May 4th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Cool Instagram post par comments disable kaise kare
Instagram is fast growing social media app hain. Ab sabhi log Instagram use karne lage hain. Kya aapko pata hain ek din me Instagram par kitne photos, videos or GIF upload hote hain?
I think user ke hisab se over 100 million ke upar Instagram par photos and videos upload hote honge. Matlab ki jitne more posts utne more comments. Aur ham sab jante hain aaj kal kisi bhi social media par koi post par comments kaise aate hain.
Yah sab dekhake, Instagram ne apne android and iOS app me new feature available kita hain. Jaha par aap aapke kisi bhi funny Instagram post par comments disable kar sakte hai. Yah ham is tutorial me janenge.
Jab ham kisi post par comments disable karte hain tab koi bhi us post par comment nahi kar sakta. Aur yah feature ab Instagram app me bhi available hai.
Users Instagram par apni post par likes badane ke liye koi bhi photos and videos upload karte hain. Tab unke posts par like to badte hi he lekin like ke sath sath comments bhi bahot aate hain. Some post ke related hote he to koi abusive comments hote hain.
Normally users Instagram ka use photos and videos share karne ke liye karte hain. Instagram users captions and selfie quotes upload karte hain aur aesi post par bahot comments aate hain, jo ki some abusive, offensive, trolling hote hain. Yah sab comments ham Instagram par turn off kar sakte hain.
Instagram par ham comments two tariko se disable kar sakte hain. 1) Jab ham post Instagram par share kar rahe hote hain tab. 2) Old Instagram shared post par. Ek bar comments disable hone ke matlab yah nahi he ki aap use enable nahi kar sakte. Aap usi post par comments ko vapis enable kar sakte hain.
Whatsapp Group Invite Link | Whatsapp profile picture / Dp without Crop |Whatsapp Two Step Verification
How to turn off comments on Instagram
Man lete hai ki aapne koi post par comments disable karne ke soch liya hai, to aap use kai tariko se kar sakte hai. Jo maine yaha par bataya hain. Steps ko follow kare and Instagram app ko enjoy kare.
New Photos or Videos Par Comments Disable Kare
Agar aapne ek bhi post Instagram par share nahi kiya aur aapki planning hain to aap yah guide follow karke new Instagram post par comment disable kar sakte hain.
1) Sabse pahle Instagram App open kare.
2)Photo library se image select karne ke liye ya live photo lene ke liye Share button par click kariye.
3) Ab Next button par click kare.
4) Ab aapko share Instagram posts on Facebook, Twitter ke niche Advanced Setting show hoga, us par click kare.
5)Turn Off Commenting Switch ko ON kare.
6) Ab Back(<> button par click kar Share button par click kar de.
Yaha par ab aapki Instagram post share ho chuki hain. Ab aap dekh sakte hain ki shared post ke niche like and share ke icon hi display hoge. Aapko comment ko icon show nahi hoga. Matlab ki aapki yah process successful ho chuki hain.
Stylish Whatsapp DP | Whatsapp Dare Messages | Best Whatsapp Group Names List
Disable comments for existing videos and photos
Aap aapke old Instagram posts par bhi comments disable kar sakte ho. Yah karne ke liye below steps follow kare.
1) Sabse pahle Instagram app open kare.
2) App ke bottom par profile tab hoga us par click kare. Ab yaha par aapko aapki share ki hui post show hogi. Jis par comment disable karna he vah post select kare.
3) Now, post ke upper right side par aapko 3 dots icon show honge us par click kare.
4) Click karte hi aapko Edit, Share Delete and Turn Off Commenting show hoga. Popup menu se Turn Off Commenting par click kare.
Ab aap vah post ko dekhenge to comment button disable ho chukka hoga. Ab us post par koi bhi comment nahi kar sakta.
Instagram Par Two Factor Authentication Enable Kaise Kare
Turning commenting back on for a post
Jee ha dosto, ek bar kisi post par comment off karne ke bad aap use enable bhi kar sakte hai. Simply aap niche bataye gaye steps follow kare.
1) Mobile home screen se Instagram app open kare.
2) Ab aap Profile tab par click karke jis post par comments off hai vah select kare.
3) Post ke right side par diye gaye 3 dots icon par click karke Turn On Commenting par click kare.
Congratulation! Aapne vapis particular Instagram posts comments turn on kar diye hain.
Above methods ko follow karke aap aasani se instagram posts par comments disable kar sakte hai. Other posts ke liye comments option vaha par hi rahega. Yah process particular post se comments disable karne ke liye hain.
Agar aapko yah article pasand aata hain to aap apne friends ke sath social media facebook, twitter and Google Plus par share karna na bhule.