May 4th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Cool Instagram post par comments disable kaise kare
Instagram is fast growing social media app hain. Ab sabhi log Instagram use karne lage hain. Kya aapko pata hain ek din me Instagram par kitne photos, videos or GIF upload hote hain?
I think user ke hisab se over 100 million ke upar Instagram par photos and videos upload hote honge. Matlab ki jitne more posts utne more comments. Aur ham sab jante hain aaj kal kisi bhi social media par koi post par comments kaise aate hain.
Yah sab dekhake, Instagram ne apne android and iOS app me new feature available kita hain. Jaha par aap aapke kisi bhi funny Instagram post par comments disable kar sakte hai. Yah ham is tutorial me janenge.
Jab ham kisi post par comments disable karte hain tab koi bhi us post par comment nahi kar sakta. Aur yah feature ab Instagram app me bhi available hai.
Users Instagram par apni post par likes badane ke liye koi bhi photos and videos upload karte hain. Tab unke posts par like to badte hi he lekin like ke sath sath comments bhi bahot aate hain. Some post ke related hote he to koi abusive comments hote hain.
Normally users Instagram ka use photos and videos share karne ke liye karte hain. Instagram users captions and selfie quotes upload karte hain aur aesi post par bahot comments aate hain, jo ki some abusive, offensive, trolling hote hain. Yah sab comments ham Instagram par turn off kar sakte hain.
Instagram par ham comments two tariko se disable kar sakte hain. 1) Jab ham post Instagram par share kar rahe hote hain tab. 2) Old Instagram shared post par. Ek bar comments disable hone ke matlab yah nahi he ki aap use enable nahi kar sakte. Aap usi post par comments ko vapis enable kar sakte hain.
Whatsapp Group Invite Link | Whatsapp profile picture / Dp without Crop |Whatsapp Two Step Verification