January 27th, 2017 | by Swapnil Kharche |
Ham sab jante hai ki Paytm India ki one of the largest mobile commerce platform hai. Aapko Bank me online money transfer karne hai to Paytm one of the easiest way hai. Jese ham money transfer bank to bank karte hai vaise hi ham Paytm money transfer kar sakte hai.
Aapko pata hai after demonetization and new Indian currency ke bad bank se money nikalne aur transfer karne me bahot problem ho raha he.
Agar aap aesi financial problem me hai to aap online transaction or cashless payment ka use kar sakte hai.
( Read:- iPhone Contacts Ko Android Me Transfer and Sync Kaise Kare )
Online money send and receive karne ke liye paytm ek popular way hai.
Paytm se aap mobile recharge, pay several bills and shopping bhi kar sakte hai.
Aap Paytm app aapke kisi bhi smartphone me use kar sakte hai as it supports various platform like Apple iOS, Android, Windows, Blackbarry and Opera.
Aapko pata he ki aap Paytm se online money transfer and receive kar sakte hai. With the use of Paytm aap kisi bhi bank me money send and receive kar sakte hai.
Par uske liye pehle aapko Paytm Wallet me money add karne honge. Paytm wallet me aap internet banking ya credit or debit card se bhi money add kar sakte hai. Aur phir vah money ko aap bank account ya other paytm wallet me transfer kar sakte hai.
Chaliye dekhte hai Paytm app ki help se bank account me money transfer kaise karte hai.
Paytm se Online Transaction (Money Send and Receive) Kaise Kare
First time jab paytm launch hua tha tab paytm ka use only mobile recharge ke liye hota tha. Lekin ab Paytm ne mobile recharge ke sath bill payment, shopping aur paytm wallet ke jariye money transfer kar sakte hai.
Sabse pehle yah ham dekhte hai ki paytm wallet me money kaise add karte hai.
Paytm Wallet Me Money Add Kare
Jese ki maine bataya Paytm app kisi bhi mobile platform par available hai. Sabse pehle aap Paytm app ko mobile me download karke install kar le.
App install karne ke bad aapke verified mobile number se signup karke account create kar le aur sign in kar le.
Step 1 – Paytm App Open Kare
Login karne ke bad ab hame Paytm wallet me money add karna hai. Paytm wallet me money add karne ke liye sabse pahle Add Money par click kare.
Step 2 – Add Money Par Click Kare
Add Money par click karne ke bad aapke samne amount add karne ka option aayega. Yaha par aap maximum 10,000 rupees tak ki amount add kar sakte hai.
Agar aapko usage limit ko increase karna he to aapko KYC document submit karna padega. KYC document aapko Paytm ko submit karna padega.
Yaha par aapko jitna amount add karna he utana amount add kar dijiye. Agar aapke pass Promo code he to aap Paytm promo code add kar lijeye.
Amount add karne ke bad Add Money par click kar de.
(Read :- Android Ke Liye Top 5 Best Free Video Calling App )
Step 3 – Payment Option Display Hoga. Details Add Kare.
Add Money par click karne ke bad aapko payment option display hoga. Yaha par aap debit card ya net banking se money add kar sakte hai. Agar aap Debit card se money add kar rahe he to aapko card no., CVV, month and year add karke money add karna hoga. Ya phir Net banking par click karke bank select kare aur net banking me login karke money add kar sakte hai.
To is tarah se aap Paytm wallet me money add kar sakte hai.
Paytm Wallet se Bank Account me Money Transfer Kare
Paytm wallet me money add karne ke bad aap kisi bhi bank account me money transfer kar sakte hai.
Wallet se bank account me money transfer karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
Paytm app se money send karne ke liye sabse pahle Pay or Send par click kare.
Next screen me bank me money send karne ke liye Send to Bank par click kare.
Yaha par aapko
- Account holder name
- Bank account number
- IFSC code
- Amount jo aapko send karna hai
Above field enter karne ke bad Send button par click kare.
Aapke register mobile number par OTP message receive hoga usko enter kare.
Congratulation! Aapne successfully Paytm wallet se bank account me money transfer kar diye hai.
What Next?
Dosto, aap definitely Paytm ka use kar rahe honge. People paytm ka use mobile recharge ke liye jyada karte hai.
Lekin ab online money send and receive karna utna mushkil nahi raha. App koi bhi wallet app ki help se 100% secure transaction kar sakte hai.
Agar aapko bank ki official app pasand nahi he to aap other wallet app use kar sakte hai like airtel money, jio money, Paytm, idea money and many more.
Comments ke jariye hame jarur bataye aap online money transfer kaise karte hai. aap konsi wallet app ka use karte hai. Yah post ko facebook, Google plus and twitter ke jariye jarur share kare.
What Others Are Reading :