Hello Friends Google ne apne Accelerated Mobile Pages project (jise AMP ke name se jaana jaata hai) se parda utha diya hai. is open source project ka main reason mobile web ko faster banana hai. jiske anusaar google ne AMP ko complete support provide kiya hai. in fact, Google ne february 2016, ko announce kiya tha ki wah Google search se un websites or blogs par traffic send karega jo ki AMP enable ho. so friends yadi aap bhi apne website/blog ko AMP enable karna chahte hai. to aaj ham techandtweet me aapko AMP kya hai or blog me AMP enable kaise kare. is baare me batane ja rahe hai. lekin is tutorial me aage badhne se pehle ham AMP ke baare me jaan lete hai ki aakhir AMP kya hai.
AMP Kya Hai or AMP Important Kyon Hai – Accelerated Mobile Page.
friends jaise ki ham jaante hai ki smartphones or mobile phones ka use dino din badhta jaa raha hai. aur aise me websites ko superfast or responsive hone ki aawashykta hai. or jaise ki aaj kai websites mobile phones me slowly open hoti hai. iska bada reason websites ka mobile phone ke liye optimized nhi hona hai. jaise ki larger graphics, complex scripts, or ads ye desktop par sahi se open hoti hai lekin mobile phones par nhi. isliye Google ke dwaara AMP ko laya gaya hai.
Accelerated Mobile Pages AMP ka use website ki speed or user experience ko content ke liye imporve karna hai. So friends isliye aaj TechAndTweet (TAT) me ham aapko AMP kya hai or Blog me AMP enable kaise kare is baare me batane jaa rahe hai. so friends aaiye dekhte hai ki Blog me AMP enable kaise kare.