shabd-logo

Sukoon ki Talash Main Bhatakta Musafir

27 फरवरी 2022

17 बार देखा गया 17

Zindagi bhi kitni ajeeb he kabhi kabhi ensan sukoon ki talash me bhatakta he lekin use khi bhi sukoon nhi milta.  Life me kabhi kabhi ensan khud ko etna akela mahsus krta he ki hume us waqt esa lgta he khi door chle bhut door etni door Ki kabhi waps lot kar nhi aa ske.  Kyunki sayd us waqt humare pas wo sakhas hi nhi hota jo hume samjh ske.  Har koi chahta ki humari life me ek esa ensan jarur hona chahiye jo humari khamoshi ko samjh ske jise kuch nhi btane pr bhi humare dard ko samjh jaye.  Ensan kabhi kabhi khud se etna majboor Ho jata he ki jo wah krna chahta he wo nhi kr skta kabhi apno se majboor hota he to kabhi apne halato se.  Es duniya ki bhid me bhi kabhi ensan khud ko akela feel krta he kyunki jiski hume jarurt hoti he wo humare pas nhi hota.  Zindagi me bura waqt bhi bhut kuch sikha Ke jata he bure waqt me hi hume pta chla he ki jise Hum apna samjhte he wo humara hain ya sirf apna hone ka dikhawa krta he.  Ensan ne kisi bhi situation me haar nhi manani chahiye kyunki ye waqt he gujar jata he lekin hume bhut kuch sikha Ke jata he.  Humesha khud ko hi samjhne ki koshis krna chahiye ki Kya krna chahiye Hume humari khusi kya he Hume Kya krna chahiye life Ke har pal ko Khushi se jina chahiye kyunki jo humare paas hota he es duniya me bhut se ese log he jo humare jesi zindagi jeene ki khwahis krte he.  Ye waqt he chla jayega bure waqt se sikhna sikho life me humesha khud ko strong bnao.  Zindagi ek baar milti he use Khushi se enjoy krna sikho. 

Siya rajput की अन्य किताबें

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए