Gmail Account Password Change Kaise Kare Hindi Me: In this guide I will show you Gmail account password change kaise karte hai. Email account ka password 90 days matlab 3 month me change karna chahiye. Agar aapka email account Gmail me hai to aap easily password change kar sakte hai.
Yaha par aapko question hoga hame email password kyo change karna chahiye? Email account ko protect karne ke liye hame password change karna chahiye.
Ham mostly har jagah Gmail account ka use karte hai. Internet ke scary world me data lost, security threats, viruses and identity theft aesi long list hai. Jisase aapke Gmail account ko khatra bana reh sakta hai.
Yaha par ek problem hai, Google ne password change karne ka option ko easy nahi banaya. Aesa nahi he Google nahi chahta ki user Gmail account password change na kare.
This is the reason ki mene socha kyo na Gmail account password change Kaise kare par quick guide likhi jaye.
Below step by step tutorial ko follow karke aap easily Gmail account password change kar sakte hai.
Step 1 – Log into Your Gmail Account
Gmail account password change karne se pahle, aapko Gmail me login karna padega. Iske liye aap web browser me www.gmail.com type karke open kare. Aapka Gmail username and password se login kare.
Related :- Gmail account kaise banaye hindi me step by step jankari with picture
Step 2 – Open Your Setting Page
Gmail account me login karne ke bad aapko right side par gear icon show hoga. Gear icon par click kare. Gear icon par click karte hi aapko several options dikhai denge. Sabhi options mese “Settings” labeled option ko find kare aur option par click kare.
Step 3 – Update Your Account
“Settings” tab par click karne ke bad ek new window open hogi. Jisme bahot sare options honge. In sabhi options mese “Accounts and Import” option find karke uspar click kare. Click karte hi more options display honge, unme se ek “Change Password” par click kare.
Step 4 – Change Your Password
Gmail account password change karne se pahle aapko one more time aapko old password se login karna hoga. Yaha par new tab open hoga, jisme aapko old password type karke login karna hai. Aapke sign in karte hi change password ka option display hoga.
Yaha par aapko new password type karne ke liye prompt show hoga. Dono field me new password type karke Change Password par click karde.
Congratulations! Change password par click karte hi password change ho jayega. Gmail account password change karne se aapke sabhi devices se sign out ho jayega, including your phone. New password aapko sabhi devices me enter karna padega.
Gmail Account Password Tips
Yaha par me aapke sath kuch tips share kar raha hu. Jisase aap aasani se password change kar sako.
- Yad rakhe ki aapka ek bar use kiya hua password dubara use nahi kiya ja sajta. Yah Google ki security policy hai.
- Password case sensitive hai. Matlab agar aapke password me %, & or $ symbol hai to aapka password usase strong ban jayega. Password me number and one Capital letter hone se Gmail password aur bhi strong ban sakta hai.
- Google account password change karne ke liye password minimum 8 character long hona chahiye. dhyan rakhe ek bar use kiya password dubara nahi use kiya ja sakta.
Ye thi hamari Gmail account password change karne ki tips. Yadi aapko yah article pasand aaya hai to friends ke sath social network me share karna na bhule.
You May Also Like: