March 15th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Best free and premium wordpress backup plugin for 2017
Aapka blog wordpress me hai? Kya aapki wordpress website secure hai? Kya aap regularly website backup karte hai? I think nahi.
Jese ham computer, mobile me backup lete hai, thik vese hi website ka bhi backup lena jaruri hai.
Backup kisi bhi cheej ka essential part hai aur aapko regular basis par backup lena chahiye. Kyoki wordpress backup aapko safe aur hackers se risk free rakhta hai.
Ab aap sochonge ki backup lene se kya hoga. Yaha par mene ek bat to bata di ki suppose hacker ne aapki website hack bhi kar li to aap ke pas backup hai jisase aap vapis restore kar sakte hai.
Lekin suppose wordpress hosting me problem aa gaya to us condition me aap kya karonge. Tabhi aapke pass backup na hone se aap kuch bhi nahi kar sakte. Us time par aapko backup ki yad aayegi. Agar aapne backup liya to well and good. Lekin agar nahi to aapko vapis se site build karni padegi.
Must Read :- Top 10 Best Free WordPress Plugin For Bloggers
WordPress me lots of backup plugins available hai. Yaha par mene kuch well known and some best free & paid wordpress backup plugin choose kiye hai. Most of them use karne me very easy hai.
Agar aapke pass budget hai to aap premium wordpress plugins me ja sakte hai. Lekin agar aap student hai to obviously aapke pass budget nahi hoga, tab aap free plugin use kar sakte hai.
Best Free WordPress Backup Plugin for Protecting Your WordPress Blog
Wordpress blog ke backup ke liye hame mainly 2 cheejo ka backup lena jaruri hai.
- WP-content folder
- Database files
Yaha par bataye gaye sare plugins wordpress blog ka full backup karte hai, take a look below.
1# UpdraftPlus Backup and Restoration for WordPress
UpdraftPlus plugin very popular and high ranking backup plugin hai. Yah plugin aapko wordpress website ka full backup offer karta hai. Is plugin se aap backup manually or aap schedule par bhi le sakte hai.
UpdraftPlus wordpress plugin free and premium aese dono version me available hai. Aap jante hi hai ki agar premium version he to usme kuch extra features honge. Lekin isme free version bhi kuch kam nahi. J Agar aap paid version afford nahi kar sakte to aap free plugin download kar sakte hai.
Plugin ke free version me aap Google drive and Dropbox me apne blog ka backup le sakte hai. Jab ki premium version me Amazon S3, Rackspace Cloud Files, Google cloud storage or aap computer me location choose karke backup save kar sakte hai.
Agar aap plugin ko like karte hai aur better feature chahte hai to aap premium version me upgrade kar sakte hai.
Some of the features:
- Files and database backups ka separate schedule set kar sakte hai.
- Backup full wordpress site
- Large blogs can be split into multiple archives
- Backup ke liye file select kar sakte hai jese plugins, themes, content and other)
- Single click restore
2# VaultPress
VaultPress plugin ko Automattic team ne develop kiya hai jo wordpress ko bhi manage karti hai. VaultPress inka premium product hai aur backup requirement ke liye perfect solution hai.
Backup lene ke liye yah plugin sabse best and trusted premium plugin hai.
Some of the Features:
- For automatic backup
- Real time backup available
- Easy set up
- Download backup to PC
- Single click restore
3# BackUpWordpress
Popular wordpress backup plugin me Backupwordpress ka bhi name aata hai. Yah plugin se bhi aap automatic backup kar sakti hai.
Agar aapko files and database ka different schedule create karna hai to aap is plugin se easily kar sakte hai.
Yah plugin easy to use and user friendly hai.
Agar aapko Dropbox, Google Drive, FTP me backup store karna chahte hai to aapko premium extension purchase karna padega.
Some of the Features:
- Backup se files and folders exclude kar sakte hai
- Uses zip and mysqldump for faster backups
4# BackupBuddy
Backupbuddy wordpress plugin ko iThemes ne develop kiya hai. Backupbuddy most popular premium wordpress plugin hai. Agar aapko daily, weekly or monthly backup lena hai to yah premium plugin useful ho sakta hai.
Most of the bloggers Backupbuddy wordpress plugin ka use karte hai.
Some of the features:
- Downlaod backup ZIP files
- Database scan and repair
- WordPress migration
- Full site automatic backup
- Easy to setup and configure
- Set automatic schedule backup (daily, weekly & monthly)
5# BackWPup
Agar aap wordpress me naye ho aur aapko backup ke liye better solution nahi mil raha hai to BackWPup best plugin hai. Yah plugin free plugin hai jo enough features and functionality provide karta hai. Yah plugin almost sabhi wordpress site file ka backup create karta hai aur use FTP, directory, Dropbox, S3, SugarSync, Google Drive, Microsoft Azure me save karta hai.
Features:
- Daily or weekly automatic backup create kar sakta hai.
- Complete site backup
- WordPress XML Export
- Step by Step restoration tool provide karta hai
- Includes a database optimization, scanning and repair tool
- Choose to store backup file in .zip, .tar, tar.gz, tar.bz2 format
Aap Apne WordPress Site ka Backup Kaise Karte Hai
Sabhi wordpress plugin ke apne benefits and nuksan hai. Premium plugin me VaultPress and BackupBuddy useful plugins hai.
Agar aap free plugin me jana chahte hai to aap UpdraftPlus Free Plugin ka istemal kar sakte hai.
I hope ke aapkowordpress blog ka backup ke liye above diye gaye wordpress backup plugin useful rahenge.
Aapka favorite backup plugin konsa hai? Kya aap above diye gaye list mese plugin use karte ho ya phir koi aur. Hame comment ke jariye jarur bataye.