May 7th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Android Phone me Screen Record Karne Ke liye Best Screen Recording Apps
Hello Dosto, Aap sabhi ka BloggingGyan par swagat hain. Aaj main aapko Android mobile me screen recording kaise karte hain vah bataunga. Android mobile me screen record karne ke liye best free screen recorder app konse hain uske bare me janenge.
Aap sabhi ko pata he ki aaj technology kitni aage badh chuki hain. Android smartphone to ab normal ho chuke hain. Sabhi ke pass android smarphone hote hain.
Technology ke vikas ke badolat aak ham mostly work mobiles me kar sakte hain. Hame PC ya laptop par work karne ki jarurat nahi.
Mobiles me ham chaahe photo editing karni ho ya phir video editing, sabhi work easily ho jate hain. Aap Google play store par editing software find karoge to aapko bahot sare apps milenge.
Thik vese hi aap android mobile me screen ko record kar sakte ho. Market me bahot sare screen recorder apps available he lekin unme se best screen recorder konsa hai vah find karna mushkel hai.
Ab android phones ek computer ki tarah kam karte hain. Hame little work karne ke liye ab laptop ko use karne ki jarurat nahi. Ab vahi kam ham phone me easily kar sakte hain.
Aapne dekha hoga ki many YouTubers video banane ke liye PC ya mobile me screen record karte hain. Aap bhi same vaise video banana chahte hai to aapko sikhna hoga ki How to record a screen in Android.
Ham android mobile me game khelte hain to kabhi kabhi dosto ko dikhane ke liye hame screen record karni padti hain. Us time par hame pata hona chahiye ki best screen recorder apps konsa hai aur ham screen record kaise kar sakte hain.
Android Mobile me Screen Record Karne Ke Liye Best App
Google play store me screen record karne ke liye bahot sare apps available hain. Yaha par mene best recorder apps pasand kiye hain jo root and non-rooted mobile me work kar sakte hain.
Normally screen recorder app use karne ke liye aapka mobile root hona jaruri hain. Lekin kuch cases me aesa nahi hain. Yah mobile ke version par depend karta hain. Agar ek app ek mobile me work kar raha he, to same vahi dusare mobile me work na bhi kare.
Android Phone me Instagram Post Par Comments Disable Kaise Kare
Android Phone me VidMate App Download and Install Kaise Kare
Maine notice kiya hai ki agar aapka mobile latest version me updated hai to kuch apps me mobile ko root karne ki jarurat nahi hai. Aapka mobile always latest android version ke sath updated rakhe.
List of Best Screen Recording Apps for Android
Jese ki maine bataya Google play store par bahot sari recorder apps available hain. Yaha par batayi gayi apps aap play store se download kar sakte ho. Sabhi screen recorder apps ko free download kar sakte hai. Agar aapko screen record ki best quality chahiye to aap app ko purchase kar sakte ho.
Android mobile ki screen record karne ke liye AZ screen recorder best app hain. Yah aap specially lollipop and updated version ke liye design kiya gaya hain. Jo smoothly work karta hain.
Is aap me video quality maintain karne ke liye 3 options milte hai jiska use karke aap low size me bhi high quality videos record kar sakte hain.
Yah app bilkul free hai and is app ko mobile me install karne ke liye mobile ko root karne ke jarurat nahi he. Aap without root kiye bhi screen recorder app ko use kar sakte ho.
2. SCR Screen Recorder
SCR screen recorder android mobile me screen record ke liye best app hai. Yah app se aap phone ki screen ko 3 minute tak record kar sakte ho. Without root kiye aap 3 minute tak ka screen record kar sakte hain. Agar aapka mobile root kiya hua hai to aap unlimited screen record kar sakte ho.
Jab aap SCR screen record app open karonge to aapko jyada buttons nahi dikhenge. Ekdam simple interface show hoga. App home screen par only 3 buttons provide karta hain. One is recording, second is app settings and third one is exit the app.
Small videos record karne ke liye yah best free screen recorder app hain. Yah app aap Google play store se free me download kar sakte hain.
Android phone ke liye AirShou one of the popular and best screen recorder app hai. Yah app Lollipop, Marshmallow and Nougat version devices me without root kiye bina use kar sakte hai. Other android versions me aapko root permission enable karni padegi. Ish app se aap single click me recording start and stop kar sakte hai. Google play store se aap free me AirShou screen recorder app download kar sakte hai.
Android Phone me Whatsapp Call Record Kaise Kare
Android Mobile me Downloading Speed Kaise Badaye
Android mobile me screen recording ke liye one shot screen recorder best app hai. Jese aap name se hi jan sakte hai one single click me aap screen record kar sakte ho. Yah premium screen record app hain, lekin screen recording ke liye free trail version bhi available hain. Par free version me aapke videos me watermark show hoga. Premium version me aapko koi sign in karne ki jarurat nahi ya isme koi watermark bhi show nahi hoga. Google play store se aap free me app download kar sakte ho.
Phone ki screen ko easily record karne ke liye Unlimited screen recorder best app hai. Yah app ki best bat yah he ki aap video ke sath sath audio bhi capture kar sakte hai. Yah app ko mobile me install karne ke liye phone ko root karna hota hain. Without root yah app work nahi karega.
Best Media Player for Android
Best Free Calling Apps for Android
Final Work on Best Screen Recording Apps
Android mobile me screen record karne ke liye aap konsa app use karte hai. Mere hisab se yah android mobile ke liye best free screen recorder app hain. Yah app aap with root and without root bhi use kar sakte hain.
Agar aapko video recording ka craze hai to yah screen record karne ke liye top apps hain.
Aap hame comment ke jariye bataye ki aap konsa screen recording apps use karte ho. Yaha par mention kiye gaye apps ke bare me aapki kya ray hai yah bhi hame comment ke jariye bataye.
Yah article pasand aaya hai to aap ise social media Facebook, Twitter and Google plus par share kar sakte hain. Apne friends ke sath bhi yah article ko whatsapp ke jariye share kare.
More updates ke liye BloggingGyan ko subscribe kare.