April 18th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Aadhar card ab sabhi jagaho par mandatory ho gaya he. Aap HDFC, ICICI, SBI, Union Bank of India jese banks se mobile me SMS bhi receive karte honge ki bank account me aadhar card link karde.
Lekin Kaise? App bank account customer card me call karenge ya phir bank me jayenge.
Lekin kya aapko pata he ki aap ghare bhethe aadhar card bank account me link kar sakte hai. Agar nahi! To yah post aapke liye best hai.
Yaha par maine SBI bank account ke bare me bataya he. Matlab ki aap aapke SBI bank account se addhar card ko link kaise kar sakte ho.
Aadhar card bank account se link karna jaruri kyo hai?
Abhi aapne dekha hoga recently aadhar card based payment facility launch hui hi. Matlab ki ab aapko paise transfer karne ho to koi debit card ya phir credit card ki jarurat nahi. Aapko sirf BHIM app download karni he aur uske jariye aap paise transfer kar sakte hain.
Lekin BHIM app se paise tabhi transfer honge jab aapka and samnevale ka bank account aadhaar card se link ho. Agar aapka bank account aadhar card se link nahi hoga to aap paise transfer nahi kar paoge.
Accha yah hui ek bat. 🙂
Read:- Pan Card Ko Aadhard Card Se Link Kaise Kare
Agar aapko LPG gas subsidy receive karni hai to vaha par bhi aapko aadhar card ki jarurat hai.
Hmm… Kaise?
Ji haan, Agar aapko LPG gas subsidy chahiye to aadhar card ko bank account se connect karna aavshyak hain. Vese abhi LPG gas booking online ho gaya he ya aap IVRS phone number se call karte hai tab starting me hi aapko aadhar card link karne ka voice aata he. Agar aapko gas subsidy nahi mil rahi he to iska karan yah bhi ho sakta he.
Jese ki maine bataya yah post me SBI bank account related likh raha hu. Agar aap SBI bank ke customers he to aap post ko follow karke easily bank account me aadhar card link karva sakte ho.
SBI Bank Account Me Aadhar Card Link Kaise Kare
Aadhar card ko SBI bank account me link karne ke liye yaha mene aasan 3 tarike bayate hai. Jisko follow karke aap easily bank account me aadhar card link kar sakte ho.
Tarika 1# Aadhar Card SMS Karke Link Kare
Aadhar card ko bank account me link karne ke liye yah tarika ekdam easy hai. Lekin yaha par jo mobile number bank account se register he vahi use karna he. Aap registered mobile number se message send karke SBI bank account me aadhaar card link karva sakte hai.
Message kya karna hoga!
Iske liye aapko aapke mobile me message box open karke niche diya gaya message send karna hai.
Message box me aapko
“UID
Example: UID 792747375852 20117676754 and send 567676
Message send hoti hi aapko ek confirmation message aa jayega. Agar aapka mobile number bank account link nahi he to vesa bhi SMS receive hoga.
To is tarike se aap SMS send karke aadhar card ko bank account se link karva sakte ho.
Read:- Online Voter ID Kaise Banaye
Tarika 2# Internet banking Onlinesbi se aadhar card link kare
Agar aapka net banking account activate he to aap internet banking ke through aadhaar card link kar sakte hain.
Jee haan! Aapne sahi suna.
Vese normally abhi sabhi net banking use karte hain. Net banking ke jariye aap kuch hi minute me aadhaar card link kar sakte ho. Chaliye dekhte hai yah tarika kaise use kare.
- Sabse pahle aapko com par login karna he.
- Account me login karne ke bad My Account par click kare.
- My Account se Link your Aadhaar Number par click kare.
- Yaha par aapko aapka bank account number select karna he aur uske bad aadhar card number fill up karna he.
- Submit par click karne ke bad aapke register mobile me OTP message send hoga.
- OTP message enter karke Submit par click kare and you are done!
To is tarike se bhi aap sbi bank account me aadhaar card link karva sakte ho.
Agar aapko janana he ki aapka aadhar card number kin kin services ke sath link he to aap is link par visit karke jan sakte ho. Link open karne ke bad aapko sirf aadhar card enter karna he aur aadhar card link status aapke samne aa jayega.
Final Word about Aadhaar Card linking to Bank Account
Yah 2 tarike follow karke aap aasani se sbi bank account me aadhar card link karva sakte ho. Both tarike bahot hi easy he. Aadhar card ko SBI bank me link karne ke liye aur bhi tarike hai, jese ATM par jakar, SBI freedom and SBI anywhere app se ya phir aap bank branch me jakar to link karva sakte ho.
Vese ab sabhi banks me aadhar card linking karna mandatory ho gaya he. To jyada der na kare aur abhi apna aadhar card bank account se link kare.
Agar aapko yah article pasan aaya to social media par share karna na bhule. For latest article ke liye hamare newsletter ko subscribe kare.