Android and iPhone me whatsapp dp / profile picture crop kiye bina kaise set kare
Dosto, Aaj me aapke sath share karne ja raha hu whatsapp dp/profile picture crop kiye bina kaise set kare. Jabki mene meri pichli post me bataya tha whatsapp group invite link kaise create kare. I hope aapne vah post read ki hogi aur whatsapp group invitation link create ki hogi.
Aaj ke internet ke jamane me sabke mobile me whatsapp messenger to hota hi hai. Whatsapp most common and best android application me se ek hai.
Meri tarah bahot logo ko yah problem face ki hogi. Jab bhi main whatsapp profile picture change karne jata hu to whatsapp mujhe crop karne ko kaheta hai. Aur sometimes isi vajah se main mere favorite picture whatsapp profile me nahi rakh pata. Kyoki image ka main part crop ho jata hai.
I think yah problem aapke sath bhi hoti hogi. Aap friends ko dikhane ke liye whatsapp profile set karte ho lekin main hissa hi cut ho jata hai.
Related:- Whatsapp Competitor Google Allo Ki Puri Jankari Hindi Me
Main iske bare me Google par search kiya. Bahut sari link aayi jisame se kuch fake links bhi thi. Lekin unme ek solution find kiya aur whatsapp me profile picture without crop kiya bina set kiya. Aur yah whatsapp trick iPhone and Android phones dono me work karti hai.
Similar hame other social sites like facebook, Google +, Instagram par profile picture crop karna padta hai. Main yaha par aapko android tips and whatsapp tricks bata raha hu jisko follow karke aap easily full size profile picture set kar sakte hai.
Whatsapp full size profile picture set karne ke liye hame third party application download karke install karni padegi. Below steps ko follow kare aur enjoy full size profile picture in whatsapp.
Step 1# Sabse pahle below links se third party application ko download kare.
For Android: – Android ke liye SquareDroidapp hai. SquareDroid free no crop photo editor hai. Jo ki full size photo upload karne me help karta hai. Jese uncropped photos for Instagram and Whatsapp profile picture without cropping.
SquareDroid Features:
- SquareDroid app install karne ke liye only 3 MB se bhi kam ki storage chahiye.
- Blur border background choose kar sakte hai.
- Easy color pic karke border colorful kar sakte hai.
- High photo resolution
- Pick a photo from any app
For iPhone:- Iphone ke liye Squaregram – Layouter for Instagram app recommend karunga. Is app ka latest version 2.0.3 aur size 22.4 MB hai.
Step 2# Application ko install kare. After successful install, app ko launch kare.
Must Read:- Whatsapp Me Two Step Verification Enable Kaise Kare
Step 3# App open karne ke bad aapke samne kuch option aayenge. Unme se ek Pick a Photo select kariye.
Step 4# Jis image ko whatsapp profile me set karna hai use browse kariye.
Step 5# Now image ko properly whatsapp pic ke hisab se scale kariye. Vese to jese hi aap photo upload karenge automatically image resize ho jayegi. Aapko sirf boarders ko set karna hai, jisase image properly fit ho jaye.
Must Read:- PC Par Whatsapp Kaise Chalaye Vo Bhi Bina Kisi Software Ke
Step 6# Ab top right corner par save button ko click karke image ko save karle.
Step 7# Done, aapki image full size me ready hai. Aap gallery me jakar image ko dekh sakte hai. Ab aap whatsapp picture me yah image use kar sakte hai.
I hope aapko hamari yah whatsapp trick pasand aayi hai. Aap bhi steps ko follow karke whatsapp dp without crop kiye create kar sakte hai. Aur apne android and iPhone devices ko new look de sakte hai.