Aaj socha kuch naya likhte hai ..ek beti jab apne mata pita ka aangan chhodkar apne sasural jaati hai tab uski kya feelings hoti hai vahi likhne ki koshish kar rahe hai...
Mata pita ka aangan chhodkar aa rahi hu tere paas aaj,
Dil mai kuch durd bhi hai or tere liye asim pyar bhi hai.
Mere pyare khilone chhodkar aa rahi hu tere paas aaj,
Dil mai kuch durd bhi hai or tere sang kuch sapne bhi hai.
Mere mata pita ke ghar ko suna karke tera ghar sajane aa rahi hu tere paas aaj,
Dil mai kuch durd bhi hai or tere ghar ko khushiyo se sajane ki khwaish bhi hai.
Mere parivar ko chhodkar aa rahi hu tere paas aaj,
Dil mai bahot durd hai oe tere parivar ko apna banane ki khwaish bhi hai.
Mere parivar mai sabko chhodkar sirf tera hokar rahe jaungi aaj,
Mata pita ke aangan ko suna kar ke tere sang chal jaungi aaj.
Jis Bhai bahen ke saath bachapan bita unhe akele chhod chali aaungi aaj,
Sabke dil mai ye judai ke durd ko basakar chali aaungi aaj.
Behad pyar hai muje apne parivar ke sabhi sadsyo se,
Par sirf or sirf tere liye sabko chhodkar chali aaungi tere paas aaj.
Ek wada karle mujse ki kabhi bhi bhulkar bhi muje na bhula dena,
Varna is duniya ki bhid mai mai tutkar bikhar jaungi.
Shikha