Muskan - Shikha
Muskan - hansi
Muskan ka apni life mai ek bahot hi khas hissa hai. Jis tarah se hum aansu ko apni aankho mai chhipa nahi paate usi tarah se muskan ko bhi hum nahi chhipa paate. Aaj ki ulzano se bhari zindagi ki daud mai log muskurana hi bhul gaye hai. Dear readers...guar kijiyega...kitno ko yaad hai ki vo pichhli baar kab khul ke hanse the? sach batana. sach to yahi hai ki hansna humari health ke liye bahot hi important hai. Lekin hum zindagi ki daud mai ise hi andekha kar lete hai. Dear readers...muskan humari life ka bahot hi ahem hissa hai. jaise ek sikke ki do baju hoti hai vaise hi zindagi ke do pahelu hai jise chahkar bhi hum nahi jutla skte. ek muskan or dusra aansu.
Muskan se hum samnevale ke dil mai apni khas jagah bana lete hai. Kai log aise hote hai jaise ki hansna to use aata hi nahi. har waqt serious hote hai. Agar aisa insan kahi bhi jayega to log kahenge are yaar ye kaha se aa gaya? par jo har pal hansta ho or sabko hansata ho aise insan ka log intezar karte hai . Agar koi tension bhi hoti hai to bhi sochte hai ki kash ye aa jaaye, mood ban jaaye. usme kamal ka jaadu hai. Readers ..ye jaadu or kuch nahi aapki muskan hai. Jo ek pal mai aap sabke dil mai apni jagah bana lete ho.
Hansne se humare hraday ki exercise hoti hai jisse blood serculation achhe se hota hai. bade bade shahero mai laughter club khule hai jaha pe aapko khulkar hansna sikhate hai. Aaj ki ulzano se bhari zindagi mai kai tension ke saath log jee rahe hai or ye tension aapki health ko bahot kharab kar deti hai. Or fir kai tarah ki bimariya janam leti hai. Par agar aap khulkar zindagi ko jioge to aapki aadhi pareshani yu hi gayab ho jayegi. Mante hai hum ki bolna aasan hota hai par ek baar koshish to karke dekho. kya tension mai rahene se vo problem solve ho jaati hai? nahi na..to fir...hanskar uska solution dhundho...koi to rasta jarur nikal aayega.
Bahot hi sidhi si baat hai..Jab aap subah uthte ho or kisika hansta chahera dekhte ho to aapka dil bhi khush ho jayega...aap sochoge, aaj mera din achha jayega. par agar aap kisi aise insan ka chahera dekhoge to aapko achha nahi lagega ..kyu? ye jaadu sirf pyari si hansi ka hai. Kudrat bhi apne aap mai hume khush rakhne ka prayas karti raheti hai. jaise ki baarish...baarish ke baad khilti huyi si sunhari dhup, khile huye se gul, laherate huye hare bhare se pad, ye sab apni khushi ka ehesas aapko dilate hai jise dekhkar aapka man bhi khush ho jata hai.
Dear readers, Agar thodi si muskan se humari selfie achhi aa sakti hai to khulkar hansne se hum apni zindagi ki tasveer ko kitni khubsurat bana sakte hai ye socha hai kabhi..? Jaise aankho se aansu nahi chhip skte vaise hi hansi bhi nahi chhip sakti. or jisse aap or bhi khubsurat lagoge. Tan ki sundarta se badhkar hume khayal rakhna hai man ki sundarta ka. or jaha humara man khush ho vaha to koi problem hi nahi hai..So readers...jab muskan humari life mai itni important hai to use apnana to lajmi hai.
Jaise humare jivan mai food water ka mahatva hai vaise hi muskan ka bhi hai. or ye muskan sirf hum insano ko hi mili hai. Jis muskan se humara jivan itna khubsurat ho sakta hai to use kyu gavaye hum...Chalo aaj se hi ye tay kare ki chahe kuch bhi ho jaaye par humari hansi ko hum kabhi bhi khone nahi denge.
Pyari muskan ke saath vida leti hu...Good night
Shikha