March 7th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Agar aapko debit card chahiye to ab aap ghar bethe bethe bina branch gaye SBI ATM debit card online apply kar sakte hai.
Ghar bethe bethe ka matlab aapko SBI branch me bhi jane ki jarurat nahi. Bas aapko thoda internet ka knowledge ho to aapka yah work aasani se ghar bethe ho jayega.
Aaj ke digital India ke yug me aap bahot sari cheeje online kar sakte hai. Aur isme banking sector jabse online hua hai tab se bank work kafi simple ho gaya hai.
Pahle kya hota tha ki agar aapko new ATM card chahiye to aapko bank branch me jana padta tha. Requirement ke hisab se form ya application bank me submit karni padthi thi. Lekin ab aapko aesa kuch bhi karne ki jarurat nahi. Internet par kuch click karke aap easily online ATM card ki request submit kar sakte hai. Is article me main aapko bataunga ki SBI ATM debit card online apply kaise karte hai.
Aajke technology ke jamane me sabhi banks apne customers ko online facility provide karne ki koshish kar rahi hai. Usme State bank of India bhi shamil hai. SBI apne customers ko khush karne ke liye lagbhag sabhi products online provide karti hai.
SBI ATM Debit Card Online Apply Kaise Kare
Friends agar aapko is suvidha ka labh ghar bethe karna hai to aapko aapke bank ki netbanking ki suvidha enable honi chahiye. Agar nahi hai to aap pahle yah suvidha activate karva liiye. Below diye gaye steps ko follow karke aap aasani se debit card online apply kar sakte hai.
Step 1 – Sabse pahle aap onlinesbi.com par jakar Personal banking me login kar le.
Step 2– Personal banking me login karne ke bad –
- Niche diye gaye image ke anusar main menu se e-services par click kare.
- Ab left side me bahot sare options honge. Un mese aapko ATM card services par click karna hai.
- ATM card services se Request ATM/Debit card par click kare.
Next screen me aapko account validate karna hai. Account validate aap “OTP” ya “Profile Password” ke jariye kar sakte hai. Agar aapne OTP option select kiya to aap OTP code aapke register mobile number par aayega.
Step 3 – Next screen me aapko aapki personal detail enter karni hai. Niche diye gaye steps ko follow kare.
- Account number enter kare.
- Name on the card field me aapka name enter kare. Yah name aapke ATM/ debit card par print hoke aayega.
- Select type of the card me card type select kare. Matlab aap Visa, Rupay ya MasterCard konsa card chahte hai.
- Ek bar jankari verify karke I accept the Terms and condition par tick karke Submit button par click kare.
Ab next screen me aapko vapis se ek bar jankari verify karni hai. Agar koi mistake hai to aap change kar sakte hai. Agar nahi to aap verify karke Submit button par click kar de.
Aapne simple steps follow karke SBI ATM debit card online apply kar diya hai. Apply karne ke bad location ke anusar ATM card 15 – 20 dino me aapke ghar aa jayega. ATM card ghar par aane ke bad bas use activate karna hai. Vo bhi aap online kar sakte hai. Lekin card activate karne me koi dikkat aa rahi ho to aap bank branch me jake hi card activate kare.
ATM Debit Card Online Activate Kaise Kare
ATM debit card online activate karne ke liye:
- Personal banking account me login karke e-services par click kare.
- Left side se ATM Card Services par click kare.
- New Card Activation par click kare.
Next screen me aapko Account number select karna hai. Account number select karke “ATM card number” enter kare. Aur uske bad Activate button par click kar de. Aapka card activate ho chukka hai.
Aap upar bataye simple steps ko follow karke aasani se SBI ATM debit card online Apply and Activate kar sakte hai. Mujhe aasha he ki aapko yah jankari helpful rahi hogi. Agar ha to social media sites par apne friends ke sath share karna na bhule. Latest new post ke liye BloggingGyan.com par visit karna na bhule.