Sharad ritu chali gyi, ye kaisi ritu aayi h
Pani me bheegne ko man le angdai h
Ambua ki daaliyon pr bharkar aaya h bor
Peeche wali galiyon me bole papiha aur mor
Din dhalte hi dhol aur manjhiro ka shor
Pug dug bhule mere man pr raha na koi zor
Nashe ki koi cheez Hawa me milai h
Nath kahin bhuli, kahin odhni bhulayi h
Sharad ritu chali gyi.........
Kheton me sarson phooli, karke solah sringar
Jaise koi bhanvra aane wala h iske dwar
Usi ki preet me hui ye peet h
Meri to chal bahki ye to puri bahkai h
Lagta h iski bhi mere sang bidai h
Sharad ritu chali gyi ......
Mann mera dol raha inhi tarangon me
Bhar nhi jaye jaye kahin inhi umangon me
Kaisi bechaini chhai ye mere angon me
Kahan rakh paungi jo barsega rangon me
Khile phoolon ne jo ye khushboo failai h
Iss khushboo se mujhe madhoshi chhai h
Sharad ritu chali gyi........
Mast hui h mere sang ki saheliyan
Baat baat pr mujhse karti h thitholiyan
Raste me chalti h baandhkar toliyan
Chaal lagti h unki pani ki athkheliyan
Puchhti h mujhse kab teri bidai h
Yahi baat maine kai baar batlai h
Sharad ritu chali gyi.........