March 27th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Hello Friends, Mostly people android Smartphone use karte hain. As a video player MX player sabka favorite Video/Audio Player hain. Jab aap MX player me MKV dual audio movie play karte hain to kya aapko AC3 audio format not supported ki error aati hain?
Aap Google par search karenge ki best video player for android to Google bhi MX player ka name suggest karega. Lekin kai bar kisi issue ki vajah se player me error aati raheti hain.
Official MX player ne kuch licensing issue ki vajah se some codecs ko remove kar diya hain. Matlab aap sirf video dekh sakenge lekin audio play nahi hoga. Aapne socha hoga ki chalo aaj main favorite movie download karke dekhta hu. Lekin jab aap movie video play karte ho tab error aa jati hai “This Audio format (AC3) not Supported”. Aur aap disappointed ho jate hain.
Aese me aap video as well MX player ko bhi uninstall kar dete hain. Lekin kya yah karna jaruri hain. Kyoki is issue ko aap easily two minutes me solve kar sakte hain. Lekin aapko question aayega ki MX player me AC3 audio format not supported ko solve kaise kare?
Jab aap aesi error dekhte hain uska simple matlab yahi hota he ki koi audio ko play karne ke liye codec missing hain. Is problem ka simple solution hain ki aapko custom codec download karke install karna hain. Bas phir kya aap aapki favorite movie dekh sakenge.
Below process ko follow karne se pahel aapko supported codec download karna hoga. Jo zip file me download hoga. Lekin codec download karne se pahle aap MX player ka konsa version use kar rahe ho vah check kar le. Agar aapko nahi pata MX player version kaise check karte hain to below steps follow kare.
- MX Player open kare.
- Ab Menu >> Help >> About par click kare.
Aapke version ke anusar below link ko visit karke aap successfully custom codec download kar sakenge.
Download the codec for MX Player 1.7.40
Download the codec for MX Player 1.8.0
Ab main process me aate hain. Main issue ko resolve karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
1. MX Player ko open kare and main menu me jaye.
2. Ab Settings par click kare.
3. Now Decoder par click kare.
4. Scroll down kare aur sabse niche “Custom Codec” option hain use select kare.
5. Yaha par aap codec dekh sakenge aur aapko same vahi codec Audio format (AC3) is not support error solve karne ke liye download karna hain.
Main man leta hu ki aapne suitable codec download kar liya hain. Ab sirf aapko yah karna hain ki downloaded codec ko MX player ke custom codec me add karna hain.
Audio (AC3) error solve karne ke liye below steps ko follow kare.
- MX player open kare and Settings >> Decoder par click kare.
- Scroll down karke Custom Codec select kare. Custom codec ko select karte hi ek pop up open hoga, jispe select codec file likha hoga. Aapne jo codec download kiya hai vah destination path select kare.
- MX player new codec ko fetch karega and after fetching aapko application restart karne ke liye pop up display hoga. “OK” press kare.
Ab aap aaram se movies or video without any issue dekh sakte hain.
Agar aapko yah post pasand aai ho to aap is post ko Facebook and Twitter ke jariye apne friends ke sath jarur share kare.