March 16th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Best Media Player for Android
India me android users bahot hai. Aap jab bhi Google Play store par media player search karte hai tab bahot lambi list aati hai. Aur aap confuse ho jate hai ki sabhi mese best video player konsa hoga. Yaha par main aapke sath best media player for android phones ki list share kar raha hu. Aap iss article ko padhe aur aapke pasandita media player ko android phone me install kare.
Ab aap sab video small screen me enjoy kar sakte hai. In sab apps ko best thing yah hai ki aap kisi bhi format ka video play kar sakte hai. Sabhi apps all type of format support karte hai. Even ki sabhi apps free and sabhi platform par use kar sakte hai.
Aap apps me aap multimedia file as well network streaming bhi kar sakte hai. Sabhi video player ki kuch visheshtaye/feature hai. Jese ki Dual audio supported, AC3 supported etc. Kya aapko janna hai ki android ke liye best video player konse hai to main yaha par best media player apps for android phone ki full information de raha hu.
Agar aapko MKV, 3gp, mp4, WMV, HD video play karne hai to aapko is list me aapka video player mil jayega.
Must Read:- Best Free Video Calling App for Android
Aur main thing yah ki aap inme dual audio run kar sakte hai. Jese ki Hollywood movies dual audio me aati hai. To aap audio change karke apne pasandita language me movie dekh sakte hai.
1. VLC Media Player
VLC media player android mobile ke liye one of the best video player hai. Agar aapko yah aap chahiye to simply aap Google play store se download kar sakte hai, kyoki yah free app hai. VLC media player me very useful features hai jo video ki quality ko improve karte hai. Is aap se aap both audio and video play kar sakte hai. Yah player sabhi types ke video format aur subtitle ko support karta hai.
Features of VLC Media Player:
- Multi-track audio and subtitle support karta hai.
- Live stream se aap koi bhi video cut kar sakte hai.
- Koi bhi audio and video file play kar sakta hai.
- Audio and video file ke liye media library hai.
- Easy to use hai
- Many advanced options available hai.
2. BS Player
BS Player android ke liye most famous media player hai. Agar aapko yah player apne andoid mobile me use karna hai to aap ise Google play store se download kar sakte hai. Bilkul free player hai. Iske liye aapko koi money dene ki jarurat nahi. Other app ki tarah is app me bhi different features hai. Yah aap bhi both audio and video file support karta hai. Smartphone ke liye yah media player very easy to use hai.
Features of BS Player:
- Use karne ke liye completely free hai.
- Android 6.0 full version ko bhi support karta hai.
- Aap subtitles automatically find kar sakte hai.
- Aap playback speed improve kar sakte hai.
- Low size app hone ke karan battery consumption kam karta hai aur speed increase karta hai.
3. QQ Player
Android mobiles ke liye QQ player one of the best player hai. Yah player all types of famous video format support karta hai. Isme MOV, MKV, MP4, FLV, AVI and 3GP include hai. Yah app bhi completely free hai aur aap ise Google play store se easily download kar sakte hai.
Features of QQ Player:
- Update the playback core with better stability
- Frrely available hai.
- Display all dumb-nails file
- Multi soundtracks and subtitles switch
4. MX Player
Agar aap top best media player search kar rahe hai to aap MX player ko nahi bhul sakte. MX player most downloaded Smartphone player hai. Ya app free as well pro app hai. Agar aapko more features chahiye to app iske Pro version me bhi ja sakte hai. Maine bahot se friends ke mobile me MX player dekha hai. Sabhi users HD videos dekhne ke liye yah player ka use karte hai.
Features of MX Player:
- Video ko backward forward kar sakte hai.
- Dual audio support karta hai.
- Online media play kar sakte hai.
- Subtitle format support karta hai.
Download MX Player for Android Free
5. Mobo Video Player
Online movie watch karne ke liye mobo player one of the best player hai. Yah player all video support karta hai. Agar aap multi audio player find kar rahe hai to aap yah player install kar sakte hai.
Features of Mobo Player:
- Support all video format
- Support popular subtitles like SRT, ASS and SAA
- Multi-audio streams and multi-subtitles
- Videos stream through HTTP, RTSP protocol
- Thumbnail display of videos
Bonus Media Player for Android Smartphone
6. G Player
Best video player ki category me G player bhi shamil hai. Google play store se yah player ko 1 million se adhik bar download kiya gaya hai.
Features of G Player:
- Online internet par koi bhi video aap dekh sakte hai.
- All video format support karta hai.
That’s It
Yah thi hamari android smartphone ke liye best media player list. Aap apne mobile ke according koi bhi app install kar sakte hai. Google Play store par bahot sare video player available hai lekin unme se sahi player choose karna bahot difficult task hai.
Yah article pad kar aap easily list me se choose karke koi bhi media player install kar sakte hai. Jo aapko high quality video playback provide karti hai.
Aap android phone ke liye konsa Video player use karte hai hame comment section me bataye.
Kya aapko yah post pasand aai? Ha to facebook, twitter and Google plus par apne friends ke sath share karna na bhule.