Hausale buland rakh aie pathik tu
Zamane ki in chingariyon me
Kahin jhulas na jana tu
Nam unhi ke hua karte hain sangemarmar ki deevaron par
Jisane apne lahoo k katron ko
Chhint kar sajai thi apne armano ki dunia ko
Hatash ho ,nirash ho eisa jazba na rakh kabhi
Dil me apne.. Jab thaan hi li hai ki ye jung sirf teri hai.. soch jara
Bij ko dharti fadkar bahar aana padta hai
Tab jakar khet lahlahate hain
Sagar ki lahron ko sahil se takrana padta hai Tab jakar sagar ko moti milte hain
Nahi asan jivan kisi ka bhi yahan
Harwaqt imtihan khade milte hain
Jo imthan jivan ke muskurakar
Sweekar karte hain un adno (koi koi)
Me ,tu bhi apna nam karta ja
Milenge kahin katu bolon ke khanjar tujhe,To kahin teri mehnat par attahas karte log
Tujhe milenge.. Par tu ghabarana na .