shabd-logo

UNEVEN SKIN TONE YANI PIGMENTATION SE HAI PARESHAN ?

28 दिसम्बर 2020

438 बार देखा गया 438
featured image

khoobsurat , bedaag aur saman rangat wali skin ki khwahish har kisi ko hoti hai. par bahot kam logo ki ye khwahish puri ho pati hai. uneven skin tone Ya pigmentation ki problem bahot normal hai. aiye jante hai iske kuch aasan se tips –

har koi chahta hai ,khoobsurat, mulayam , chamakdaar aur ek jaisi skin tone . par aisa ho nhi pata. uneven skin tone se har koi pareshan rahta hai. aap sochte honge ye pareshani akhir hoti kyu hai? asal me kai choti choti cheze lambe antral me is pareshani ka reasion banti hai. suraj ki UV rays daag dhabbe ya phir skin ki aur pareshaniya jaise acne ,ye sab skin ko uneven kar deti hai. is pareshani ko door karne ke lie aap beauty product k alawa kuch gharelu nuskhe bhi try kar sakti hai .ye asar toh dheere dheere karti hai lekin iska koi side effect nhi hota .toh aiye jante hai kuch home remedies –

Doodh ko Banae apna dost doodh ko natural bleaching agent maana jata hai. skin se daag dhabbo ko door karne aur skin ko mulayam banane me ye mahir hai. milk k regular use se aap skin ke daag dhabbo se asani se chutkara pa sakte hai. doodh tanning ko hata ta hai. aur skin ko glow karne me help karta hai.


article-image


Dahi se milegi chamak – skin me nikhar laane ke lie dahi sabse behtar gharelu nuskha hai. ye skin me shine lata hai aur skin ki dead cells ko hata hai.jaise jaise skin ki dead cells hat ti hai skin tone normal hone lagti hai.

Aloevera se milegi zaruri nami skin ki zyadatar pareshaniyo ka hal aloevera me chupa hua hai. ye apki skin ko zaruri nami dekar skin ki tone ko ek jaisa karne me madad karta hai. aap chahe toh aloevera wali cream ko bhi regular use kar sakte hai. ya sabse achhe result ke lie aloevera jel se roz apne chehre ki massage bhi kar sakte hai.ज़्यादा टिप्स के लिए विजिट करे - हेल्थ एंड ब्यूटी ब्लॉग

हेल्थ एंड ब्यूटी की अन्य किताबें

1

UNEVEN SKIN TONE YANI PIGMENTATION SE HAI PARESHAN ?

28 दिसम्बर 2020
0
0
0

khoobsurat , bedaag aur saman rangat wali skin ki khwahish har kisi ko hoti hai. par bahot kam logo ki ye khwahish puri ho pati hai. uneven skin tone Ya pigmentation ki problem bahot normal hai. aiye jante hai iske kuch aasan se tips – har koi chahta hai ,khoobsurat, mulayam , chamakdaar aur ek jai

2

PCOS Kya hai ? What is PCOS?

29 दिसम्बर 2020
0
0
0

Kya apko achanak motaape, chehre par baal ya pimples aur acne hone ya phir hair fall ki shikayat ho rahi hai? ise halke me na le , ye PCOS ya PCOD yani polycystic ovary syndrome naam ki bimari ho sakti hai.polycystic ovary syndrome yani PCOS Females ki ovary se judi e

3

कीटो डाइट

30 दिसम्बर 2020
0
0
0

Keto diet kya weight loss karne ka sahi tareeka hai ? Dietician mante hai ki isme kai khamiya hai. shuruwat me hi dietician ki salah lena behad zaruri hai .weight kam karne ke lie aksar log koshishe karte hai aur uske lie alag alag diet plan banate hai. aajkal ketogen

4

एयर पोल्युशन में एक्सरसाइज

10 फरवरी 2021
0
0
0

सुबह – शाम सैर करने आप ये सोच कर घर से बाहर निकलते होंगे की नेचर की शुद्ध हवा में आपकी सेहत अच्छी होगी. लेकिन अगर बाहर की हवा ही प्रदूषित हो तोह आप क्या करेंगे ?आसमान में निकलता हुआ सुबह का सूरज और सर्दियों की हलकी धूप की किरणे , हमें व

---

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए