaha – kaha lekar bhatakta rahunga. 
 Pujari Baba – uski koi jarurat nahi he tumhari patni  gupt tarike se mere ghar pe rahegi. Kisi ko pata nahi chalega. Tum kuchh saal kaam-kaaj karke dhan arjit karo aur apni grahasthi sambhalne layak bano. Mera ashirwaad tumhare saath he beta. 
      Alok ne pujari baba ka paramarsh lekar gav chhorne ka nischay kiya , aur usne apni behan bhumi ki vo chunari baba ko di jise vidai pe bhumi ko apne haatho se odhane ka vada kiya tha. Chunari pujari baba ko dekar alok ne rote huve kaha , baba ye chunari me apni behan ke liye bade chaav se laya tha aur vada bhi kiya tha ki shaadi ke din me apne haatho se odhaunga. Lekin me nahi odha saka. Isliye subah vidai ke samaye  aap hi meri bhumi ko ye chunari odha dena or use meri taraf se hamesha khush rehne aur sada suhagan rehne ka Aashish dena. 
   Pujari baba ne alok ke anshu pochhe or kaha tum chinta mat karo beta subah me thakur sahib ke mahal jaunga or vidai ke samaye ye chunari bhumi bitiya ko odha dunga. 
   Alok ravana hone se pahle apni patni anuradha se gale milta he. Tab anuradha kahti he , aap pahli baar bahar jaa rahe ho apna khayal rakhna. Aap meri chinta mat karna me yaha achche se rahungi. Aur aap jaha bhi raho hamey khabar karte rehna. Alok ne kaha. Tum befikr raho me tumhe khabar karta rahunga. 
  Alok ne pujari baba aur unki patni ke  pair chuye aur andhere me hi ravana ho gaya. 
Subah hone hi wali thi isliye alok jaldi-jaldi bhagne laga. Ki kahi surye uday na ho jaye. Aur koi pahchan na le. Vo paidal bhagne laga. 
   Idhar subah hote hi thakur Jaydev ke mahal ke bahar logo ka jamavda suru ho gaya. Sab log subah chay – nasta le rahe the. Raat bhar ki barsat ke karan subah ka vatavaran bahut acchha lag raha tha.  Jab kuchh mehmano ki nazar alok ke ghar ki or padi to dhire-dhire charo taraf soor  Mach gaya ki alok ka ghar to barsat me bah gaya . lekin vo kaha gaya hoga, yaha bhi nahi aaya. 
   Mahal ke bahar to ye soor ho raha tha aur idhar alok ki bhuva jisne raat ko use jhuthan khate dekha tha uske liye khana lekar uske ghar ko ravana ho gayi. Bhuva alok ke ghar ke paas jaa kar dekhti he ki alok ka pura ghar  barsat me bah gaya he aur chhappar Aandhi me toot kar ak taraf  pada he. Ye sab dekh kar bhuva bahut dukhi huvi. 
   Din ke karib 9-10 baj chuke the. Bhumi ki vidai ki tayyariya hone lagi. Lekin bhumi ki chinta badti jaa rahi thi ki abhi tak uska bhai alok naahi aaya. Bhumi ko alok ki raat wali ghatna ke bare me abhi tak koi khabar nahi thi. Dulhan ki vidai hone lagi . vidai ki puri rasm ho gayi lekin alok abhi tak nahi aaya. Jab dulha-dulhan vida ho kar ravana ho rahe the Aur Bhumi Gardan niche karke Roti huvi jaa rahi thi ki bhumi ne dekha ki koi use  chunari odha raha he. Bhumi ne chunari ka ak pallu haath me lekar dekha or chouk gayi ki ye to vahi mere bhai ki chunari he. Bhumi me Gardan Upar karke dekha to pujari baba khade the. Bhumi ne baba ko jhuk kar pranam kiya or kaha,,
 Bhumi – baba ye chunari to mere bhai ki he. (rote huve)aur ye chunari lekar aap kyo aaye he, Mere bhaiya kaha he . pujari baba aaj me ies ghar aur gav se vida ho rahi hu isliye aap jaldi mere bhaiya ko bula dijiye. 
   Pujari baba ne bhumi ke aanshu pochhe .  Aur bhumi ko dhiraj bandhane ke liye bahana banaya, Aur kaha,,
   Pujari Baba - Alok Raat ko Apni patni ko hospital lekar gaya tha uski tabiyat bahut kharab thi.  Vo yaha Aa nahi saka isliye mere saath ye chunari bheji aur saath me  tumhare liye hamesha khush rahne aur sada suhagan rahne ka Aashirwaad bheja he. 
   Bhumi ki vidai ho jati he. Mahal me bhi santi chha jati he. Idhar alok paidal chalta huva thak jata he aur use bhumi ki yaad bhi aajati he . sochne laga ki sayad is samaye meri bhumi ki vidai ho rahi hogi. Mere bina vo bahut roo rahi hogi. Is tarah bhumi ko yaad karta huva alok ak vriksh ki chhaya me baith jata he. Vo apni swargiye khushi ko yaad karke rone lagta he. Kuchh der baad apne anshu ponchhne ke baad Pujari baba ki patni ne jo khana diya tha use khol kar khaa leta he.  Thodi der Aaram karne ke baad alok vapas ravana ho jata he. Kuchh door jane ke baad  sahar ko jane wali sadak dikhai di. Alok vaha gaya aur bus me baith kar bahut door kisi sahar me pahunch gaya. Tab tak din bhi dhal chukka tha. Isliye alok ratri vishram ki jagah khojne laga. Raat bahut ho chuki thi alok ko sone ke liye koi jagah nahi mili. Vo bahut ghabra gaya. Tab alok ne ak mandir dekh vaha  jaakar mandir ke bahar hi soo gaya. 
   Jab subah huvi to alok ne us sahar me majduro ki chokhti dhundi. Lagbhag har bade sahar me subah ke samaye din majduri ke liye majdoor ikattha hote he. Jis kisi ko majdoor chahiye hota he vo vaha se le jate he aur use din kaam ki din majduri ki rakam de dete he. Alok bhi vaha jaa kar khada ho jata he . chokhti se lagbhag sare logo ko kaam mil jata he lekin alok ko koi kaam nahi milta he. Iski ak vajah ye thi ki alok ke ak haath nahi hone ke karan koi use kaam ke liye nahi lekar gaya.  Ak anjaan sahar me alok ke paas kaam khojne ke liye chokhti ke alawa koi or vikalp bhi nahi tha. 
   Ak din jab sabhi log majduri pe jaa chuke aur alok vahi khada tha . kuchh der baad ak vyapari tarike ka vyakti apni car lekar vaha aaya. Usne dekha ki chokhti pe koi nahi he. Vaha alok ko khada dekh kar bola yaha dihari ke liye koi majdur nahi he kya. 
   Kya kaam karvana he saab, alok ne kaha , me Aapka kaam kar dunga. 
   Us vyakti ne kaha, Kaam to ye he ki mere ghar pe mere bachche ke Janamdin  ka  samaroh he to ghar aur ghar ke samne ak chhota sa garden he jiski saaf-safai karvani he. Lekin tumhara ak haath to he hi nahi to ak haath se ye kaam kar paoge ?
   Alok – ha saab me bilkul kar dunga. 
   Alok ne kaam ki rakam tye ki aur us vyakti ne alok ko apni  car me baithaya aur apne ghar le aaya. Vo vyakti swabhav ka acchha tha.  Vaha jate hi us vyakti ne pahle alok ko khana khilaya. Aur fit bola ab tum apna kaam suru kar do. 
   Alok ne pure tan-man se ghar aur garden ki safai ki . safai ko dekh kar us vyakti ke sabhi ghar wale bhi khush huve. Alok apna kaam karke garden me baitha tha ki usne dekha ki vo vyakti paresaan sa lag raha tha. Alok ne paas me jaa kar puchha, kya huva saab . aap bahut paresaan lag rahe he. 
  Kya batau yaar alok , us vyakti ne kaha , mehmano ke aane ka vaqt hone ko aaya he. Or ghar ki sajawat karne wale ne mana kar diya. Vo nahi Aa payega. Koi or dusra bhi nahi mil raha. 
   Alok – Saab aap chahe to ye kaam me bhi kar sakta hu . mujhe sajawat karna Aata he. 
   Vyakti – Kya baat kar rahe ho tum sajawat kar sakte ho ?
   Alok – Ji saab, mujhe ghar ko acchhi tarah sajana Aata he. 
   Vyakti – To thik he ye kaam tum hi karo. Paise ki chinta chhoro. Vo hum baad me dekh lenge.
   Alok ko sajawat ke saare samaan de diye gaye. Alok ne pure ghar aur garden ko achche tarike se sajaya. Alok ki sajawat ko dekhkar ghar ke sabhi logo ne tarif ki. 
   Ghar pe mehman aane lag gaye. Khoob dhum-dham se bachche ka janm din manaya gaya. Sab logo ne ghar ke sajawat ki tariff ki. Program khatm hone ke baad sab log bhi chale gaye. Alok ko bhi janm din party ka achha khana khilaya gaya. Baad me us vyakti ne alok ko apna mehantana diya aur upar se us vyakti or uski patni ne alok ko achhi bakshis bhi di. Alok ravana hone laga tab us vyakti ne puchha ki ab tum kaha jaoge. Me abhi kuchh din se yaha aaya hu saab, alok ne kaha , abhi rahne ka koi thikana to nahi he. Kahi mandir ya dharmsala me jaakar rahunga. 
   Vyakti – lekin abhi to raat bahut ho chuki he tum ak kaam karo abhi to yahi ruk jao subah nikal jana. 
   Alok – thik he saab . 
   Garden ke ak kamre me alok ko rahne ke liye kaha. Aur vo soo gaya. Subah hote hi alok jane laga to us vyakti ne kaha . yaar alok tum ak kaam kar sakte ho vaise bhi tum rooj chokhti pe majduri ke liye jate ho isse achha ye ki tum yaha hamare ghar me hi kaam kar lo . yaha tumhare liye rahne ki bhi vyastha he. 
   Alok ne socha ki chokhti me majduri ke liye kaha bhatkta rahunga isse achha he ki yahi kaam kar liya jaye. Alok ne saab ki baat man li. Aur vahi kaam karne laga. 
   Alok saab ke ghar kaam karta huva khush tha. Saab aur unke sabhi ghar wale bahut achchhe the. Alok saab ke pure pariwar walo me achhi tarah ghul-mil gaya. Saab ke ghar kaam karte  huve 2 mahine gujar chuke the. Ak din saab ke pita ji apne nizi ristydaar ke yaha shaadi party me jaa rahe the. Shaadi party ke liye ak achha hotel book kiya huva tha. Jab saab ke pita ji shaadi party me jaa rahe the to vo apne saath alok ko bhi le gaye. 
   Alok aur saab ke pita ji hotel pahunch jate he. Party me sab VIP log hote he. Jiske karan saab ke pita ji alok ko bahar gadi  me hi chhor kar hotel ke ander chale gaye.  Shaadi ke liye Hotel  bahut achchhi tarah saja huva tha. Hotel ke banquet me Ak or dance program ka stage laga huva tha, dusri or khane ka buffet, saab ke pita ji party enjoy karte he. Alok gate pe gaadi ke paas khada tha. Tabhi alok ne dekha ki ak car hotel ke gate par aakar ruki . Car ko dekhkar gate pe khade kuchh mehman  baate karne lage ki sayad dancer aayi he. Alok bhi car ki or dekh raha tha. 
   Car se ak ladki utri jisne kala chashma aur sar pe chodi round cap laga rakhi thi. Gulabi color ka lehnga-choli pehan rakha tha. Haath me salfy stick liye vo ak-dum Hiroin ke mafik lag rahi thi. Aur vo ladki dancer surbhi thi jo shaadi me dance program karne Aayi thi. Surbhi ki bhi nazar alok par pad chuki thi . lekin abhi surbhi ne alok se kuchh nahi kaha. Vo sidhi stage par chali gayi. Stage par surbhi ne apne dance aur apni Adaon se sabka man moh liya. Shaadi ke sabhi mehman surbhi ke program se bahut khush the. Program ke saath surbhi ka dhyan is or jaa raha tha ki achanak apne gav se gayab huva ye alok yaha kya kar raha he. 
   Kuchh der baad saab ke pita ji ne Alok ko hotel ke andar bula liya  Jab surbhi ne alok ko saab ke pita ji ke saath ak gharelu naukar ki tarah dekha to use sab maazra samajh me Aa gaya. Program khatm hone ke baad jab surbhi hotel ke banquet hall me idhar-udhar ghoom  rahi thi . kuchh log surbhi se autograph le rahe the. tab vo  mauka paa kar saab ke pita ji ke paas chali gayi. Us samay alok unke paas nahi tha. Kuchh der baat-cheet karne ke baad surbhi ne saab ke pita ko kaha, 
 Surbhi - Uncle aapke saath jo ye ladka he ye kon he. 
 Saab ke pita ji – ye mera staff he , mere ghar pe kaam karta he. 
 Surbhi – matlab aapka gharelu naukar he. 
 Saab ke pita ji – Ha aisa hi he , lekin me apne kisi naukar ko naukar  nahi bolta. Mere staff ki beizzati na ho isliye me apne har naukar ko staff hi bolta hu. 
 Surbhi – Yeh to Aapka badappan he aur aap  bhale Aadmi he isliye apne naukar ko staff kahkar bulate he. Lekin aap jante he ki ye kon he , kaha se aaya he aur iska kya charitra he. 
 Saab ke pita ji  - ye to me nahi janta lekin ye ladka swabhav ka bahut achha he. Aur imandar ,mehanati ,buddhimaan bhi he. 
   Alok ke bare me  is tarah ki tarif sunkar surbhi ko jalan huvi aur kaha, 
 Surbhi – uncle mera gav iske gav ke paas me hi he. Me ise iske pure pariwar sahit janti hu. Ye ladka ak baar apne gav me chori ke jurm me jail bhi gaya huva he aur adalaat me sunvayi ke samaye hi kisi ne iske haath pe goli chala di jiske karan iske ak haath ki Hatheli nahi hai. Aur abhi kuchh din pahle apni  behan ki shaadi ke din gav se farar he. 
   Itne me alok ko Aata huva dekh kar surbhi vaha se chali jati he. Jab alok vaha aata he tab saab ke pita ji uski taraf gusse bhari nazar se dekhte huva bolte he- alok tum gadi ke paas chalo me zara mehmano se milkar aata hu fir hum ghar chalte he. Thik he saab, alok ne kaha. 
   Alok gadi ke paas jaa kar khada ho jata he. Thodi der baad saab ke pita ji vaha aate he aur dono ghar ke liye ravana ho jate he. Gaadi me baithe huve saab ke pita ji ne alok se pucha ki alok ye tumhara haath kaise demese huva. 
Alok - saab ye haath mere teacher ki jaan bachane ke karan Demese  ho gaya. 
 Saab – kaise bachai tumne apne teacher ki jaan. 
 Alok – vo ak baar adalaat me kisi badmaso me mere teacher ke upar goli chala di. Aur mene vo goli apne haath pe jheil li. 
 Saab- thik he baki baat hum ghar pe karenge. 
   Dono ghar panhuch jate he. Ghar jate hi saab ke pita ji alok ko sidha apne kamre me le jate he. Kamre ma jaa kar saab ne apne bête ko awaj de kar bulaya. Beta apne pita ji kamre  me Aata he aur apne pita ji ke paas khada hokar bolta he- ji pita ji kya kah rahe ho? 
   Saab  - beta pahle ye batao ki bina jaanch padtaal kiye tumne is ladke ko ghar me naukar kaise rakh liya tumhe pata bhi he ye kon he kis gav se aaya he,  aur apne gav me ye kya karta he. 
   Tab saab ke bête na kaha- pita ji ye alok he , aur ye kis gav se aaya he kya kaam karta he ye to iske charitra se hi pata lag raha he , ye apne gav me kuchh achha hi karta hoga.
   Saab- kya chori karna achha he ? aur ye alok apne gav me chori karta tha. Aur ak baar to chori ke jurm me jail bhi gaya huva he aur vahi adalaat me hi iske haath pe  kisi ne goli mari he. 
   Is tarah bolte huve saab ke pita ji ne alok ko thappad mara aur kaha- mere ghar me chori karne aaya he tu , yaha naukar ban kar rah raha he aur mauka paa kar chori kar lega. Isse pahle nikal jaa mere ghar se. 
   Saab ke pita ji dwara thappad marne ke karna alok apne gaal ko haath se sehla raha tha. Lekin use bhi jyada dukh alok ko is baat ka tha ki uske upar chori ka ilzaam lagaya jaa raha tha. Lekin vo kuchh nahi kar sakta tha, isliye alok ne apna beg uthaya aur  raat ko hi jaane laga. Jab alok jaa raha tha. Tab uski ankho me anshu dekh kar saab ke bête ne apne pita ke pichhe se hi apni patni ko isara kiya ki alok ko kuchh rupaye aur khana de de. Uski patni ne aisa hi kiya vo chhupke se bahar ghar ke darwaje pe gayi aur jaise hi alok bahar jane laga unhone use vo rupaye aur khana de diye. Alok ne rupaye aur khana lekar saab ki patni ke pair chhuve aur siskiya bharte huve jane ke liye kaha- me jaa raha hu mem saab . 
   Saab ki patni – lekin kaha jaoge itni raat ko . isme khana he tum khaa lena. Aur kuchh rupaye bhi he. Aur is sahar me rahte huve agar koi jarurat ho to tum chup-chap yaha aajana . 
   Alok – thik he mam saab , apka bahut – bahut dhanyevad. Ab me chalta hu. 
   Alok ghar se bahar chala jata he. Ak-dum kaali raat  thi. Bahar road par bhi koi vahan nahi tha. Sabhi raste aur road bilkul sum-saan the. Alok ko bhookh bhi lagi thi. Tab vo road ke bagal me ak band dukaan ke shatar ke samne baith gaya. Vaha baith kar jaise hi alok ne khana khane ke liye khola. Tabhi uske saamne se ak car gujri. Car thodi dur jane ke baad vapas pichhe ghum kar aayi. Jisme surbhi baithi thi. Jo gupt tarike se alok ka pichha kar rahi thi. Vo alok ko dekhti huvi aarahi thi. Car Aage chale jane ke baad usne driver ko bola- driver car thoda pichhe lo. Jab car alok ke paas aayi tab surbhi ne apni selfy stick se alok ke khane ki gathri ko uthaya aur car ko aage le gayi. Alok ko samajh nahi aaya ki ye kon he aur mera khana kyo lekar jaa raha he . alok  gaadi ke pichhe bhagta huva  bola -are saab ye kya kar rahe ho mera khana kyo le jaa rahe ho me bhukha mar jaunga, mujh garib par raham karo. Thodi door jaa kar gaadi ruk jati he aur surbhi ne aawaj de kar alok ko apne paas bulaya. Surbhi ki aawaj sunkar alok stabdh rah gaya. Vo dhire-dhire gadi ke paas jane laga. Gaadi ke paas jaa kar alok ne apmanit avastha me surbhi ko kaha – surbhi meharbaani karke mujhe ye khana de do. Tum jaisi samajh daar ko aise kisi garib aur dukhi ka khana uthana sobha nahi deta. De do mera khana. Jaise hi alok gaadi ke paas jata he surbhi fir se gaadi ko thoda aage le jati he, aur taali peet kar hanshti he aur khana abhi tak gadi ke bahar selfy-stich pe latka huva tha. Vo hanshti huvi fir bolti he- Ae  alok khana chahiye , aavo mere paas . alok fir gaadi ke pichhe bhagta he . aur jaise hi alok gaadi ke paas pahunchne hi wala hota  he tab surbhi ne apne driver ko bolkar gaadi achanak pichhe li aur dhire se alok ko takkar mar di. Alok jo bhagta huva aaraha tha gaadi se takra kar niche gir gaya. Alok ke girte hi surbhi gaadi se utar kar jor se hansti he . aur hansti huvi alok se kahti he dekh alok tumne ak baar nachne-gane wali kahkar meri beijjati ki  thi Lekin tumne yaha shaadi me dekha hoga kaise mujhe aur mera dance dekhne ke liye logo ki bheed jama ho jati he , aaj ke dour me meri jaisi khubsurat dancer ki kitni izzat he ye tu kya jane. Jaha me dance program me jati hu vaha bade-bade VIP log aate he . aur mujhe salam karte he. Ye to huvi meri baat aur beijjati wala naach to vo hota he jo me tujhe nacha rahi hu. dekh kaise me  madari ke Bandar ki tarah  tujhe  nacha rahi hu. Aur tu kuchh bhi nahi kar sakta. Itna kehkar surbhi ne selfy stick se khana door nale me faink diya. Aur alok ko laat mar kar gadi me baith jati he. Driver gaadi ravana karne hi wala hota he ki alok gaadi ki khidki ke paas ja kar rota huva dabi huvi aawaj me surbhi se kehta he- Bahut ghamand he Surbhi tujhe apni khubsurti aur apne Naach-Gaan par, aur tumne ak bhukhe insaan ka khana uthakar gande naale me hi faink diya. Ak majbur lachaar bhukhe aur naseeb ke mare insaan ko apni gaadi se takkar mar kar niche gira diya . aur upar se hansh rahi ho. Kam se kam Bhagwan se to darr. Yaad rakhna aaj tumne mujhe apni takat dikhai he ak din bhagwan tujhe apni takat dikhayega. 
   Surbhi ghamand bhari aankho se alok ki or dekh kar bolti he- mujhe ye soharat aur izzat bhagwan ki meharbaani se nahi mili he . ye meri mehnat aur mere aatm-viswas  ka fal he. Bhagwan ke raham par to tum jaise bhikhari log jeete he. Mere jaise aatm-viswasi aur mehnati log bhagwan se bheekh nahi mangte. 
   Alok – bahut ghamandi ho gayi ho surbhi tum . tumne mere saath itni badtamaji ki aur upar se akad rahi ho . tum to bhagwan ko bhi kuchh nahi manti. Ak baat yaad rakhna me abhi mara nahi hu . jis khubsurti aur naach par tujhe itna ghamand he ak din vo tujhe mere kadmo me pada dikhai dega. Agar is sansar me sach-much bhagwan he to me ak din tujhe apne kadmo tale la kar dikhaunga. Tum kya samajhti  ho tumhari ye kaamyabi sansar ki aakhri aur sabse unchi kaamyabi he. Are kuchh nahi ho tum . ak din me tujhe apni kamyabi ka kad itna uncha karke dikhaunga ki tum apna sar utha kar bhi dekhogi to tujhe sirf mere pair hi nazar aayenge. Aur un pairo ke niche tu padi hogi. kya kaha tha tumne ki tum   mujhe madari ke Bandar ki tarah nacha rahi ho , lekin madari ke Bandar ki tarah to tum nachogi ak din mere samne. Aur usi din tumhara ye saara ghamand door ho jayega. 
   Surbhi- mene to socha tha ki hum amir log hi sapne dekhte he. Lekin is duniya me to bhikhariyo ke bhi sapne hote he. Bahut khub. 
   Surbhi chali jati he. Alok raat ko vahi soo jata he, lekin use neend nahi aati he. Kyonki surbhi ne uske dil me ak aag si laga di thi. Alok raat bhar futpaat par sota rahta he. Aur sochta he ki agar  me naukri ke liye kisi bhi sahar me rahunga to surbhi mujhe shanti se nahi rahne degi. Kyonki sahro me ye hamesa dance program karti rahti he.vo baar-baar jaha bhi milegi tang karti rahegi.  Ant me alok ne sahar ko chhor kar kisi gav me jaa kar kaam karne ka faisla kiya. Kyonki surbhi ka aana-jana sahro me hota he gavo me nahi. 
   Alok suryodaye ka intezaar kar raha tha. Jaise hi subah huvi vo road par dhire-dhire chalta huva railway station gaya aur jo train ravana ho rahi thi vo bina tickit hi us train ke general dibbe me  baith gaya. Majboor aur musibat ke mare alok ko ye bhi pata nahi tha ki ye train kaha jaa rahi he usne to dekha ki jaha bhi koi gav sa dikhai dega vahi utar jana he. Train ka general dibba yatriyo se khachakhach bhara huva tha. Alok ko baithne ki koi jagah nahi mili vo khada hi raha. Jis kisi bhi station par train rukti alok bahar dekhta ki koi gav he ya nahi lekin jo alok kabhi bahar hi nahi gaya use kya pata ki railway station hamesa sahar me hi hota he. Saam ke karib 4 baj chuke the. Train ak station par ruki, vo station ak chhote se sahar ka tha jo lagbhag gav ki tarah lagta tha. Alok gav jaankar vahi utar gaya. Kuchh der baad train ka horn baja aur train chali gayi. Alok vaha utar to gaya lekin use ye bhi pata nahi tha ki ye konsi jagah he aur apne gav se kitni door he. Aage kaha jana he alok ye sochta huva road par chalne laga. Alok ko vichar aaya ki ye to koi chhota-mota sahar jan padta he. Alok us chhote sahar se bahar aagaya aur ak kachchi road dikhi us par chalne laga. Raste me kuchh ikke-dukke ghar bhi aaye jaha alok ne paani piya aur chalta gaya . din dhalne laga. Alok ko 4-5 kilomiter door kuchh ujala dikhai diya koi gav jan padta tha. Us or alok chalne laga. Andhera ho gaya tha. Isliye alok jaldi-jaldi chalne laga. Chalte chalte akhir alok us gav me pahunch gaya. Lekin gav me kaha jana he kaha rehna he is tarah ki chinta alok ko satane lagi. Gav ke log idhar-udhar Aa jaa rahe the. Kuchh der baad  alok ko gav ke ak sajjan ne puchha – kaha se aaye ho bhai, koi ajnabi lagte ho, pahle to aapko yaha nahi dekha. Ha sahib me door gav se aaya hu, mera naam alok he , alok ne kaha. Me idhar koi rojgaar ke liye aaya hu. Tab us sajjan ne kaha- rojgaar ke liye to kisi sahar me jana chahiye tha. Yaha gav me kya rojgaar milta he bhala. Lekin mujhe to sahar ke kaam ka koi abbhyas nahi he . mujhe to gav ke hi kaam karna aata he . alok ki baat sunkar us sajjan ne alok se kaha- aap ak kaam karo abhi to raat bahut ho chuki he aap mere ghar chalo, vahi khana khaa kar soo jana fir hum kal subah aapke liye koi kaam dekh lenge. 
   Alok ne us sajjan ke kaha maan liya aur uske ghar chala gaya. Alok ne dekha ki us admi ke ghar pe kuchh janvar jaise gay bhens bakriya the jisse uska gujara chalta tha. Subah hote hi us aadmi ne alok ko kaha ki jab tak koi kaam nahi milta mere ghar raho. Alok din me us aadmi ke saath janvar charane jangal gaya.jab vo dono pashu chara rahe the tab kuchh log us admi se puchh rahe the – ye kon he aaj tumhare saath. Tab usne kaha ki ye koi ajnabi he kaam-dhandhe ke liye aaya he. Ye sirf gav ka hi kaam kar sakta he , ise sahar ke kaamo ka abbhyas nahi he. 
   Us sajjan  ki baat sunkar ak admi ne kaha – kya ye pashu chara sakta he. Tab alok ne kaha – ha bhai saab me pashu chara sakta hu. Tab un logo ne us sajjan ko kaha ki tum saam ko alok ko lekar mukhiya ji ke ghar Aa jana vo ise kuchh kaam de denge. 
   Vo sajjan saam ko ghar aaya aur  apna kaam nibtane ke baad alok ko  mukhiya ji ke ghar le gaya. Vaha vo sab log bhi pahle se hi baithe the jinhone alok ko vaha bulaya tha. Alok ke pahunchte hi logo ne kaha – mukhiya ji ye alok he bahut door kisi gav se roji-roti kamane aaya he. Agar aap apne ghar me ise kuchh kaam de denge to aapki badi kripa hogi. 
   Gav ka mukhiya bahut hi sada-saral kism ka admi tha. Gav ke logo ki baat sunkar mukhiya ji ne alok ko apne ghar rakh liya.  Mukhiya ji ne alok ke rhne aur khane ki vyestha ki Aur Apne ghar pashu charane ke liye rakh liya. Aur gav ke logo ko uska mehanatana bhi bata diya. Alok ke din achchhe se gujarne lage. Vo din-bhar pashu charata aur saam ko ghar aakar mukhiya ji ki bhi seva karta. Lekin ye mukhiya ji ko achha nahi lagta tha, ki alok apne kaam ke alawa koi or kaam bhi kare . lekin alok bhavna vas kaam ke alawa ghar ke kai or kaam bhi karta tha. Mukhiya ji ke ak beta aur  ak beti thi dono ki shaadi ho chuki thi. Beti shaadi karke apne sasural chali gayi aur beta shaadi ke baad kisi sahar me rahne laga. Alok pashu charane ke baad ak bête ki tarah mukhiya ji ki seva karta tha. Aur khana khaa ke pashuvo ke  ghar me soo jata tha. Mukhiya ji ne alok ke liye rahne ki jagah pashuvo ke ghar me kar rakhi thi. Gav ke sab log bhi achchhe  the Alok bahut khush tha ki itni door bhi ak ghar ki tarah log mil gaye. Lekin Sampurn shanti ke saath ak roda jaroor hota he. ies gav me hindu aur muslim dono dharm ke log rahte the. Aur gav me mandir aur masjid bilkul paas-paas thi. Aaye din is gav me hindu-muslim jhagde hote the. Kabhi-kabhar to hatha-pai bhi ho jati thi . Is Gav me Hinduo ke pratinidhi baldev the jinhe sab log  mukhiya ji kehte the jinke ghar alok kaam karta hai. aur muslim dharm ke pratinidhi Mohammad Ali Khan the Jinhe sabhi log  kaji Saab bulate the. In dono me kabhi nahi banti thi. Ye dono jaha kahi bhi mil jate the to lad jhagad kar hi jate the. Police thane me in dono ne naak me dum kar rakha tha . Har chhoti chhoti baat ke liye Thane me riport darj karane chale jate the. Jab kabhi koi in dono ko samjhata to ye dono uske upar lathi dande  utha lete the. kabhi-kabhar  to saamprdayak vivaad itna bad jata tha ki Government ko military service bhejni  padti thi. Jab hindu-muslim jhagde hote the tab alok chup –chap door khada hokar dekhta rahta tha. Use samajh nahi aata tha ki kya kiya jaye. Agar vo unhe samjhana bhi chahe to kaise kyonki alok abhi naya-naya is Gav me aaya hi he.  koi use jaanta bhi nahi . Alok mann hi mann sochta tha ki kya kabhi mere jivan me mujhe shanti se rahne ki jagah bhi milegi ya nahi. Jab us Gav me saampradayik vivaad hote the tab vaha ke kuchh rajneta us vivaad me rajnitiya khelte the. Sarkar ne paresaan hokar us Gav me sainik chhaavni sthapit bhi kar di lekin fir bhi vivaad hote rahte the. 
   Gav ki is avastha me alok ka mann 2 dishao me bhatak raha tha. Ak to ye ki is Gav me aaye din ladai-jhagde hone ke karan ye Gav chhor kar kahi or chale jaye. Aur dusra ye ki is dukh-bhare jivan ke kuchh pal yahi gujaar kar is Gav me bhai-chara, Sampradayik ekta, Desh-Bhakti akhandta me ekta ki bhavna jagai jaye. Alok ne kafi soch vichar kar ye faisla liya ki me jivan bhar kab tak bhagta rahunga. Isliye alok ne isi gav me rehna hi uchit samjha. Alok gav me rehkar mukhiya ji ke pashu chara kar apna gujara karta raha. Ab tak is Gav me alok ke kafi dost aur subhchintak bhi ban gaye the. Jinke saath dukh-sukh ki baate aur hanshi- majak kar alok apna dil behla leta tha. Alok hindu hokar aur Gav ke Hindu pratinidhi mukhiya ji ke ghar kaam karte huve bhi vo hindu-muslim me koi bhed- bhaav nahi karta tha. Kuchh Muslim log bhi alok ke achchhe Mitra the. Aur vo muslim dost bhi alok se apne dukh-sukh sajha karne lage the. Jab alok ne Gav ki samajik vyevastha ko sudharne ka faisla kiya to chhote -mote jhagde ko suljhana suru kiya. Dharmik vivaad ke alawa bhi ye Gav anek kuprathao aur kuritiyo se bandha huva tha. Jaise ki baal vivah, dahej pratha, mrityu bhooj, Sabse pahle alok ne is gaav ki baal vivah pratha ki or apna Dhyan kendrit kiya. Kyonki is pratha ki vajah se kai bachchho ka bhavishya kharab ho raha tha. Ab tak alok ko gaav ke kafi bade- bujurg log bhi pahchanne lage. Alok sabhi ko baal vivah na karne ka paramarsh deta raha. Alok achha padha- likha aur har vishye ka achha gyata tha. Isliye jab alok gaav ke anpad aur nasamajh logo ko dharm gyan ki bhasha me samjhata tha to sabhi log uski baat ko badi saralta se samajh jate the. Dhire dhire gaav me baal vivah pratha kam hone lagi. Ak baar alok ne pashu charate huve apne ak sathi se puchha ki , bhayia is gaav me school nahi he kya mujhe lagbhag 8  mahina ho gaya Lekin mene kisi bachchhe ko school jate nahi dekha. . School to he , alok ke dost ne javab diya, lekin koi apne bachchho ko bhejte hi nahi the . 4-5 saal tak school chalta raha Acchhe teacher bhi the. Lekin koi bachcha padhne hi nahi aata tha. To adhikariyon ne school ko band kara diya.  ab vaha sirf  badi- badi ghaas he awara janwar charte he . jarurat padne par Log dharm shala ki tarah kaam lete he. 
   Dost ki baat sunkar alok chouk gaya aur sochne laga is gaav me school Jaisi pavitra rajkiye sampati ki koi kadr nahi. Alok apne pashu chara kar saam ko ghar aaya pashuvo ko uchit sthaan par bandha aur mukhiya ji ki seva me chala gaya. Vo mukhiya ji ke niche baith gaya baitha- baitha unke pair dabane laga. Aur  bola saab aap bura na mane to ak baat bool shakta hu. Ha bolo beta, mukhiya ji ne kaha, saab aap is gaav ke mukhya ji he fir bhi aap jaise bhale aur neik pratinidhi ke hote hue bhi is gaav ka koi bhi bachcha school nahi jata. Aisa kyo saab ? Jis school se bachchho ki kilkariyan sunai deni chahiye us school se janwaron ki awaz sunai deti he . Ye to is desh ki reet nahi hai saab. Aap hi kuchh kijiye taki is gaav ke bacche bhi shikshit ho. Bahar jaa kar apna aur apne gaav ka naam roshan kar shake. 
   Alok ki baat sunkar mukhiya ji hanshne lage aur hanshte huve bole, are beta alok shiksha aur gyan ki jarurat to un logo ko padti hai jinke paas Aajivika ka koi rasta nahi hota. Parantu mere gaav me Aajivika kamane ke kai vikalp hai. Sabke paas bharpoor zameen he bharpoor jaanwar he, aur agar koi yahan kaam nahi kar sakta uske liye paas hi sahar me bharpoor nokriya he. To fir tum hi batao is bich shiksha ki kya jarurat hai. School aur shiksha ke liye kyo samaye barbaad kare. 
   Mukhiya ji ki baat sunkar alok kuchh nahi bola aur thodi der baad vaha se chala  gaya. Aur Hamesha ki tarah apne jaanwaron ke paas soo gaya. Raat ke kareeb 11 baje gaav me bahut jor se ladai-jhagde ki aawaz sunaai di. Aawaz sunkar alok bahar nikla. Aur dekha ki gaav me 2 gut apas me lad rahe hai. Jisme mukhiya ji ki awaz bhi sunaai de Rahi thi. Apne malik ki awaz sunkar alok vaha pahunch gaya. Us samay gaav me hindu muslim apas me lad rahe the. Mukhiya ji ki ladai kaazi saab se ho rahi thi. Gaav ke chhote se lekar bade tak sab ladai lad rahe the. Kai log  aur bachchhe lahu- luhaan ho chuke the. Jisme koi hindu tha to koi musalman tha. Fir bhi vo lad hi rahe the. Ant me dono dhire dhire saant ho gaye. Aur apne- apne ghar chale gaye. Jo log aur bachchhe ladai me jakhmi huve the unhe apne- apne ghar ke log raat ko hi hospital le jaa rahe the. Gaav ke charo or jor- jor se rone ki bhayanak Aawajen Aa rahi thi. Pure gaav me raat bhar  kohraam machta raha. 
   Gaav ki ye dasa dekh kar alok ka dil Dahal utha. Vo raat bhar soo nahi paya. Sochta raha ki bharat ki ye dasa to bantware  ke samaye bhi nahi thi. Hamare desh ke Akhandta me Ekta  Siddhant ka to yaha koi palan hi nahi he. Ab alok ka is gaav me tik kar rehne ka nischaya aur bhi suddrad ho gaya. Alok ne puri tarah nischaya kar liya ki ab to is gaav ki vyevastha sudharne ke baad hi apne ghar jaunga. 
   Aise hi raat bhar  sochte- sochne alok ki aankh lagi hi thi ki bhoor ho gayi. Alok apne bistar se utha aur hamesha ki tarah apne kaam par lag gaya. Apna kaam khatam kiya  Aur thodi der baad apne Janwaron ko nikala aur Jungal ki or charane le gaya. 
   Idhar gaav me ladai ke karan kai log Aa- Jaa rahe the. Koi samjhane wala to koi bhadkane wala. Subah se lekar Lagbhag Dopahar tak ye silsila chalta raha. Kuchh der baad gaav ke hi logo ne faisla kiya ki is vivaad ko or jyada nahi badhana chahiye. Isliye gaav ke hi kuchh samajhdaar logo ne dono paksh hindu- muslim dharm ke logo ko ak jagah ekatra kiya aur samjhota karne ka vichar rakha gaya. Kafi der tak apas me bahas chalti rahi lekin samjhota nahi ho paya hindu log bolne lage ki hum hamare apne dharm aur samaj ke netao ko bulana chahte he aur muslim dharm ke log bhi yahi baat karne lage ki hum bhi hamare Muslim dharm ke netao ko bulana chahte hai. Is tarah samjhote ke bajay dono paksh ladne ke liye amne-samne ho gaye . Gaav me dubara ladai - jhagda hone ki nobat aagayi. Dhire-dhire soor kam huva aur kisi ne ye prastav Rakha ki agar hum gaav ke logo ke beech me dharm ke neta logo ke bajay kisi anjaan samajhdaar ki sahayata le to uchit hoga. Kyonki dharm aur samaj ke neta to sirf apne hi samaj aur dharm ki  gaate rahenge. Ye baat sunkar sab logo ne samarthan kiya. Kuchh log bolne lage ki ak baar kisi anjaan ajnabi ka bhi nyay dekh lete hai. 
   Is baat ka sab logo ne samarthan kar to diya lekin ak sawal khada ho gaya ki ab kis anjaan ajnabi ko bulaya jaye. Thodi der baad usi bheed me se ak naam sunaai diye, aur vo naam tha ALOK. 
   Alok ka naam sunkar ak baar ke liye sab log saant ho gaye. Hindu dharm ki or se lagbhag sabhi ne ha bol diya. Lekin muslim dharm ki taraf se ye baat aayi ki alok to mukhiya ji ke ghar kaam karta he aur vo hindu bhi he to hum kaise vishwas kare ki vo nishpaksh nyay karega. Tab kuchh muslim logo ne kaha jo alok ko kareeb se jaante the ki alok ak dharm nirpeksha insaan he vo to kisi bhi dharm se bhed-bhaav khata hai . Yaha tak ki vo to jab jaanwar charata he tab jaanwaron ko bhi nahi satata. Vo sabhi jeev Jagat ko samaan samajhta hai. 
   Ye baat sunkar kaaji Sahab ne bhi alok ka samarthan kar diya. Aur kaha ki alok ko bula lijiye. Vo jo bhi hamara nyay karega humey manzoor hoga. 
   Vaha se alok ko bulane ke liye 2 logo ko bheja gaya .  Vo dono alok ko bulane ke liye jangal ki or rawana huve. Alok jangal me apne pashu chara raha tha. Dono log alok ke paas gaye. Aur bole , chalo alok tumhe gaav ki panchayat me bulaya he. Mujhe or panchayat me lekin kyo, alok ne kaha. Panchayat me mera kya kaam ne. Tab un logo ne kaha ye to vahi jaakar pata chalega.
   Alok.- Mujhse koi bhool to nahi ho gayi?
   Tab un logo ne kaha. Aisa to kuchh nahi par itna jaroor hai ki tum par koi badi zimmedari aane wali hai. 
   Alok. -. Achha bhayio chalo. 
    Alok un dono ke saath rawana Ho jata hai. Panchayat me pahunchkr alok ne sabhi ko pranaam kiya. Baad me kaaji Sahab aur mukhiya ji ne alok ko apne paas bulaya aur kaha, suno alok aaj hum log tumhe bahut bada kaam de rahe hai. Uske baad mukhiya ji ne alok se kaha, alok aaj tum hamare gaav ka nyaay karoge. 
   Uske baad kaaji Sahab ne kaha , aaj hamare gaav me ak nyaay ki zarurat hai. Jo koi anjaan hi kar sakta hai. Kal raat ko jo is gaav me vivaad huva tha. Vo kiski galti ke karan huva. Iska kon zimmedar hai. 
   Mukhiya ji. - ha alok tumhi batao. Aur Dhyan rahe tum ye mat sochna ki me tumhara malik hu. Me asha karta hu ki Tum sirf  nishpaksh nyay karoge. 
   Alok. - Kaaji Sahab aur Malik mukhiya ji me itna bada nahi hu ki aap jaise Mahanubhav logo ka nyaay kar shaku. Aur na hi me itna samajhdaar hu ki aap logo ko samjha shaku. Me is zimmedari ke kabil nahi hu. 
   Kaaji Sahab.-  dekho alok humne tumhe isliye bulaya hai ki tum hi sahi nyaay kar shakte ho. Kyonki is gaav me kai barso se Sampradayik vivaad hote aarahe he. Jis se nibatne ke liye humne kai netao aur dharm ke addyeksho ko bhi bulaya lekin koi matlab nahi nikla. Kyonki vo sab yaha Aakar apni Raajneetiya karke chale jate the. Aur humey apas me bhadkate the. Ab hum sab ki nazar tum par hai. Dekhte he tum kya nyaay karoge. 
   Alok.-. Nyaay karne ka sahas to mujhme nahi hai Kaaji Sahab lekin me aap logo ko tanik samjha shakta hu. Jab bhi is gaav me ladai- jhagda hota hai tab me dekhta hu koi bolta he hum musalmano ko maar bhagayenge to koi bolta hai hum is gaav se hindu Bhagwa ko mita denge. Ye sab kya hai. Apas me ak dusre ko kyo mitana chahte ho. Kya aap logo ki nazar me sirf ye gaav hi sab kuchh hai. Kya desh ke liye aap logo ka koi kartavya nahi hai. Jab aap sab log ak hi desh ke vaasi he to ye bhed-bhaav kyo he . 
   Is tarah alok ne kafi der tak gaav ke logo ko samjhaya. Aur logo ko bhi alok ki baat samajh me aayi. Samjhate huve Alok fir kehna hai- 
   ALOK -. Is desh me aaj tak vo hi mahaan Mana gaya hai jinhone kabhi koi bheed- bhaav nahi kiya ho. Jinhone Hamesha Bharat ko sirf ak akhand desh samjha ho. Jo bina bhed-bhaav kiye sabhi ko gale lagata ho. Jaise Swami Vivekanand, APJ Abdul Kalam, Mahatma Gandhi.  
   Ab alok ne mukhiya ji aur kaaji Sahab ki or dekhte huve kaha-  Aap dono is gaav ke pramukh he aapki ye zimmedari hoti he ki gaav ke bachchho ko shikshit kiya jaye. Unhe padhaya- likhaya jaye. Lekin aapne Aisa nahi kiya iska parinaam ye huva ki is gaav ke bachche bilkul agyani rah rahe hai. Aur is gaav ke Sampradayik vivaad ki aag me hawa dete rahte hai. Shikshit na hone ke karan unhe ye bhi nahi pata ki vo jo kar rahe hai vo sahi hai ya galat. Dharm, karm, niti- niyam, kanoon, bado ka samman in sabhi se aapke bachche bahut door he. Is tarah ke vivaad karke aap logon ka to samaye gujar gaya Lekin aapke ye bachche kaise jiyenge. Bina shiksha ke kaam kaaj karne ka hunar inme kaise aayega. Is or to aap dono ne koi dhyaan nahi diya. Sab kuchh he aapke gaav me school bhi he jisme to badi-badi ghaas he. Jisme jaanwar charte he. Kutte billi ghoomte he. Shiksha ke mandir ka ye haal he yaha. To aap aur aapke bachcho ka bhavishya kya ho shakta he ye aap bhi jante honge. Isliye Sabse pahle is gaav me shiksha ki uchit vyevastha karna jaruri hai. Jab bachche shikshit honge to gaav ka naksha hi badal jayegi. 
   Alok ki ye baate sunkar mukhiya ji aur kaaji Sahab ke sath sabhi gaav wale soch me pad gaye. Aur dhire dhire sabhi ne alok ka samarthan kiya. 
   Ab mukhiya ji ne kaaji Sahab se kaha- ab humey kya karna chahiye kaaji Sahab. Mujhe to alok ki baat thik lagti hai. Humey hamari school ko thik karvana chahiye. Ab hamare gaav ke bachche bhi school me padhne chahiye. 
   Ye baat to ho gayi ki school thik hona chahiye lekin ab samashy ye aayi ki school ko kon sambhale. Kyonki gaav me na to koi padha-likha hai aur na hi koi adhyapak. 
   Kuchh der sochne ke baad mukhiya ji ne kaha- kyo na hum ye jimmedari alok ko saump de. Kyonki vo ak samajhdaar aur shikshit yuvak he. 
   Mukhiya ji ki baat sunkar kaaji Sahab ne kaha- Me alok ko ye zimmedari saumpne ke paksh me hu. Vo ho hamare bachchho ko kabil bana sakta hai. Aur is kaam ke liye hume alok ki madad karni hogi. Hum sab gaav ke log Rupaye ikattha karke alok ka sahyog karenge. Sab gaav walo ne kaaji Sahab ki baat maan li. 
   Mukhiya ji-. Alok beta ab tum mere jaanwar nahi charavoge, ab tum sirf school ko sambhaloge. 
  Alok- thik hai mukhiya ji
  Sab log vaha se chale jate hai. Alok bhi jangal ki or chala jata hai jaha uske Jaanwar char rahe the. Saam ko ghar aakar hamesha ki tarah vo mukhiya ji ki seva karne laga. Lekin aaj mukhiya ji ne alok ko rook diya aur kaha ab tum mere ghar kuchh nahi karoge. Ab tum sirf yaha raho aur gaav me shiksha ka vikas karo. Tum itne samajhdaar aur gunvaan ho mene to kabhi socha hi nahi. Ab tum khana Khao aur soo jao. 
   Alok ne khana khaya aur apne kaksh me chala gaya. Apne bistar par baithe huye alok ko apne ghar , Behan Bhumi aur Anuradha ki yaad aane lagi. Is gaav me alok ko lagbhag 10 mahine ho chuke the. Socha ki ak chitthi  likh kar khabar kar du. Alok ne raat ko sote hue apne gaav  Pujari baba ke naan pe ak chitthi likhi . jaha uski patni Anuradha rah Rahi thi.  Jisme alok jaha vo rah raha tha vaha ka naam pata apne Kushal- mangal kaam karne ki khabar likhka aur kuchh Rupaye ka draft bhi bheja . 
   Dusre din alok Subah jaldi Utha mukhiya ji se mila or gaav ke sabhi bachcho ko lekar school chala gaya. School jaa kar alok ne sabse pahle bachchho ki madad se school ko saaf kiya. School ko pura saaf karne ke baad alok ne vaha hare- bhare vriksh fooldaar paudhe lagaye. Kuchh dino tak school ki halat thik karne ke baad alok ne bachchho ko prarambhik padhai padhana suru kar diya. Padhai ke saath alok bachchho ko desh prem ki kahaniyan bhi sunaya karta tha. Jisse bachchho me apne desh ke prati prem aur lagaav ki bhavna jagi. Desh prem ke saath- saath alok ne dharmik vivaad, chhuvachhoot, baal vivah, Jaisi anek buraiyo se avgat karaya. Hil- mil kar ak saath rahna sikhaya. 
   Jab gaav ke sabhi bachche school aane lage to alok ne adhikariyon se baat karke gaav ke school me Addyapako ki maang ki . Kuchh mahino baad alok ki gaav ke prati lagan or mehnat ko dekh kar sarkar ne Addyapako ki vyavastha ki. Ab school me padhai chalne lagi. Lekin alok ko bhi school me Addyapak ke toor par rakha gaya. Ab bachche jab alok se padhkar apne ghar jaate the to vo apne ghar walo ko ye sab baate batate the. Bachchho ki baate sunkar dhire dhire gaav me bhi shanti ka mahol kayam ho gaya. Ab hindu- muslim apas me ladne - jhadne ke bajay ak dusre ke sukh- dukh me saath dikhai dene lage. Dhire-dhire alok ne ak saal ke andar pure gaav ko ekta aur apsi bhai chare ke bandhan me baandh diya. Ab gaav me khoon- kharabe ke bajay khel- kuud, kala - baaji, sangeet, nritya, dharmik or saanskritik karyakram hone lage. Jo bachche ab tak bade- bujurgon ka koi samman nahi karte the vo ab unka adar- satkaar karne lage he. Chahe wo kisi bhi dharm ya jaati ka ho. 
    Deewali aur eid me dono ak dusre ko gale lagane lage. Sab log kathin mehnat karne lage. Aur Gaav ab unnati ki or badhne laga. 
   Alok ko is gaav me lagbhag 2 saal ho chuke hai. Sab log alok ko guruji ke naam se bulane lage. 
Idhar pujari baba aur desh ke PM Sahab ka nizi sahayak Paresh alok ko dhoondhta huva pujari baba ke paas aaya huva tha. Dono raat bhar alok ke jivan ki baate karte rahe. Baate karte- karte subah ke 4' baj chuke the. Alok ki jivni sunkar Paresh ka bhi dil bhar aaya. Pujari baba ne Paresh ko vo chitthi di jo alok ne bheji thi. Jisme uska pata bhi likha huva tha. Aur kaha-  dekho Paresh jabse alok yaha se gaya tab se usne ye ak chitthi bheji hai. Vo vaha Kushal se he. Aur uske baad ab tak koi khabar nahi hai. Lekin Paresh ye batao ki mere alok ko PM Sahab ne kyo yaad  kiya. 
 Paresh-.  Ab ye to vo hi jaane. Lekin itna jaroor hai ki koi jimmedari he jo alok ko milne wali hai. Baba kyo na hum abhi subah hi rawana Ho jaye alok ke paas jaane ke liye. Gaav me kisi ko pata bhi nahi chalega abhi to sab soo rahe honge. 
Pujari baba Paresh ke saat Jane ke liye Tyyar ho gaye. Dono ne jhat se Tayyari ki aur pujari baba apni patni aur Anuradha se mile or rawana Ho Gaye. Dono kuchh door paidal chalne lage uske baad train me baith gaye. Train me baithte hi kuchh der baad dono ko neend aa gayi. Kyonki dono raat bhar nahi soye the. 
 Dusre din subah karib 11' baje dono us gaav me panhuch gaye jaha alok rahta hai. Gaav me jaa kar Paresh ne kuch logo se puchha ki bhayia yaha alok Naam ka koi rehta hai vo kaha milega. Logo ne bataya ki vo abhi school me he. 
 Pujari baba aur Paresh dono school ki or rawana Ho jate hai. Pujari baba ka mann alok se milne ke liye bahut utshuk ho raha tha . Dono school me pahunch jate hai. Vaha jaa kar pujari baba ne ak bachche ko kaha beta alok kaha he Jara unse kaho ki aapke gaav se koi milne aaya hai. Idhar alok bachchho ko padha rahe the. Usi samay vo  Bachcha jaa kar alok se kehta hai Guru ji aapke gaav se koi  2 log aaye hai aapse milna chahte hai. Us bachchhe ki baat sunkar alok chouk gaya. Aur bola- mere Gaav se aaye he . Unhe jaldi bula kar lavo. 
 Alok ka jaise mann baichen ho raha tha. Vo school ke darwaje ki or taktaki lagaye khada tha. Jaise hi Alok ne pujari baba ko dekha apne aap ko rook na paya. Bhaag kar sidha pujari baba ke gale lipat gaya. Baad me alok baba aur Paresh ko school ke office room me le gaya. Vaha le Jaa kar Adar se baithaya . Chai paani ki vyevastha ki. 
 Ab alok ne baba se puchha - baba aap achanak yaha aaye mujhe kuch chinta Ho Rahi hai. Gaav me sab Kushal mangal to he na . Pita ji aur Maa kaisi hai. Aur Meri Ladli Bhumi  to thik he na. 
Pujari baba ne kaha-  beta alok gaav me sab Kushal mangal he tumhare pita ji aur Maa bhi thik he Bhumi bhi kuch din pehle Sasural se aayi thi Vo Mujhse milne mere ghar bhi aayi. Kafi der tak baat cheet ki. Vo mujhse tumhare bare me bhi puch rahi thi. Kah rahi thi ki baba aapko to jaroor pata hoga mere bhai ke bare me. Lekin mene use samjha diya tha . Lekin beta Vo tumhe yaad karke bahut rooti hai. 
Alok-.  Aur Anuradha kaisi he baba. 
Pujari baba-.  Anuradha bilkul thik he. Vo to bas har pal tumhe yaad karti rahti hai. 
Alok -. Aur baba aapke saath ye kon hai
Pujari baba -. Beta ye Paresh Ji hai. Hamare PM Sahab ke Niji sahayak .  Ye  tum se milne ke liye Delhi se hamare gaav aaye the . Din bhar gaav me tumhe dhoondhte huve inhe raat ho gayi aur ye pahle Mahesh Bhawani mandir aaye aur fir mere ghar. Mere ghar aakar inhone apni baat batai. Inhe PM Sahab ne tumhe Delhi le jaane ke liye  bheja hai . Mujhe to abhi tak chinta Ho Rahi hai ki PM Sahab ne tumhe  Delhi kyo bulaya hai. Vo tumhe kaise jaante hai. 
Alok-.  Mujhe PM Sahab ne Bulaya he. Kya ye Sach hai Paresh Sahab. Me Mamuli insaan unke kya kaam Aa sakta hu . 
Paresh -.  Ha Alok ye sach hai ki PM Sahab ne Aapko Delhi bulaya hai. Lekin vajah to unhone mujhe bhi nahi batai. Vo tumse milkar hi baat karna chahte hai. Isliye hume jald hi yaha se rawana hona hai. 
Alok ne Paresh ki baat sunkar turant school se  bachchho ki chhutti Kar di. Aur vo Paresh aur pujari baba ko lekar mukhiya ji ke ghar le aaya. Us samay mukhiya ji apne ghar pe soo rahe the. Alok ne ghar Jaa kar mukhiya ji ko jagaya. Mukhiya ji ne jhatt se uthkar kaha, kya baat hai beta tum is samaye yaha kaise. Ye to school me bachchho ko padhane ka samaye he. Aur ye tumhare sath kon log he. 
Alok-.  Mukhiya ji ye mere Gaav ke pujari baba he aur ye Paresh Sahab he. Hamare PM Sahab ke Niji sahayak. Inhe PM Sahab ne bheja hai mujhe Delhi le jaane ke liye. To mujhe abhi inke sath Delhi ke liye rawana hona hai. Mujhe PM Sahab ne Bulaya he. Aap mujhe jaane ki Izazat dijiye Mukhiya ji. 
Mukhiya Ji-.  Tumhe PM Sahab ne Bulaya parantu kyo ? Baat kya hai. Mujhe to ye sunkar bahut khushi ho rahi hai alok. Tumhe PM Sahab ne Bulaya. 
Alok-.  Ji Mukhiya ji Mujhe PM Sahab ne bulaya hai. Aur Paresh Sahab ka kehna hai ki hume abhi Delhi ke liye rawana hona hai. 
Mukhiya Ji-.  Tum Jaroor jao alok. Lekin thodi der ruko me Kaaji Sahab ko yaha bulata hu. Tum unse bhi milkar jao. 
  Kaaji Sahab ko bulane ke liye Mukhiya ji ne ak bachchhe ko bheja. Bachchha bhag kar Kaaji Sahab ke paas gaya aur bola - Kaaji Sahab Hamare Guruji Alok ji Delhi jaa rahe hai. Delhi se koi unhe lene aaya hai . Bata rahe the unhe hamare PM Sahab ne  bulaya hai. 
Bachchhe ki baat sunkar Kaaji Sahab turant Mukhiya ji ke ghar aagaye. Unke sath gaav ke kuchh log bhi aagaye. Ghar pahunchte hi Mukhiya ji ne kaaji Sahab se kaha - kaaji Sahab ye Alok ke gaav ke Pujari baba he aur ye Paresh Sahab he. Ye Alok ko lene aaye hai PM Sahab ne bulaya. Ye abhi rawana hona chahte hai. To mene socha jaane se pehle alok Aap se bhi mil le. 
Kaaji Sahab -.  Sirf mere mil lene se kya hoga Mukhiya ji. Hamare pure gaav par Alok ka Ehsaan he. isi ki Badolat hamara Sabse Badmaash aur gira huva gaav Aaj Jannat Ban gaya hai. To me chahta hu ki hume Tatkal Panchayat bula kar sab gaav walo ko ikattha kar lena chahiye. Jisse sab log alok se mil bhi lenge. Alok ko PM Sahab ne bulaya hai kya pata vo alok ko konsi Rashtriye Jimmedari Dene Wale hai. Kon jaane alok dubara is gaav me Aa payega ya nahi
Mukhiya ji - Aapki baat bilkul sahi hai Kaaji Sahab. Hume Turant panchayat bula leni chahiye. 
Gaav ke charo aur logo ko bhej diya gaya aur kehalvaya ki mukhiya ji aur kaaji Sahab ne tatkal panchayat bulayie he. Alok is gaav se Jaa rahe hai. Ye baat sunkar sab gaav wale turant Mukhiya ji ke ghar aagaye. 
Mukhiya ji aur kaaji Sahab ne sabhi gaav walo ko kaha ki alok ka Delhi se bulava Aaya hai. Hamare desh ke PM Sahab ne bulaya hai. Aur ye abhi rawana Ho rahe hai. Isliye dhool- Baaje ke saath hum alok ko vidaa karenge. 
Dhool- Baaje ke saath alok ko gaav se  vidaa kiya gaya. Alok ne mukhiya ji Aur Kaaji Sahab ke pair Chhuye aur Ashirwad liya. Aur sabhi gaav ke logo ko namaskar kiya aur rawana Ho Gaye. Alok ke bina pura gaav sun- Saan lagne laga. Alok ke chale jaane se jaise gaav ki Ronak hi Chali gayi. 
Jab Paresh Aur Alok Delhi ke liye jaa rahe the tab pujari baba ne kaha beta me apne gaav chala jata Hu. Tum Paresh Sahab ke saath Delhi hokar Gaav aajana. Lekin alok nahi mana kaha- Nahi Baba aap abhi ghar mat jaiye. Aap bhi mere sath Delhi chaliye mera bhi Mann laga rahega . Pujari baba ne alok ki baat maan li. 
Jab vo Teeno Delhi jaa rahe the tab gaadi me baithe Paresh ne PM Sahab ko phone kiya aur kaha - Sir Alok mil Gaya me use lekar Delhi Aaraha hu.Hum kal subah karib 4 baje Delhi pahuch jayenge. Aap hume kab aur kaha milenge. 
PM Sahab-   Me abhi apne nizi nivas par pahunchne wala hu aur tum alok ko lekar vahi  pahuncho. 
Raat bhar ka safar karke lagbhag Subah 4 baje vo Delhi Pahunch gaye . Aur Paresh unhe lekar sidhe PM Sahab ke paas chale gaye. Alok ka dil dhak- dhak kar raha tha kyonki vo PM Sahab se milne wala tha. Paresh ne unhe baithaya aur khud PM Sahab ko bulane gaya. Thodi der baad PM Sahab aaye. Alok ne PM sahab ke Charan Sparsh kiye aur Sahab ne Alok ko Vijayi Ho ka Ashirwad diya . Pujari baba ne bhi PM Sahab ko pranaam kiya. 
Ab PM Sahab ne Alok, Pujari baba aur Paresh teeno ko apne samne Baithaya. Sabse pahle Sahab ne Alok se kaha- Alok Beta Adaalat me tumhare haath pe goli chali. Ye khabar maine Sun rakhi he ab ye khabar me tumhari Jubaan se Sunna chahta hu . Mujhe batao ki us din huva kya tha ?
Alok -. Sahab Gaav me chori ke ilzaam me mujhe Adaalat me Pais kiya gaya tha. Jabki Vo Chori maine nahi ki thi us din to me bahut Bimaar tha. Adaalat ne mujhe Choor Ghoshit kar diya tha. Aur mujhe saja sunai gayi. Jab Sab log Adaalat se bahar jaa rahe the tab Agli sunvayi ke liye mere Guru ji ko laya gaya. Us samay unke paas koi Vakeel nahi tha to maine vo Mukaddma lada aur Maine Apne Guruji ko Bacha liya. Uske baad un Badmaso ne Mere Guruji par Goli Chalai Aur maine vo Gooli apne Haath par Le li. Jisse Mera haath Pura Bikhar gaya. Uske baad jab hum sab log bahar aaye tab Guru ji ne mujhe Ashirwad diya ki tumne apne guru ke liye apna haath khoo diya ak din ye pura Sansaar tumhare haath ke niche hoga. 
PM Sahab -. Sabse pahle me tumhare Guru ke prati tyaag ko Pranaam karta hu. Aur ab vo samaye aagaya he ki tumhe is sansaar ko apne haath ke niche lana hai. Alok ak Mahine baad Vishwa Sthaar par ak Dharmik Sammelan hone jaa raha hai. Aur me chahta hu ki us sammelan me Bharat ka Netritva aap karo . 
Alok -. ( Ghabrata Huva ) Sahab Aap ye kya Bol rahe hai. Kya me Vishva Dharm Sammelan me Bharat ka Pratinidhitva kar sakta hu. Lekin me is kabil nahi hu Sahab. Hamare Hindustan me kai mahaan dharm Gyani he. Me bhala unke saamne kaha. 
PM Sahab -.  Aapki Kabiliyat me janta hu Alok. Ha Ye sach hai ki Hamare Desh me bahut dharm Gyani he , lekin mujhe unme se kisi par bhi Bharosa nahi hai. Un sab me koi na koi kami hai. Aur aap un sabse alag ho. Isliye mera yahi faisla hai ki Aap hi ye kaam kar sakte ho. Abhi aap log Safar ke karan Thak gaye honge Aaram karo aur subah hum Media ke Saamne desh ko sambodhit karenge jisme hum ye bhi elaan karenge ki is dharm Sammelan me hamari or se Alok jayenge. Aur ye khabar pure Desh me fail jayegi. 
 Alok ne Sahab ko Pranaam kiya aur Aaram karne chale gaye. Lekin alok ka dil bahut baichen ho raha tha. Vo sochta raha ki kal Meri khabar pure Desh me fail jayegi. 
Subah ke 11, baj chuke the. Alok ko PM Sahab ke office me Bulaya gaya.  alok Tyyar hokar PM sahab ke paas chala gaya. Jaha Sahab apne office me Baithe the, aur vaha TV News riporter, Media, Patrakar sab log bhi the. Alok ko samman ke sath baithaya gaya. PM Sahab ne Patrakaro ke saamne ye ghoshna ki - Vishwa Dharm Sammelan me Bharat ka Pratinidhitva Alok karenge. 
 Sahab ki ghoshna sunkar alok ne kaha- Sahab me fir dubara aapse yahi kehna chahta hu kya mere Alawa koi nahi he jo is sammelan me Bhag le Shake ? Kya ye sansar Bharat ka Majak nahi udayega ki bharat ne ak Haath wala pratinidhi bhejaa he. 
PM Sahab-. Aap is baat ki chinta mat karo . vaha jaane se pehle hum aapka haath thik karva denge. 
Alok ko bhi Desh ke prati Garv ki Anubhuti huvi. Aur Sammelan me jaane ka Nirnay le liya. P M Sahab ke Adeshanushar Alok ko  haath theek karwane ke liye bhej diya gaya. 
 Dusre din ye khabar pure Hindustan me Fail Gayi. Idhar us Gaav ke Mukhiya ji aur kaaji Sahab ke saath sabhi gaav wale jo alok ki khabar sunne ke liye TV dekh rahe the . Vaha jab ye khabar aayi to pura gaav khushi se jhoom utha. Yahi dasa alok ke gaav ki bhi huvi. Vaha bhi us din Alok ke pita Thakur Jaydev Subah ke samay TV par Samachar dekh rahe the aur Alok ki Sauteli maa Chai lekar aayi. Jab vo dono Chai pee rahe the tabhi P M Sahab ke saath alok ko dekh kar Chook gaye. Thakur Jaydev ne chai table par rakh di aur TV ki taraf dekhte rah Gaye. Jab unhone TV par ye khabar bhi suni ki alok Vishwa Dharm Sammelan me Bhag lene jaa raha hai tab unki Aankhe Fati ki Fati rah gayi. Gaav ke kai logo ne bhi ye khabar Dekhi News Pepar me bhi padhi. Subah hi ye khabar pure gaav me fail gayi. Gaav me bahut Soor ho raha tha jiski Awaj Pujari baba ke ghar tak Jaa Rahi thi. Us samay Anuradha Shiv ji ki pooja Kar Rahi thi. Pooja puri karne ke baad Anuradha ne pujari baba ki patni se kaha- Mata ji aaj Subah - Subah gaav me ye itna Soor  kyo ho raha hai ? Aur mujhe is soor me Alok Naam bhi sunai de raha hai. 
Mataji- Ha beti soor to mujhe bhi sunaai de raha hai. Tum chinta mat karo me jaa kar pata karti hu. 
 Mataji gaav ki or chali jati hai. Jaise - jaise vo gaav ke nikat jaa rahi thi vo Soor Gul aur Alok Naam aur jyada sunaai diya. Baar Baar Alok Naam sunkar Mataji chintit ho rahi thi. Vo jaldi -jaldi chalne lagi. Mataji gaav me pahunch jati hai. Vaha jaa kar  unhone ak admi se jiske haath me News Pepar tha se puchha, - ye Soor kaisa hai. Kya huva. Us aadmi ne kaha - Mata ji aapko pata he aaj alok ki vajah se hamara gaav poore desh me Mashoor Ho Gaya hai. PM Sahab ne Vishwa Dharm Sammelan ke liye Alok ka Chayan kiya hai. Hamara alok Sammelan me Bharat ka Pratinidhitva karega. Ye khabar sunkar Mataji ki khushi ka thikana nahi raha. Mataji ne us aadmi se kaha , ye Akhbaar mujhe de sakte ho ? Aadmi ne Mata ji ko Akhbaar de diya. 
Mataji Akhbaar lekar  vapas bhagti huvi apne ghar ki or jaati hai. Ghar Jaa kar Anuradha ko boli- beti aaj bhagwan shiv ji ne tumhari Manokamna puri kar Di. Ye Akhbaar dekh Alok ki photo aur vo bhi hamare PM Sahab ke saath. Tumhe pata hai Hamara alok Vishwa Dharm Sammelan me Bharat ka Pratinidhitva karega. 
Anuradha - ( chookti  huvi ) Saach. Kya aap Saach keh rahi hai Mata ji. 
 Mataji ne Anuradha ko Akhbaar diya aur kaha tum khud hi dekh lo . 
   Anuradha ne Akhbaar dekha to Aankhe Fati ki Fati rah gayi. Apne Pati aur PM Sahab ki ak saath photo. Aur khabar Alok Bharat ka dharm Sammelan Pratinidhi. Anuradha bahut khush huvi. Aur Mataji se kehne lagi Mataji Aaj Akhbaar me  unke darshan ho hi gaye. 
  Alok ke gaav me Umang chhaa rahi thi. Idhar Alok ki Behan Bhumi Apne Sasural me Apne Bhai ke karan bahut chintit thi. Vo gumsum hokar Sofe par baithi hui thi. Aur alok ke baare me soch Rahi thi. Itne me Bhumi ka pati aajata hai. Aur Bhumi ko chintit dekhkar kehta hai- kya baat hai itni udaas kyo baithi ho ? 
 Bhumi -  kuchh nahi bas Bhaiya ke bare me soch Rahi thi. Bhagwan Jane vo kaha aur kis haal me hoga. 
 Tab Bhumi ke pati ne kaha , chinta mat karo bhagwan sabka rakhwala he. Alok ko kuch nahi hoga. Aavo hum chai pite hai. 
   Dono Chai pee rahe the tab samne Television pe news chal rahi thi achanak Bhumi ka dhyan TV ki or gaya . TV par Vishwa Dharm Sammelan Aur Alok pratinidhi  aur PM Sahab ke saath alok ye sab dekh kar Bhumi chook gayi aur jor se chillai Ye rahe mere Alok  Bhayia. Bhumi Alok ki ye khabar sunkar khushi ke mare Rone Lagi. Aur boli - Mere Bhaiya kaha ho aap jaldi Aajavo. Mujhe aapki bahut yaad Aarahi he. Aapke haatho se chunari odhne ke liye me Aaj bhi baichen hu.  
  Bhumi ke pati ne Bhumi ko Sambhala aur kaha - Ab  kyo roo rahi hai aap dekho alok ko PM Sahab ne kitni badi jimmedari di hai. 
   Pure Desh me alok ke charche ho rahe the. Lekin Surbhi ko abhi tak alok ki is lokpriyata ki koi jankari nahi thi. Surbhi ab bahut badi Dancer Star ban chuki thi. Use apni kaamyaabi ke chalte Nashe ki latt lag Gayi. Vo ab lagbhag Nashe me hi Rehti hai. Isliye use apne Dance problem ke alawa Desh-Duniya ki koi jankari nahi rehti hai. 
   Din gujarte gaye alok ka haath bhi bilkul theek ho gaya. Ab dusre din alok ko Sammelan ke liye rawana hona hai. Dusre din alok ne sabse pahle Ujjain Mahakaal Mandir me Maha pooja ki. Uske baad alok CM Sahab se milne gaya. CM Sahab us samay Janta ke Samne Bhashan de rahe the. Unhone alok ko Vahi bula liya. Alok ne Sahab ko natmastak hokar pranaam kiya. Aur jaane ki Izazat li.  CM Sahab ne Alok ko ak Tiranga diya aur kaha - Hum  Aapko Ye Garv aur  Saan Se Lehrata Huva Tiranga De Rahe Hai aur Aasha karte hai ki Aap hume ye Tiranga aise hi Lehrata Huva Vapas Denge.  Ise murjhane nahi denge. Alok ne dono haatho se Tiranga pakda aur apne mathe se lagaya aur joor se Bharat Mata ki Jai bola. Saath me sabhi janta ne bhi Jaikaar kiya.  Ye sab ghatna pura desh TV par sidha prasaran dekh raha tha. 
  Alok vaha se chale jate hai. Uske baad jab vo rawana Ho rahe the tab Mukhiya ji aur kaaji Sahab kuchh gaav walo ke saath alok ke paas pahunch jate hai. Dono ne alok ko gale lagaya aur Vijayi hokar aane ka Aashirwad diya. Alok ne dono ko pranaam kiya aur rawana hone laga. Jaise hi Alok thodi door gaya pichhe se kaji Saab ne kaha - Alok Mere Bachchhe tum Apne Dil me ye baat kabhi mat lana ki is desh me to hindu-muslim vivaad hote rehte hai to ye desh kamjor hai , Nahi , Jab Desh ke Aan aur Samman ki baat aati hai tab hum sab Ak he. Uske baad kaaji Sahab ne bhi Bade joor se Hindustan zindabad bola. Uske baad alok rawana Ho jata hai. 
   Alok Vaha Pahunch jaate he jaha ye Dharm Sammelan hone wala tha. Vaha Vishwa ke kai desho ke Pratinidhi aaye the . Bharat ke Pratinidhi  Alok bhi vaha baithe the. Sabhi pratinidhiyo ke paas apne - apne Desh ke Dhvaj lage hue the . Vishwa Sthaar ke kai Sanghatan ke Pramukh bhi Sammelan me aaye the.  
  Dharm Sammelan ka Subharambh ho Chuka tha . Sabhi pratinidhi Apne - Apne Desh ke baare me Shabd bol rahe the. Us Gaav ke kaaji Sahab aur mukhiya ji ke saath poora gaav TV par Sammelan ka sidha prasaran dekh raha tha. Idhar Alok ki Behan Bhumi To Raat Bhar Sooyi bhi nahi TV ke Samne hi baithi rahi. Alok ke gaav me bhi sab Sammelan ka sidha prasaran dekh rahe the. Alok ke pita Thakur Jaydev aur Maa Bhi apne Mahal ke andar TV par Sammelan ko dekh rahe the. Pujari baba ne bhi apne ghar me tv lagaya Vo Bhi Anuradha aur apni patni ke saath dekh rahe the.  Sammelan ka Subharambh hone ke kuch der baad Anuradha  Apne Pati Alok ki Vijay Kamna ke liye Durga Maa ke Saamne Aasan lagakar  dhyan Magn  ho gayi. Dusri taraf  Bhumi bhi Apne Sasural me Aasan lagakar Bhagwan Shiv ji  ki Aaradhna karne lagi. Anuradha aur Bhumi dono apni apni jagah dhyan magn thi. Dharm Sammelan chalta raha. Akhir Ab Hindustan ki bari aagayi. Alok Manch par Gaya. Pahle alok ne Sammelan me birajman sabhi ko  haath Jodkar Pranaam kiya. Uske baad  apne desh ke bare me Sanskrit, Hindi Aur English in Teen bhashaon me Bhashan diya. Jab Alok ne Sanskrit me Bhashan diya tab sab logo ne socha ye Bhasha kon samajh payega lekin vahi Shabd Hindi Aur English me bole gaye tab Sabhagaar me Taaliyon ki Gadgadahat baj uthi. Jab alok ka bhashan suru huva Pure Hindustan ki Mano Sanshe thamm gayi . Jo Log jaha the vo vahi ruk gaye Saharo me gadiya jaha ki taha ruk gayi kyonki sahro me har jagah Jaise Airport, Railway Station, Bus Stand, Circles Aadi Sabhi Jagah LCD TV par Sammelan ka sidha prasaran chal raha tha.
   Alok ka Bhashan khatm huva lekin Anuradha aur Bhumi abhi tak Alok ki Vijay ke liye Dhyan Magn thi. Bhashan khatm hone ke baad alok apne Sthaan par gaye aur uske baad kisi ki bhi Manch par jaane ki himmat nahi  huvi kyonki alok ne teen Bhashaon me Bhashan de kar Pure Vishwa ka Mann Moh Liya . Sabha me ak dum Sannaata chhaa gaya tha. Kuchh der baad Sabha me nirnaye liya gaya ki Bharat hi Dharm Shrestha, Dharm Dhwaj, Vishva Dharm Guru hai. Aur Alok hi hai ' Alok A Religion Flag Of India  bharat ka ak Dharm Dhwaj . Uske baad alok ko Samman ke sath Manch par Bulaya gaya. Alok Manch par aaye unke ak haat me PM Sahab ka diya huva Tiranga aur dusre hath me ak chhota sa beg tha . Manch par jaakar alok ne Tiranga lagaya aur beg saamne rakh diya. Uske baad alok ka bhavye swagat huva . Baad me Alok ne apne beg me se ak Shankh nikala jo unhe pujari baba ne diya tha . Alok ne Mike ke saamne joor se Shankh bajaya Shankh ke baad alok ne Bharat Mata ki Jai ka Naad kiya. Alok ka Vijay Shankh Naad Pure Vishva me Gunj utha. Jab dhyan Magn Anuradha aur Bhumi ke Kaano me paas me chal rahe Television ke dwara Shankh Naad ki dhwani aayi to vo Samajh gayi Ki Bharat Vijayi ho chuki hai. 
   Aaj alok ke guru ka vo Vardaan Sach ho gaya jo unhone Adalat me goli ko haath me jheil lene ke karan khush hokar alok ko diya tha. Ki ak din pura Sansaar tumhare is haath ke niche hoga. 
   Alok Sammelan se Vijayi Hokar Apne Vatan me aajate hai. Jaha Jagah Jagah par Unka Bhavya Swagat hota hai. Alok kisi se mile bina sidhe PM Sahab ke paas gaye. Vaha jaa kar PM Sahab ko vo Tiranga diya aur kaha dekh lijiye Sahab mene hamare Dhwaj ko Murjhane nahi diya Balki aur jyada Gaurvanvit karke laya hu. PM Sahab ne Alok ko Sabbashi di . 
   PM Sahab se milne ke baad alok ne socha ki sabse pahle  Bhumi se milta hu uske baad apne gaav jaunga. Alok gaadi me baith kar  apni Behan Bhumi se Milne Uske sasural ki or Jane laga. Raste me alok ko phone ke dwara Suchna milti hai unke Gaav ke Jila Adhikari aur netaon ne milkar ak jordar Swagat karykram rakha hai. Jisme alok ko pahuchna he. Alok ne apne driver ko gaadi  gaav  ke Jila Sahar ki or le jaane ko kaha. Idhar Bhumi ko pata chala ki Gaav ke Jila Sahar me alok ke Swagat ke liye Bhavya Karykram rakha gaya hai to vo Jaldi se tayyar hokar apne pati ke sath  karykram sthal par pahunch gayi. Alok ke vaha pahunchne se pehle hi saari Tayyariya ho chuki thi. Ak unche Manch par alok ke baithne ki vyevastha ki gayi . Jile ke sabhi pramukh Adhikari, Neta aur Mantri ye sab log alok ke Swagat ke liye tayyar the. Bhumi bhi alok ke Swagat ke liye khadi thi. Swagat Karykram bahut bada rakha gaya tha jisme Naach Gaan ki bhi vyavastha thi. 
   Ab alok karyakram Sthal par pahunch jate hai. Vaha pahunchte hi Sabhi Officer, Neta , Mantriyo ne alok ko Mala pehna kar Swagat kiya. Bhumi door khadi apne Bhai ko Nihaar rahi thi. Jaise hi alok ki nazar Apni behan Bhumi par padi vo apne aap ko sambhal na saka. Alok sab logo ko chor kar sidha Bhumi ke paas gaya aur use gale laga liya. Kai barso baad bhai se gale milkar Bhumi roo padi. Alok ne behan ke aanshu pichhe. Aur kaha- roo mat behna hume jitna rona tha hum roo chuke . Baad me Bhumi apne bhai ko upar stage par lekar gayi jaha alok ke liye singhasan numa kursi lagi huvi thi alok vaha baith jata hai. Aur Bhumi bhi vahi paas me baith jati hai. Swagat satkaar hone ke baad nritye gayan ka Karykram suru huva. Jisme Pradesh ki mashoor dancer Surbhi dance karne ke liye aayi. 
   Isse pahle Surbhi ko ye pata nahi tha ki ye alok ka swagat Karykram he. Kyonki uske ak staff ne ye booking taye kar li aur Surbhi ko baad me bataya aur us samay Surbhi Sarab ke Nashe me ak Hotel me thahri huvi thi . Aur usne dance program ke liye ha bol diya. Surbhi kai dino se us hotel me hi rah Rahi thi. Vahi khana pina moj masti kar rahi thi. 
   Jaise hi Surbhi ne samne alok ko sabse upar swagat ki mala pehne hue dekha. Vo ak dum chook gayi. Lekin alok ki nazar Surbhi par nahi padi kyonki alok us samay Officer aur netao se baate karne me vyest the.  Dance ke liye gaana suru huva lekin Sarm beizzati aur ghabrahat ke karan dance karne ke liye Surbhi ke pair hi nahi uth rahe the. Thodi der baad Surbhi koi bahana banakar dance floor se niche gayi aur apne manager ko bulaya aur kaha - ye karykram kis vajah se rakha gaya hai yaha aur vo stage pe kon baitha he ? 
   Surbhi ka Manager -. Madam aap inhe nahi jaanti ye Alok Sahab hai Surpur gaav ke Thakur Jaydev ka beta. Unke swagat me ye karykram rakha hai. 
   Surbhi -. Ye sab to thik ye lekin iska itna jordar swagat kyo ho raha hai ? 
   Surbhi ka Manager -. Madam inhone Vishwa Dharm Sammelan me hamare desh ka Pratinidhitva kiya he aur is Sammelan me Bharat ki Vijay huvi he. Hum to kya pura desh Alok ki jai Jaikaar kar raha he. 
    Surbhi -- Lekin mujhe ye program nahi karna he . 
   Surbhi ka Manager -  kyo madam. Humne to is program ka advance payment bhi le liya hai. Aur yaha bade - bade Officer, Neta Mantri log baithe hai ye humey is tarah program chor kar nahi Jane denge. 
   Dono baate kar rahe the ki ak aadmi ne aakar Surbhi se kaha  -. Madam chaliye aapko stage pe  bulaya hai. Program suru ho chuka he. 
   Jaise - taise Surbhi stage par pahunchi. Stage par aate hi Alok Surbhi ko dekh kar chok gaya. Lekin alok ne kuchh nahi bola.  Gaana suru huva aur Surbhi ne dance suru kiya . Jab Surbhi dance kar rahi thi tab log Taaliya baja rahe the. Dance karte hue Surbhi ko alok ki vo baat yaad aagayi . , Tumhari ye kamyabi Sansar ki aakhri kamyabi nahi he tu mujhe kya nachayegi ak din tu mere samne mere kadmo ke niche nachegi, ye sochte hue Surbhi ko chakkar aane laga aur vo dance karti huvi alok ke pairon me gir gayi. Alok ne khade hokar Surbhi ko sambhala.  sambhalte hue kaha - Aakhir gir gayi na tum . Isake bad Alok ne kuchh nahi kaha . Aur surbhi ka manager use lekar bahar chala gaya. 
   Karyakram khatm hone ke baad bhumi ne alok se kaha- chalo bhayia ab hum apne Gaav chalte hai. Lekin usse pehle aap mujhe ye batao ki bhabhi kaha hai. 
   Alok -. Chalo hum Gaav chale he vahi tumhe tumhari bhabhi Bhi mil jayegi. 
   Dono gaadi me baith kar Gaav ke liye rawana Ho jate hai. Unke saath kai log bhi rawana huve. Alok jaise hi bhari bheed ke sath gaav me aaya to Kuchh logo ne iski suchna Thakur Jaydev ko di aur Thakur Jaydev apne Mahal ke dwar par alok ke Swagat ke liye khade ho gaye kyonki unko laga ki mera beta alok apne ghar aaraha hai. Lekin Jab alok apni haweli ke samne se gujra tab usne haweli ki taraf dekha Tak nahi. Kyonki uski nazar apne us tute fute ghar par tiki hui thi jo kabhi bhayankar aandhi aur barsat ke karan foot kar gir gaya tha. Ab vo ak purane khandhar ki tarah lagata tha. Aur alok gaadi ko lekar sidha pujari baba ke ghar pahunch gaya. Vaha jaate hi alok ne sabhi logo ko apne apne ghar bhej diya. Uske baad dono bhai bahan pujari baba ke ghar ke andar jaate hai vahan jakar Bhumi apni bhabhi ko dekhkar bahut khush hoti hai.dono gale milkar rone lage. Bhumi ne apani bhabhi se kaha  - bhabhi aap yahi thi to mujhse kabhi mili kyo nahi. Aapko aur Alok bhayia ko dekhne ke liye meri jaan nikli jaa rahi thi. Aur bhayia aap kaha the itne din . Aur baccha kaha hai. Tab alok ne dabi hui awaj me kaha - Jis din tumhari shaadi thi us raat hospital me tumhari bhabhi ne ak bachchhi  ko janm diya tha lekin vo kuchh der baad hi gujar gayi. Hum vapas ghar aaye to us Bhayankar aandhi barsaat me Hamara ghar foot kar beh gaya. Rehne ki koi jagah nahi thi to me Anuradha ko yaha choor kar ak gaav me ajivika kamane chala gaya . Us gaav ke mukhiya ji aur kaaji Sahab dono mujhe bahut pyar karte hai. Tum dekhna vo dono mujhse milne yaha jaroor aayenge. 
   Alok ki ye dukh bhari dastan sunkar Bhumi Bahut Dukhi huvi. Sab log baithe hue the ki Alok ke pita ka ak Aadmi Aaya Aur Bola- Alok Bhaiya Aapko Aapke Pitaji ne Bulaya hai. Alok ne jawab diya- Aap pita ji se kehna Hum kal Subah Aayenge. 
Dusre din subah hote hi alok apne pita ke paas jaane ki tayari kar rahe the ki us Gaav se mukhiya ji Aur kaaji Sahab dono gaav ke kuch logo ke saath vaha aagaye. Alok ne sab logo ka aadar- satkaar kiya. Un sabne bhi alok ko badhai di. 
   Ab alok sabko saath lekar apne pita ke paas haweli jata hai. Haweli ke mukhye Dwar par pahunchte hi Suurpur Gaav ke logo ne alok ka Bhavya swagat kiya aur Rajsi samman ke saath Thakur Jaydev ke Kaksh me le gaye. Vaha alok ke Baithne ke liye ak Uncha Aasan Laga huva tha . Lekin Alok Niche hi baith gaya sab log dekhte hi rah gaye Kyonki pahle jab Alok Apne pita se milne jata tha tab vo use Niche hi baithaya karte the. Thakur Jaydev ne Alok ko upar baithe ke liye kaha lekin Alok ne kaha - Is Haweli me meri jagah to yahi hai. Nahi beta Ab tumhari jagah mere Sthan par hai. Thakur Jaydev ne Alok ko Anek Yatnao ke bavajud Saksham hone par Sabbashi di. Pita ke Aadesh par Ab Alok Apni patni ke sath Haweli me rahne laga. Alok ne Apne gaav ke vikas ke liye kai kadam uthaye. Ab sab log Hil mil kar Khush haal rahne lage. 
                       THE  END

Hari Singh की अन्य किताबें

1
रचनाएँ
Alok A Religion Flag Of India
0.0
Alok a Religion Flag of India yeh story alok naam ke ak sautele bete par Aadharit hai. Jo bachpan se apne pita aur Sauteli maa ke Durvyavahar aur Atyachar se pidit rehta hai. Alok ki ak Bhumi Naam ki Sauteli Behan Bhi thi jise alok apni jaan se bhi jyada pyar karta hai. Alok par choro ka ilzaam bhi lagta hai jiske karan use Jail bhi jana pada. Aur court me apna Case haar jane ke baad alok ne apne ak teacher ka case lada jiski vajah se badmaso ne teacher par Goli chalai aur Alok ne Goli apne haath par Jheil li aur Alok ka ak haath hamesha ke liye kharab ho gaya. Alok ke is balidan ke Parinam swarup teacher ne alok ko Vishwa Vijayi hone ka Aashirvad diya. Aur Ak sautela Bachcha Har prakar ki suvidha ke baad bhi kaise Vishwa Vijayi bana. Ye dekhne ke liye puri book padhen.

किताब पढ़िए