CAA, CAB & NRC Kya Hai: Kya aap janana chahte hain ki CAB job CAA ban chuka hai wo kya hai aur in dono ka full form kya hai to is article me aap sabhi ko CAB, CAA ki puri jankari hindi me di jaa rahi hai. Saath hi aap sabhi ko CAA, CAB aur NRC ka full form bhi bataya jayega.
CAB Kya Hai – Full form of CAB
CAB ka full form Citizen Amendment Bill hota hai aur ise lok sabha aur rajya sabha se pass kar diya gya hai aur saath hi president ki anumati bhi mil gayi aur ab ye CAA ban chuka hai.
CAA Kya Hai – Full form of CAA
CAB jab Bill se Act ban gaya to ise CAA ke naam se jana gya jiska full form Citizen Amendment Act hota Hai. Ab ye ek Kanun ban chuka hai jiske karan ise Bill se Act ka naam diya gya hai.
- CAB YA CAA KE TAHAT PAKISTAN, BANGLADESH AUR AFGANISTAN KE अल्पसंख्यकों KO BHARAT KI NAGRIKTA DI JAYEGI.
- IS BILL ME SIRF हिंदू, जैन, बौद्ध, सिख, पारसी और ईसाई DHARM KE LOGO KO SAAMIL KIYA GYA HAI AUR INHE BHARAT KE NAGRIKTA PRAPT KARNE KE NIYAMO ME CHHUT DI JAYEGI.
- YADI IN DHARM KO LOGO KO IN TEENO DESHO ME DHARM KE NAAM PART UTPIDAN KA SAMNA KAR PAD RAHA HO TO IS CAA KE TAHAT UNHE INDIA KA NAGRIKTA DIYA JAYEGA.
- MUSLIM DHARM KO ISME SHAMIL NAHI KIYA GYA HAI KYONKI IN TEENO DESHON ME MUSLIM अल्पसंख्यक NAHI HAIN. BALKI YE DESH MUSLIM BAHULYA DESH HAIN.
- CAB YA CAA KE TAHAT PAKISTAN, BANGLADESH, AFGANISTAN KE हिंदू, सिख, बौद्ध, जैन, पारसी और ईसाइयों KO JO 31 DECEMBER 2014 SE PAHLE BHARAT ME AAYE HAIN UNHE BHARAT KI NAGRIKTA DE JAYEGI.
To is tarah se aap jaan gye ki CAA, CAB kya hai aur in dono ka full form kya hai.
NRC Kya Hai – Full form of NRC
NRC ka full form National Register of Citizens hota hai jise National Register of Citizens of India ke naam se bhi jana jata hai. Iska uddeshya India me Jo bahar ke log hain unki pahchan kar bahar karna hai. Philhaal ise India ke Assam State me lagu kiya gya hai jisme bahut se log NRC se bahar ho gye hain.
To aaiye ab short me jaan lete hain teeno ke bare me…
- CAB FULL FORM = Citizen Amendment Bill
- CAA FULL FORM = Citizen Amendment ACT
- NRC FULL FORM = National Register of Citizens of India